Page 1 of 29

SAWALIYAH ASH,AAR========

Posted: Mon Jun 13, 2005 11:25 pm
by najma
sathiyo!

yahaaN sirf sawaaliyah ahs,aar darj kijiye

ibitda ham hi kiye dete haiN

arz hay

kisi bhi shakhs ko ab harf-e-haq ka paas naheeN
panap rahaa hay yahaaN par daroGh-e-hikmat kya?

bakhsh

Posted: Tue Jun 14, 2005 3:50 am
by shahnaz zafar
ham bhee monh mai zaban rakhtey hain
kash poocho kii muddaA kaya hai?

Posted: Tue Jun 14, 2005 1:02 pm
by najma
sahar jiski naheeN dunya meiN koee
mirii taqdeer meiN wo shaam kyuuN hay?
najma

Posted: Tue Jun 14, 2005 4:54 pm
by shahnaz zafar
kuen mera saath chore jaatey ho?
raasta rehnuma nahee hota

Posted: Tue Jun 14, 2005 7:15 pm
by najma
eid aaeygii har baras, lekin

chooRiyaaN kaun le ke aaeyga?

najma
:(

Posted: Tue Jun 14, 2005 8:46 pm
by Ameen Asim
daikhtay heN galay laga kay usay ,
fasila darmiyaan kitna hay.

(Ameen Asim)

Posted: Tue Jun 14, 2005 8:52 pm
by najma
ZINDAGII KA QARZ TO IK-DIN ADA HOJAEYGA
ROOH KA WA,DA BHI KYA IS SE WAFA HOJAEYGA?
NAJMA

Posted: Thu Jun 16, 2005 8:25 am
by najma
kal na main itnaa buraa thaa kyaa huaa ?
teraa dil bhii aa_iinaa thaa kyaa huaa ?

Posted: Thu Jun 16, 2005 11:14 pm
by shahnaz zafar
urhti hai dhool ziist kii raahon mai kis liye
kuen silsila daraz hai gardo ghubaar ka

Posted: Thu Jun 16, 2005 11:52 pm
by najma
jo mil raha hay tumheiN ghair ki inayat se
yehi hay saaNs , to is saaNs ki qeemat kya hay?

bakhsh

===

Posted: Fri Jun 17, 2005 7:28 am
by Abdullah Nazir



kardiyaa chshm-e-fusooN saaz ne bekhud mujhko

yeh nah poochou ke muHabbat kii haqeeqat kyaa hei.



Nazir.


Posted: Fri Jun 17, 2005 11:55 am
by najma
ya rab! tire jahaan ke kya haal hogaey?
kuch log khaahishaat ke dallaal ho gaey?
saGhar

Posted: Fri Jun 17, 2005 9:14 pm
by najma
wafa-darii yahaN na-kaam kyuuN hay?
jafa-karoN ka itna naam kyuuN hay?

najma

===

Posted: Fri Jun 17, 2005 10:23 pm
by Abdullah Nazir



ik umr ikhtilaaf-e-nazar meiN guzar gaiee

woh kaunsi ghaRi thii ke jab ham baham houe.



Nazir.


Posted: Fri Jun 17, 2005 10:31 pm
by najma
phir rahii hooN khud ko kandhoN pe liye
log kyuuN Dar kar paray haTne lagay?
najma