Page 1 of 4
Lafz par Ashaar#12--"WAFA / BEWAFA "
Posted: Fri Jun 17, 2005 8:58 am
by syed bilal armaan
Assalam walekum dosto!
Ummid karta hoon ke app sab theek hon'ge.pichli martaba ki tarha is baar bhi pesh hai ek behtareen unwaan "WAFA / BEWAFA ". app log is unwaan par bhi apne pasandida ashar bhejein.
Ek baat note karlein sher likhne ke baad agar app jante hain ke woh sher kis ka hai tou meharbani kar ke un ka naam bhi likh dein.
Lijiye may yahan se shoorwat karta hoon [-BILAL].
Wafa ka naam ab koi bhool kar nahi leta
tere sulook ney zamaaney ko chunka diya....
Posted: Fri Jun 17, 2005 12:00 pm
by najma
wafa ka naam zamane meiN higaya nayab
ye ach,cha kaam zamane meiN hogaya nayaab
najma
Posted: Fri Jun 17, 2005 3:08 pm
by najma
rah-e-wafaa meiN ik esa muqaam aataa hay
jahaaN bashar ko khud apna nishaaN naheeN milta
najma
Posted: Fri Jun 17, 2005 9:13 pm
by najma
wafa-darii yahaN na-kaam kyuuN hay
jafa-karoN ka itna naam kyuuN hay
najma
"wafaa"
Posted: Fri Jun 17, 2005 10:36 pm
by Abdullah Nazir
phir kisi se bhii nah hougi mujhe ummeed-e-wafaa
reizah reizah hei miraa sheehs-e-armaaN taubah,
Nazir.
Posted: Fri Jun 17, 2005 10:39 pm
by najma
be-wafaa keh hi raha hay to jafaa bhi karlooN
wo saza de hi raha hay to khat bhi kar looN
najma
"wafaa"
Posted: Fri Jun 17, 2005 11:16 pm
by Abdullah Nazir
mujh se hei jazba-e-wafaa qaayim
tum se meHfil meiN raushni baaqii.
Nazir.
Posted: Fri Jun 17, 2005 11:18 pm
by najma
kaun un be-wafa nigahoN ko
dharkanoN ki zabaan samjhaey
saGhar
"wafaa"
Posted: Fri Jun 17, 2005 11:27 pm
by Abdullah Nazir
bahaar-e-gulshan-e-mehr o wafaa kuch aur kehti hei
sitam parvar zamaane kii hawaa kuch aur kehti hei.
Nazir.
Posted: Fri Jun 17, 2005 11:31 pm
by najma
ham ba-wafa thay, is liye nazroN se gir gaey
shayad tumheN talaashkisi be-wafa ki ho?
"wafaa"
Posted: Fri Jun 17, 2005 11:45 pm
by Abdullah Nazir
pb[psize=18]
hei yeh t'aceer-e-barq-e-jaur o sitam
jal gayaa daaman-e-wafaa shayad.
Nazir.
[/b][/size]
Posted: Fri Jun 17, 2005 11:55 pm
by najma
ham ko un se wafa ki hay ummeed
jo naheeN jaante, wafa kya hay
Ghalib
"wafaa"
Posted: Sat Jun 18, 2005 12:14 am
by Abdullah Nazir
[size-18]
wafaa ke naam pah kaisi yeh badgumaani hei
mujhe khud apni zubaan per bhii shak guzarne lagaa.
Nazir.
[/size]
Posted: Sat Jun 18, 2005 12:22 am
by najma
wa,da na wafa karna, aur us pe ye taakeedeN
ta-hashr Theher jao, kyuuN jaan nikaltii hay?
daGh
Posted: Sat Jun 18, 2005 10:19 pm
by najma
ham kitne saada lauh thay, bazar-e-ishq meiN
be-daam apni jins-e-wafaa bechtay rahay
nafis ahmad siddiqui