Page 1 of 4
HARF==JEEM==SE ASH,AAR KAHIYYE
Posted: Fri Jun 17, 2005 12:06 pm
by najma
sathiyo!
aadaab
yahaaN aap harf==jeem=====se ash,aar kahiyye
jin se zindah ho yaqeen-o-aagahii ki aabroo
ishq ki raahoN meiN kuch esay gumaaN karte chalo
saGhar
Posted: Sun Jun 19, 2005 12:14 pm
by najma
josh meiN aaey thay jo darya, utartay jaeiNgay
zulm-o-istibdaad k mamb,e ThiTharte jaaeiNgay
nafis ahmad siddiqui
Posted: Sun Jun 19, 2005 5:19 pm
by najma
jaisay taisay guzaar lii ham ne
warna kis ka yahaaN guzara hay
nafis ahmad siddiqui
"jeem"
Posted: Sun Jun 19, 2005 5:20 pm
by Abdullah Nazir
jaan lenaa hei tou le lou nah bataaou mujhko
mar nah jaaooN kahiN sharminda-e-iHsaaN houkar.
[color=brown)
Nazir.
[/color]
Posted: Sun Jun 19, 2005 5:23 pm
by najma
josh-e-Gham ko apni jhooti mehrbanii se na rok
mehfil-e-anjum meiN merii aaah ko jaanay bhi day
nafis ahmad siddiqui
Posted: Sun Jun 19, 2005 5:43 pm
by najma
jaaN-nicaran-e-mohabbat se adawat, lekin
Ghair pe chashm-e-inayaat, tumheN kya ma,loom
nafis ahmad siddiqui
Posted: Sun Jun 19, 2005 5:48 pm
by najma
jahaaN meioN aataa hay jo giryah-o-fuGhaaN lekar
wo kya karega bhala umr-e-jaavidaaN lekar
nafis ahmad siddiqui
Posted: Mon Jun 20, 2005 8:02 am
by Waqar Zaidi
jahaan main tarafdaar kam hain tumhaaray
arab hain tumhaaray ajam hain tumhaaray
--------------------------
jahaan bhi gaye kahkashaan chhorh aaye
bohat hi mubaarak qadam hain tumhaaray
------------------------
josh e bahaar nay mujhay deewaana kar diya
daaman ko taar taar kiye jaa rahaa hoon main
--------------------------
jaam o meena,laalah o gul,saaqi e kausar farosh
jab ye aalam hay to maikhaanay say uth kar jaaye kaun
----------------------------
jahaan ghunchay hain tasweer e tabassum
wahin kuchh phool bhi murjhaa rahay hain
----------------------
ji chahtaa hay sajda e paiham kay baa wajood
dil main uthaa kay rakh loon tiray sang e dar ko main
------------------------
jahaan sab ajnabi hi ajnabi hon
main us mehfil mein naa haq jaa rahaa hoon
------------------
jab bhi un say khitaab kartaa hoon
lafz lafz intakhaab kartaa hoon
Posted: Mon Jun 20, 2005 8:26 am
by najma
waah waqar zaidi sahib!
bohat khoob
share karne ka shukriya
isi trah raunaq bakhshtay rahiyye
jaatay huey kisi ne kahaa tha, ye yaad hay
najma! mileNgay phir kabhi, jo zindagii rahii
najma
Posted: Mon Jun 20, 2005 7:42 pm
by Waqar Zaidi
najma baaji !
shukriya. ye sab aap kay hukm ki taAmeel hay.
jo muqaddar ka likha thaa saamnay aa kar rahaa
bach gaye toofaan say to takraa gaye saahil say ham
-------------------------------
jaantaa hoon yoon nigaah e naaz uthaa saktay ho tum
dil main armaanon ki ek dunyaa basaa saktay ho tum
-------------------------------
janaab e shaikh ki khidmat main kis tarah baithoon
tamaam umr to guzri hay mah jabeenon main
-------------------------------
jagmagaataa hay aashiyaan mairaa
qurb e barq o sharar main rehtaa hoon
-------------------------------
jaam e rangeen dikhaa dikhaa kay mujhay
aap kiyoon tishnagii barhaatay hain
-------------------------------
jo miri zindagi kaa haasil theen
kaash laut aayain phir wohi raatain
-------------------------------
jis din say un ki chashm e tawajjuh idhar naheen
woh dil faraib shaam woh rangeen sahar naheen
-------------------------------
jis waqt bay naqaab woh aatay hain saamnay
dunyaa e dil ko zair o zabar daikhtaa hoon main
-------------------------------
jaadah e nau tumhain mubaarak ho
ham puraani rawish peh chaltay hain
===============================================
Posted: Mon Jun 20, 2005 8:28 pm
by najma
bohat shukriya baradaram waqar zaidi!
aap hamari da,wat par yahN hamaray saath shareek haiN.
jise tasawwur-e-insaaN, kasheed karta hay
shu,oor Doob ke niklay na jis meiN, wo shaiy laa
saGhar
- -- -
Posted: Tue Jun 21, 2005 3:00 am
by Abdullah Nazir
[size=
kjafaa se kaam nah lo shaiwa-e-wafaa samjho
kabhi tou chaahne waale kii iltijaa samjho.[/u]
[/color]
Nazir.[/i]
[/size]
Posted: Tue Jun 21, 2005 4:11 am
by Waqar Zaidi
jis ki lau aandhiyon say uljhi thii
timtimaataa saa koii diyaa ho gaa
-------------------------------
jo hamain jaan say piyaaraa ho gaa
wohi qaatil bhi hamaaraa ho gaa
-------------------------------
jalwah e subh e tamannaa daikhaa
phool ki aot say chehrah daikhaa
-------------------------------
jin waadiyon saydil kaa guzarnaa muhaal thaa
ham nay wahaan bhi jaadah e manzil banaa diyaa
-------------------------------
jis say kabhi kadoorat o nafrat na mas huii
us khaak say khudaa nay miraa dil banaa diyaa
-------------------------------
jo ikhtiyaar kay haamil hain dil nahin rakhtay
jo ahl e dil hain woh bay ikhtiyaar bhi hain bohat
-------------------------------
jis kaa aaghaaz huaa subh e bahaaraan ki tarah
daur woh khatm huaa shaam e ghareebaan ki tarah
-------------------------------
jis ko kahiye bahaar kaa mausam
hay dil e bay qaraar kaa mausam
-------------------------------
jaadah e shauq main bay taabi e dil kay haathon
ho kay har tarah say bad naam ghazal kehtay hain
-------------------------------
jab say khaaii hay aashiyaan say shikast
bijliyaan monh chupaaye phirti hain
-------------------------------
jis nay sau baar miray sabr o sakoon ko lootaa
paish ho wohi manzar to ghazal kehtay hain
-------------------------------
jalaa kehtaa huaa soz e mohabbat main ye parwaana
wafaa waalay ajal ko shouq ki manzil samajhtay hain
===============================================
Posted: Tue Jun 21, 2005 7:39 pm
by najma
jee chahta hay aiy mire afkaar ki moorat
malboos bana dooN tujhe taaroN ki ridaa kaa
saGhar
"jeem"
Posted: Wed Jun 22, 2005 2:18 am
by Abdullah Nazir
jaada-e-shauq meiN be-chaaragiy-e-jaaN kab tak
ghaflat-e-yaar kahaaN tak shab-e-hijraaN kab tak.
Nazir.