Page 1 of 1

GHazal

Posted: Sat Jun 18, 2005 3:45 pm
by Rehana.A

Salam Dosto!

Kaafi dino ba,ad hazir ho rahi hoon Ustaad ji ki aik ghazal
lay kar :-) Umeed hey aap ko zaroor pasand aa,ay gee .

Posted: Sat Jun 18, 2005 5:00 pm
by khurram_shaikh
w salaam,


waaah waaah bahooot khoob bahoot hi umdeh aur dilkash kalaam share kiyaa aapnien rehana sahiba nazir sahib kaa yeh kalam behud pasand aya shukriya humse share kernien kaa khush rahien

Re: GHazal

Posted: Sat Jun 18, 2005 10:41 pm
by najma
Rehana.A wrote:
Salam Dosto!

Kaafi dino ba,ad hazir ho rahi hoon Ustaad ji ki aik ghazal
lay kar :-) Umeed hey aap ko zaroor pasand aa,ay gee .
rehana sahiba

aadaab

aaj apko yahaaN dekh kar az had masarrat huee.

aap ka intikhaab yaqeenan ek (umdah shakhsiyyat ka umdah kalam) la-jawab hay.
share karne ka shukriya :-)

janab a. nazir sahib k kalam ki kya baat hay waah waah waaaah.
aap k intikhaab par daad hazir hayaur is k har har she,r par ghazal k khaliq dilii daad k mustahiq haiN.

ab aap k kalam ka bhi intizaar rahega.

:-)

Posted: Sun Jun 19, 2005 6:00 am
by little abbasi
SALA/\/\.

WAH WAH BOHAT ACHI GHAZAL SHARE KE HAI BOHAT SHUKRIYA.

ATTIQ ABBASI

Posted: Sun Jun 19, 2005 6:07 am
by best
Aadaab,


mashallah Bohat acha kalam share kia hai aap nain.


i m the best

Posted: Sun Jun 19, 2005 6:56 am
by Mahtab Qadr
Mashallah , aik aik sher parh kar lutf aata raha , bahut khoob Abudllah Nazir sahib ki ghazal pesh karne par Rehana sahiba aapka mamnoon hoN

Posted: Sun Jun 19, 2005 8:10 am
by waqar_masood
buhut khoob buhut khoob, ustad e muhturam janab nazir sahib ki kia hi umdah ghazal muntakhib ki aap nay ..lajawab ....aap kay intekhab ki daad na dena bukheel pan ho ga..daad hazir hay

Posted: Sun Jul 10, 2005 10:16 pm
by Hashmat Usmani
salaam ReHaana saaHiba,

bahot Khoob , bahoT hii Khoob...mujhe aapkii pesh kash bahot pasand aayii...aap zara jaldii jaldii aayaa kijiiye...har roz hii aur aise hii achche achchhe kalaam hamaare liye laayaa kijiiye.

ustaad ji ka kalaam hota hii baRa umda aur aalaa. uskii tareef jitnii kii jaaye kam hai. vaise bhii, bahot se ash'aar to ham kam fehm samajh bhii nahiiN paate. par koshish karte haiN .. :)

Hashmat