Page 1 of 1

nazm: "farebii"

Posted: Sat Jun 18, 2005 5:47 pm
by irfan abid
aadaab, dosto!

bahut dinoN se koii nazm nahiiN kahii thii. sochaa aaj aap ko ek muKhtasar nazm sunaa duuN. to mulaahiza farmaaiye, aur apnii raae se navaaziye.

nazm: “farebii”

andherii sard raatoN meN
kabhii tanhaayioN kaa karb jab had se guzartaa hai
to maiN tere KhayaaloN kii nayii sham.aeN jalaataa huuN

magar afsos, sad.afsos! andhere kam nahiiN hote
biyaabaan-e-dil-e-naa.shaad kii vahshat nahiiN jaatii

na jaane kyuuN
KhayaaloN se tire maiN lutf kii ummeed rakhtaa huuN
na jaane kyuuN
maiN is sach ko nazar.andaaz kartaa huuN
ki ye BHII to farebii haiN!

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Posted: Sun Jun 19, 2005 5:42 am
by Ibn-e-siddique
Irfan bhai

salaam arz hai

vaah janaaab, lutf aaya aap ki nazm paRh ker

bahot khoob, meri jaanib se daad haazir hai, qubool farmaa lijiye :-)

amjad

Posted: Sun Jun 19, 2005 8:15 am
by waqar_masood
muhturam irfan abid sahib

MA SHA ALLAH nehayat umdah nazam kahi aap nay ...meri janib say daad hazir hay

Posted: Sun Jun 19, 2005 8:40 am
by Mahtab Qadr
bahut khooob janaab , kash koii nazmeiN bhi pesh karta rahe ke asl shayeri ka maza to nazmoN se hi aata hai. bahut umda nazm hai.
shukria

Posted: Sat Jul 02, 2005 12:18 am
by irfan abid
Amjad Sb, v'assalaam!

javaab meN taaKheer kii maazrat! aap kii daad qubuul kii gayii. :-)

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Posted: Sat Jul 02, 2005 12:23 am
by irfan abid
Waqar Sb, aadaab!

bhaaii, kaise mizaaj haiN? nazm par daad kaa shukriya qubuul keejiye!

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Posted: Wed Jul 06, 2005 12:11 am
by irfan abid
Mahtab Sb, aadaab!

qadr.daanii kaa shukriya! meraa zahn nazm kii jaanib kam hii maail hotaa hai, lekin aap ke hukm kii taameel kii puurii koshish karuuNgaa.

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Posted: Wed Jul 06, 2005 12:13 am
by irfan abid
Sara sahiba, salaam arz hai!

nazm pasand farmaane kaa bahut bahut shukriya!

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Posted: Wed Jul 06, 2005 12:34 am
by Hashmat Usmani
salaam Irfan saaHib,

aapkii yeh muKhtasir magar jaam'e Khayaalaat par mabnii nazm paRh kar baRa lutf aayaa. yaqeenan aap shahnshaah-e-Ghazal hii nahiiN balki baadsheh-e-nazm bhii haiN...maiN to pahle hii mo'taqid e Ghazaliyaat thaa hii magar ab aapkii is nazm ne mujhe aapkii nazmoN kaa bhii shaidaaii banaa diyaa hai.

bahot Khoob Irfan saaHib...share karne ke liye aapkaa bahot bahot shukria. ham bahot maHzooz huye.

Posted: Sun Jul 10, 2005 3:33 pm
by irfan abid
Usmani Sb, aadaab arz hai!

huzuur, is qadar izzat.afzaaii kaa maiN ahl to nahiiN, lekin aap kii navaazish kaa shukriya mujh par vaajib hai so qubuul farmaaiye! :-)

niyaazmand,
Irfan :Abid: