teri rehmaton k dayar main, tere badalon ka pata nahi=====
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
teri rehmaton k dayar main, tere badalon ka pata nahi=====
sorry
shaair ka naam ma,loom naheeN
teri rehmaton k dayar main, tere badalon ka pata nahi
abhi aag serd nahi hui, abhi ek allao bujha nahi
meri bazm-e-dil to ujer chuki, mera fersh-e-jan to simat chuka
sabhi ja chuke mere hum nasheen, mager aik shaks gya nahi
der-o-baam sab nay saja liye, sabhi roshni main naha liye
meri ungliyan bhi jhulas gayin, mager aik cheraagh jala nahi
ghum-e-zindagi teri rah main, shab-e-arzoo teri chah main
jo ujer gya woh basa nahi, jo bicher gya wo mila nahi
jo dil-o-nazar na saroor tha, mere pas reh k bhi dur tha
wohi ek gulaab umeed ka, meri shakh-e-jan pe khila nahi
pas-e-karvan ser-e-rahguzer, main shikasta pa hun to is liye
k qadam to us nay mila liye, mera dil kisi say mila nahi
mera hum safer jo ajeeb hai, to ajeeb ter hun main aap bhi
mujhe manzilon ke khaber nahi, usay raston ka pata nahi