Page 1 of 1

na janay kaisi hawa chali hai, k sheher sara (Akhter Malik`)

Posted: Sun Jun 19, 2005 9:31 pm
by najma
na janay kaisi hawa chali hai, k sheher sara badal gya hai
kisi ke ankhain badal gai hain, kisi ka chehra badal gya hai

haseen din thay jameel ratain, na khatam hoti then apni batain
ajeeb chup se theher gayi hai, woh jab say lehja badal gya hai

fizayain be noor ho rahi hain, hawayain chup chaap ro rahi hain
bus ek judai say apnay gher ka tamam naqsha badal gya hai

ab apni manzil nahi hai koi, ab apna rasta nahi hai koi
kisi say manzil badal gayi hai, kisi say rasta badal gya hai

nazar say guzeray to dekh laina, yaad ay to soch laina
kabhi to shak sa guzernay lagta hai, jaisay rishta badal gya hai

kabhi to yun tha her aik sa'at malal rehta tha duriyon pe
aur ab yeh alam hai zindagani ka lamha lamha badal gya hai

kai dino say usay hum Akhter` ajeeb huliye main dekhte hain
k jism sara usi terha hai bus aik chehra badal gya hai

(Akhter Malik`)

Posted: Wed Jun 22, 2005 11:21 am
by najma
bohat shukriya sara!
khush rahiyye

Posted: Wed Jun 22, 2005 12:27 pm
by khurram_shaikh
Assalaam o alekum,


waah waah bahoooot khooob shukriya share kernien kaa najma baaji khush rahien

Posted: Wed Jun 22, 2005 3:29 pm
by najma
shukriya khurram

khush raho

najma

:-)