Page 1 of 1

bana gulab to kante chubha gya ek shaks(Ubaid ullah Aleem`)

Posted: Sun Jun 19, 2005 9:33 pm
by najma
bana gulab to kante chubha gya ek shaks
hua cheraagh to gher he jala gya ek shaks

tamam rang mere aur saray khuab mere
fasana thay k fasana bana gya ek shaks

main kis hawa main uron, kis fiza main lehraon
dukhon k jaal her ek soo bicha gya ek shaks

palat sakon he na agay he berh sakon jis per
mujhe ye kon say rastay laga gya ek shaks

mohabatain bhi ajeeb, us ke nafratain bhi kamal
meri terha ka mujh main sama gya ek shaks

mohabaton nay kisi ke bhula rakha tha usay
milay woh zakham k phir yaad a gya woh shaks

(Ubaid ullah Aleem`)

Posted: Wed Jun 22, 2005 11:21 am
by najma
sara_j wrote:wah waah! bohat achi ghazal hai aapki pasand humein bhi pasand aayi.

shukriya sara!

lagta hay aur kisi ko bhi pasand nahee aaee.

khush rahiyye

Posted: Wed Jun 22, 2005 12:25 pm
by khurram_shaikh
Assalaam o alekum,


waaaaah bahooot khooob obaid ullaah aleem ki yeh behtreen ghazal humse share kernien kaa behud shukriyaa najma baji khush rahien

Posted: Wed Jun 22, 2005 3:30 pm
by najma
shukriya khurram

khush raho

najma

:-)