Page 1 of 1

guz#6 Haal-e-dil lab pe aa gaya aakhir

Posted: Tue Jun 21, 2005 12:43 pm
by zmufti
“Haal-e-dil lab pe aa gaya aakhir”
koi ham ko bhi bhaa gayaa aakhir

Gham se Daaman chura liya aakhir
jo bhi khoyaa tha paa liyaa aakhir

tha jabeeN saioN ka shauq hameiN
ik sanam hi bana lia aakhir
or
kuch acar na sitam ka ho dil per
dil pathar hi bana liya aakhir


is shehr maiN sirf ham thay tanha
Ham ne bhee Ghar basa liya aakhir

qarz ham per vafaa ka rehta tha
aaj voh bhi chukaa diya aakhir

ab sakat zabt ki rahee na hameN
is liye Haq jataa diyaa aakhir

kis qadar mautabar hai vo zarqa
aayeene ne bata dia aakhir

Re: guz#6 Haal-e-dil lab pe aa gaya aakhir

Posted: Tue Jun 21, 2005 1:23 pm
by najma
zmufti wrote:“Haal-e-dil lab pe aa gaya aakhir”
koi ham ko bhi bhaa gayaa aakhir

Gham se Daaman chura liya aakhir
jo bhi khoyaa tha paa liyaa aakhir

Shouq-e-niyaz-e-jabeeN k liye
Ik sanam ham ne bana liya aakhir

be nishaN manziloN se guzar kar
Ham ne bhee Ghar basa liya aakhir

qarz ham per vafaa ka rehta tha
aaj voh bhi chukaa diya aakhir

Kis qadar who mutaabar hai yahaN per
Aayeena usay dikha diya aakhir

ab sakat zabt ki rahee na hameN
is liye Haq jataa diyaa aakhir



zara sahiba!

ap ki ghazal bohat pasand aaee. dheroN daad qubuul kijie :grin:


bas zara in ash,aar par nazar-e-caanii ki zaroorat hay, ye wazn se kharij hain.

Shouq-e-niyaz-e-jabeeN k liye
Ik sanam ham ne bana liya aakhir

be nishaN manziloN se guzar kar
Ham ne bhee Ghar basa liya aakhir


Kis qadar who mutaabar hai yahaN per
Aayeena usay dikha diya aakhir
==============

is ke ilawa to sabhi she,r bohat pasand aey haiN.

qarz ham per vafaa ka rehta tha
aaj voh bhi chukaa diya aakhir

waah kya baat hay

bohat khoob
:grin:

sada khush rahiyye

:-)

Re: guz#6 Haal-e-dil lab pe aa gaya aakhir

Posted: Wed Jun 22, 2005 7:04 am
by Shummu
zmufti wrote:
Shouq-e-niyaz-e-jabeeN k liye
Ik sanam ham ne bana liya aakhir

qarz ham per vafaa ka rehta tha
aaj voh bhi chukaa diya aakhir

Kis qadar who mutaabar hai yahaN per
Aayeena usay dikha diya aakhir
wah bahut khoob zmufti sahab! :-)

Shumaila

Posted: Wed Jun 22, 2005 7:31 am
by zmufti
najma jee
aadaab
aap har bar mujhe zara likh deti haiN mera naam zarqa hai
aap ka shukria
main koshish karti hon wazan theek karne ki
take care
zarqa

Posted: Wed Jun 22, 2005 7:34 am
by zmufti
Sara jee
aap ka buhat shukria
thanks for reading
zarqa

Posted: Wed Jun 22, 2005 7:37 am
by zmufti
shummo jee
aap ka shukria
zarqa

Posted: Wed Jun 22, 2005 9:23 am
by Mahtab Qadr
Zarqa sahiba abhi tak kisi ne tafseeli jayeza nahi lia islye apni kam mayegi ke bawajood tafseeli raye ki jasarat kar raha hoN. mulahiza kijye
shukria

“Haal-e-dil lab pe aa gaya aakhir”
koi ham ko bhi bhaa gayaa aakhir
Wah wah Mubarak ho :)

Gham se Daaman chura liya aakhir
jo bhi khoyaa tha paa liyaa aakhir
bahut khoob

Shouq-e-niyaz-e-jabeeN k liye
Ik sanam ham ne bana liya aakhir
ye sher yoN bhi kaha ja sakta hai, magar sajde ke lye khuda se barhkar koi nahi waise aap apni fikr ki khud zimmedar haiN.
tha jabeeN saioN ka shauq hameiN
ik sanam hi bana lia aakhir


be nishaN manziloN se guzar kar
Ham ne bhee Ghar basa liya aakhir

misra e oola ko yoN karleiN to shayed maana ziada munasib ho jaiN.
be nishaN manziloN se kioN guzreiN

qarz ham per vafaa ka rehta tha
aaj voh bhi chukaa diya aakhir
ye vafaa kaun haiN :) chaliye unka qarz bhi ada ho gaya aur sher bhi acha hai.

Kis qadar who mutaabar hai yahaN per
Aayeena usay dikha diya aakhir
misra e oola wazan se khaij hai islye agar usay maqta hi banaliajaye to meri raye mai munasib hoga

kis qadar mautabar hai vo zarqa
aayeene ne bata dia aakhir


ab sakat zabt ki rahee na hameN
is liye Haq jataa diyaa aakhir
theek hai,

Posted: Thu Jun 23, 2005 5:36 am
by zmufti
Mahtaab sahib
aap ka buhat shukria
maiN aap ki raaye se muttafiq hoN

be nishaN manziloN se guzar kar
Ham ne bhee Ghar basa liya aakhir
is ko agar yon kar lon

is shehr maiN sirf ham thay tanha
ham ne bhee ghar basa liya aakhir

agar yah misra wazan maiN theek ho to bata dijye ga warna aap ki suggestion hi lagaye daiti hon baqi ashaar aap k mashwarey k mutabiq badal rahi hon
take care
zarqa

Posted: Sun Jun 26, 2005 6:52 am
by Ibn-e-siddique
zarqa behen:

salaam arz hai

aap ne maashallah bahot ache ash'aar kahe haiN, aur ye dekh ker khushi bhi hui ke aap ke kalaam mein ab roz.ba.roz nikhaar aata jaa raha hai

meri jaanib se is kawish per daad qubool kareN, aur isi taraH mashq-e-sukhan jaari rakheN

amjad

Posted: Fri Jul 01, 2005 5:28 pm
by zmufti
Amjad bhai
aadaab
main aap ki tah-e-dil se shukarguzar hon
dua go
zarqa