Page 1 of 1
Dil Doobne lagtaa hei jab raat pighalti hei. Abdullah Nazir
Posted: Wed Jun 22, 2005 8:40 am
by Abdullah Nazir
MuHtaramaat o Muhtarameen
Arbaab-e-meHfil aur aHbab-e-sukhan,
Purkhuloos Tasleemaat, :rose
Aapki khidmat meiN aek taazah ghazal lekar Haazir houaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se mustafeed houne kaa mauqaA denge.
G H A Z A L roman meiN
1- dil Doobne lagtaa hei jab raat pighalti hei
ik shamA-e-gham-e-furqat jalti hei so jalti hei
2- aiy Husn-e-jafaa paishah ghuT ghuT ke na marjaaye
wo aarzoo barsouN se seene meiN jou paltii hei
3- likhkhaa hei keh aaouge milne ko qiaamat meiN
waaN tum ko hansi soojhi yaaN jaan nikalti hei
4- Poochaa jou sitam se wo kiyuooN baaz nahiN aate
Kehne lage deewaane kyaa maut bhii Talti hei
5- maanaa ke mukhaalif heiN ToofaaN miri kashti ke
tum chaahou tou lamHaoN meiN taqdeer badalti hei
6- kyaa tujh ko khabar bhii hei zindaanyi-e-naapursaaN
mazloom kii aahaouN se zanjeer pighalti hei
7- kisTarH se rakhkhooN maiN alfaaz ko qaaboo meiN
jab teri zubaaN akcar talwaar sii chalti hei
8- Nazir se nah poochaakar tuu Haal TabeeAat kaa
Ik rouz bigaRti hei ik rouz sanbhalti hei.
========
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Posted: Wed Jun 22, 2005 9:32 am
by Mahtab Qadr
Mohatramee Abdullah Nazir sahib aapki murassa ghazal nazarnawaz hui , har sher apni sheri aur ilmi haisiat mai lajwab hai, besakhta jin sheroN par baaz halaat ke pesh e nazar daad nikii vo hazb e zail haiN.
shukria
Mahtab Qadr
likhkhaa hei keh aaouge milne ko qiaamat meiN
waaN tum ko hansi soojhi yaaN jaan nikalti hei
kisTarH se rakhkhooN maiN alfaaz ko qaaboo meiN
jab teri zubaaN akcar talwaar sii chalti hei
Nazir se nah poochaakar tuu Haal TabeeAat kaa
Ik rouz bigaRti hei ik rouz sanbhalti hei.
Posted: Wed Jun 22, 2005 10:31 am
by jawaid badauni
MOHTRAM ABDULLAH NAZIR SAHAB,
APKI MURASSAH GHAZAL PER APNA NACHEEZ TABSARA BHEJ RAHA HOON. JISARAT KE LIYE MAAZRAT KHUWAAH HOON.
1-dil Doobne lagtaa hei jab raat pighalti hei
ik shamA-e-gham-e-furqat jalti hei so jalti hei
KYA ZUBAAN HAI SAHAB. QAYAMAT KI SHERRIYAT HAI ISS SHEIR MEn.
2-aiy Husn-e-jafaa paishah ghuT ghuT ke na marjaaye
wo aarzoo barsouN se seene meiN jou paltii hei
HUSNE- JAFA PESHAH" BAHUT PASAND AAYA. AISEE ZUBAAN KOII
SAHIBE ZUBAAN HI ISTAIMAL KAR SAKTA HAI.
3-likhkhaa hei keh aaouge milne ko qiaamat meiN
waaN tum ko hansi soojhi yaaN jaan nikalti hei
4-Poochaa jou sitam se wo kiyuooN baaz nahiN aate
Kehne lage deewaane kyaa maut bhii Talti hei
KHALIS GHAZAL KE RANG MEN YEH MAKALMATI SHE'R BAHUT
PASAND AAYA
5-maanaa ke mukhaalif heiN ToofaaN miri kashti ke
tum chaahou tou lamHaoN meiN taqdeer badalti hei
KYA KAHNA GHAZAL KE SHE'R KO NAAT YA QAASEEDE KI TARAF BHI LE JA SAKTE HAIn. SUBHAAN ALLAH, NAZIR SAHAB.
6-kyaa tujh ko khabar bhii hei zindaanyi-e-naapursaaN
mazloom kii aahaouN se zanjeer pighalti hei
ZINDAANIYE NAAPURSAAN KA ISTAIMAL AAP JAISE KOHNA MASHQ HI KAR SAKTE HAIn. ZANJEER KE PAGHALNE KA BHI KOII JAWAB NAHIN HAI.
7-kisTarH se rakhkhooN maiN alfaaz ko qaaboo meiN
jab teri zubaaN akcar talwaar sii chalti hei
YEH HAI KHALIC GHAZAL KA RANG JO AB KAMYAAB HO GAYA HAI.
SUBHAN AALHAH.
8-Nazir se nah poochaakar tuu Haal TabeeAat kaa
Ik rouz bigaRti hei ik rouz sanbhalti hei.
MAQTA HASB-E HAAL LAGTA HAI. AGAR KHOODA NAH KARDA
TABEEYAT KUCH NASAAZ HAI, AALAH AAP KO SHIFAYE
KAAMIL.O.AAJIL ATAA FARMAYE.
MUKAMMAL GHAZAL PER MERI DAAD AUR TAHSEEN QUBOOL FARMAAIYEGA.
NAACHEEZ
JAWAID BADAUNI
Posted: Wed Jun 22, 2005 7:58 pm
by najma
JANAB A. NAZIR SAHIB!
AADAAB
bohat khoob kalam inayat farmaya hay aap ne.ham har she,r se mehzooz huey, lekin ye chand ash,aar to bohat hii khoob haiN
likhkhaa hei keh aaouge milne ko qiaamat meiN
waaN tum ko hansi soojhi yaaN jaan nikalti hei
maanaa ke mukhaalif heiN ToofaaN miri kashti ke
tum chaahou tou lamHaoN meiN taqdeer badalti hei
kisTarH se rakhkhooN maiN alfaaz ko qaaboo meiN
jab teri zubaaN akcar talwaar sii chalti hei
ek haseen kalam par hamari janb se dilii daad qubool farmaiyye
khair andesh
najma
Bahut bahut shukriya
Posted: Fri Jun 24, 2005 1:58 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Mahtab Qadr Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki Ain navaazish hei ke aap ne meri adnaa sii ghazal ko nah sirf paRhaa balkeh apne tabsireh se bhii navaazaa. Yeh Hauslah afzaayi, yeh daad o teHseen aur yeh chasm-e-karam sab kuch mere liye aek niAmat hei. Aek shayer aur kyaa chaahtaa hei siwaaye iske ke uski jagar souzi kaa silah kam se kam daad o teHseen tou hou.
MaiN is navaazish ke liye aapkaa beHad shukrguzaar hooN.
Aapkka Mukhlis,
Nazir.
Bahut bahut shukriyah
Posted: Fri Jul 01, 2005 4:04 am
by Abdullah Nazir
MuHtaramah
Saara Saahibah
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapko meri ghazal pasand aayi aur aap ne usko apne design meiN pesh karke mujhe mamnoon farmaayaa.
Aapki is Hauslah afzaayhi ke liye behad shukrguzaar hooN.
Aapka Mukhlisl,
Nazir.
Posted: Mon Jul 04, 2005 2:22 pm
by fatimah
aslaam_u_alikam
aaj kaafii dinoN ba`ad is bazm main aanaa huaa. aatey hi nazar mohtaram abdullah nazir sahib ki is gazal per perhii.
perh ker dil khush ho gayaa.
wesey to seniors ko aur khaas tor per ustaadoN key kisii bhi kaam ko serhaaney key liya alfaaz nahin miltey her lafz chootaa lagtaa hey.
is liye sirf itna hi kahun gii keh aap ki yeh gazal behad pasand aayii.
dheroN daad qubool kijiye.
shukriya
Posted: Mon Jul 04, 2005 10:08 pm
by Ibn-e-siddique
Nazir saHIb
salaam arz hai
aap ki is ghazal ne bahot lutf diya, mashallah , tamaam ashaar bahot pasand aaye, matla hi khoob hai, aur mujhe to ye zameen bhi bahot pasand aayee
her she'r per dili daad qubool farmaaiN , aur khaas taur per darj-e-zail ash'aar per to khaas taur per daad Haazir hai :)
1- dil Doobne lagtaa hei jab raat pighalti hei
ik shamA-e-gham-e-furqat jalti hei so jalti hei
3- likhkhaa hei keh aaouge milne ko qiaamat meiN
waaN tum ko hansi soojhi yaaN jaan nikalti hei
6- kyaa tujh ko khabar bhii hei zindaanyi-e-naapursaaN
mazloom kii aahaouN se zanjeer pighalti hei
7- kisTarH se rakhkhooN maiN alfaaz ko qaaboo meiN
jab teri zubaaN akcar talwaar sii chalti hei
8- Nazir se nah poochaakar tuu Haal TabeeAat kaa
Ik rouz bigaRti hei ik rouz sanbhalti hei.
shukria
amjad
Re: Dil Doobne lagtaa hei jab raat pighalti hei. Abdullah N
Posted: Wed Jul 06, 2005 12:57 am
by Hashmat Usmani
moHtaram janaab-e-Naazir saaHib,
aapkii murass'a Ghazal paRh kar maiN be_saakhtaa waah waah kahne lagaa. aapkii shaa'irii to hotii hii hai ustaadaanah aur mujhe aapke kalaam se bahot kuchh seekhne ko miltaa hai. aapkaa andaaz e bayaan, parvaaz e Khayaal aur Husn e taGhazzul aapkii shaa'iri meN kooT kooT kar bharaa hotaa hai. hameN Khushii hai ki aap jaise saaHib fan hamaare beech haiN. aapkaa shukria ki aapne hameN is qaabil samjhaa ki apnii Ghazal hameN sunaaii. mujhe sabhi ash'aar pasand aaye...ab kisii ek kii nishaan_dehii naa-insaafii hogii is liye aapke saare ash'aar likh raha huN jo mujhe pasand aaye
dil Doobne lagtaa hei jab raat pighalti hei
ik shamA-e-gham-e-furqat jalti hei so jalti hei
aiy Husn-e-jafaa paishah ghuT ghuT ke na marjaaye
wo aarzoo barsouN se seene meiN jou paltii hei
likhkhaa hei keh aaouge milne ko qiaamat meiN
waaN tum ko hansi soojhi yaaN jaan nikalti hei
Poochaa jou sitam se wo kiyuooN baaz nahiN aate
Kehne lage deewaane kyaa maut bhii Talti hei
maanaa ke mukhaalif heiN ToofaaN miri kashti ke
tum chaahou tou lamHaoN meiN taqdeer badalti hei
kyaa tujh ko khabar bhii hei zindaanyi-e-naapursaaN
mazloom kii aahaouN se zanjeer pighalti hei
kisTarH se rakhkhooN maiN alfaaz ko qaaboo meiN
jab teri zubaaN akcar talwaar sii chalti hei
Nazir se nah poochaakar tuu Haal TabeeAat kaa
Ik rouz bigaRti hei ik rouz sanbhalti hei.
Bahut bahut shukriyah
Posted: Wed Jul 06, 2005 7:25 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Jawaid Badayuni Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Site kii mushkilaoN ke dauran, maiN idhar udhar tou dekhtaa rahaa lekin apnii hii ghazal kii Taraf nazar nahiN gaiee. Waise aapkaa bahut ziyaadah Hauslah afzaa tabSirah paRh tou chukaa thaa lekin zehn meiN yeh baat rehgaii thii ke maiN ne javaab likhdiyaa hei. Aaj kyaa dekhtaa hooN ke maiN ne bahut se tabSiraoN ke javaabaat nahiN diye heiN. Is liyhe ab maiN ne azm karliyaa hei yeh kaam shurooA kardooN.
Sab se pahle aapka tabSirah sar-e-fehrist hei. Aapka shukriyah adaa karne ke liye mere paas alfaaz nahiN heiN. Aap ne apne zarreen tabsireh meiN jou kuch likhkhaa hei, uske saamne meri ghazal bhii maand paRgaiee hei. Allah aapko jazaay-e-khair de.
Aapka Mukhlis,
Nazir.