Page 1 of 1

nak,hat-e-gul hooN, dil-o-jaaN meiN chupaa lo mujhko=najma

Posted: Thu Jun 23, 2005 1:22 am
by najma
sathiyo!

aadaab

ek ghazal aap sab ki nazr

ho sake to raeyse nawaziyega

khairandesh

najma

Re: nak,hat-e-gul hooN, dil-o-jaaN meiN chupaa lo mujhko=naj

Posted: Thu Jun 23, 2005 11:26 am
by jawaid badauni
najma wrote:sathiyo!

aadaab

ek ghazal aap sab ki nazr

ho sake to raeyse nawaziyega

khairandesh

najma
MohtarmaH Najma Ansaar SahibaH

Kya kahna bahin, nihayat khubsoorat ghazal se nawaza hai aap ne. Subha uThte hi sub se pahle aap ki Ghazal dekhi, dil Khoosh ho gaya. Aaj ka din yaqeenan achcha guzarne wala hai.

Har she'r lajawaab hai, kiss kiss per daad dooN, kiss kiss ki tAaref karoN? HaaN, Bahin matAley meN "typing" ki ek ghaltee ho gayee hai jahaN aap "jaaN" ki jagah "jaan" type kar gayee haiN ossko thik kar lijiyega.

Iss haseen kavish per meri janib se daad.O.tahseen aur mubarakbaad qubool farmaaiye.

Niyazmand,
Jawaid Badauni

Re: nak,hat-e-gul hooN, dil-o-jaaN meiN chupaa lo mujhko=naj

Posted: Thu Jun 23, 2005 11:51 am
by najma
jawaid badauni wrote:
najma wrote:sathiyo!

aadaab

ek ghazal aap sab ki nazr

ho sake to raeyse nawaziyega

khairandesh

najma
MohtarmaH Najma Ansaar SahibaH

Kya kahna bahin, nihayat khubsoorat ghazal se nawaza hai aap ne. Subha uThte hi sub se pahle aap ki Ghazal dekhi, dil Khoosh ho gaya. Aaj ka din yaqeenan achcha guzarne wala hai.

Har she'r lajawaab hai, kiss kiss per daad dooN, kiss kiss ki tAaref karoN? HaaN, Bahin matAley meN "typing" ki ek ghaltee ho gayee hai jahaN aap "jaaN" ki jagah "jaan" type kar gayee haiN ossko thik kar lijiyega.

Iss haseen kavish per meri janib se daad.O.tahseen aur mubarakbaad qubool farmaaiye.

Niyazmand,
Jawaid Badauni

jawaid bhaee!

aadaab

itni pur-khuloos pazeeraaee ke liye ham aap ke be-had mamnoon haiN. :-) aur dua hay keh allaah hamri laaj rakhay aur aap ki tawaqq,o bhi poori, keh din waqaee umdah guzra ho :grin:
aur haaN, nishan dahii ka shukriya, hamne noon ko =noon GhunnaN=kardiya hay.

jazak allaah

khair andesh
najma
:-)

Posted: Thu Jun 23, 2005 10:41 pm
by Mahtab Qadr
waahwaah bahut khoob Najma ji aap ki is khoobsurat ghazal ne hameiN waqai ghazal ke mazameen yaad dila diye ghazal waqai ghazal hai apni tashbeehat aur isteaaroN ka bahad khoobsurat imtezaaj ke sath.
Mahtab Qadr

Posted: Sat Jun 25, 2005 12:17 am
by naheedv
Najma jee,
Qatil Shafai kee zameen meN kahee gayee aap kee ye ghazal bhee pasaNd aayee!

Subh.e.ilhaam ke hoNToN kee ghazal hooN :Najma:
she'r ke parahan.e.naaz meN Dhaalo mujh ko


waah, buhat khoob shier' hai,
daad qubool kijiye!

mukhlis
Naheed

Posted: Sat Jun 25, 2005 4:29 am
by waqar_masood
Muhturam najma sahib,

aap ki yeh khusboorat ghazal parh ker samajh nahi atee kaisay kaisay khubsoorat alfaz mein aap ko daad doon keh nehayat pasand ayee aap ki ghazal ...meri janib say buhut buhut daad hazir hay , ik buhut hi khubsoorat aur muammak ghazal per mubarkbaad qubool kejay ,

waqar masood