Page 1 of 1
ajeeb husn parasti hai uski aNkhoN mai
Posted: Thu Jun 23, 2005 10:48 pm
by Mahtab Qadr
Aik Taza Ghazal
vo aashnaai jo baqi hai uski aaNkhoN mai
vo teeragi maiN chamakti hai uski aaNkhoN mai
mai uski jheel si aNkhoN main doob doob gaya
ke mere lams ki kashti hai uski aaNkhoN mai
ghazab ka rang bhi uske, anokha hai sab se
balaa ki aag barasti hai uski aaNkhoN mai
vo jab bhi karb ke darya mai doob jaati hai
har aik cheez larazti hai uski aNkhoN mai
vo seemtan bhi hai seemaab kaifiat ki ameeN
ke izteraab ki putli hai uski aaNkhoN mai
vo ban ke aaNkheiN meri dekhti hai dunya ko
ajeeb husn parasti hai uski aNkhoN mai
Re: ajeeb husn parasti hai uski aNkhoN mai
Posted: Fri Jun 24, 2005 9:52 am
by najma
Mahtab Qadr wrote:Aik Taza Ghazal

janab mahtabsahib
aadaab
aapki ye ghazal pasand aae.
aap k rang mein behtareen ash,aar, behtareen, khayaal, aur behtareen andaz-e-ghazal ke tamam taqazoN se bhar pur kalaam hay.
ghazab ka rang bhi uske, anokha hai sab se
balaa ki aag barasti hai uski aaNkhoN mai
waah
bohatkhoob
daad qubool kijiye
khair andesh
najma
Re: ajeeb husn parasti hai uski aNkhoN mai
Posted: Fri Jun 24, 2005 1:53 pm
by naheedv
Mahtab Qadr wrote:Aik Taza Ghazal
vo aashnaai jo baqi hai uski aaNkhoN mai
vo teeragi maiN chamakti hai uski aaNkhoN mai
mai uski jheel si aNkhoN main doob doob gaya
ke mere lams ki kashti hai uski aaNkhoN mai
ghazab ka rang bhi uske, anokha hai sab se
balaa ki aag barasti hai uski aaNkhoN mai
vo jab bhi karb ke darya mai doob jaati hai
har aik cheez larazti hai uski aNkhoN mai
vo seemtan bhi hai seemaab kaifiat ki ameeN
ke izteraab ki putli hai uski aaNkhoN mai
vo ban ke aaNkheiN meri dekhti hai dunya ko
ajeeb husn parasti hai uski aNkhoN mai
janaab Mahtab saahab,
aadaab,
aap kee "aaNkhoN" kee radeef ke saath ye ghazal pasaNd aayee.
iss baar aap kaa kalaam aik mukhtalif raNg meN nazar aayaa jo ke achaa lagaa.
aap ghazal kaa maqta' paRh kar aik gaanaa yaad aa geyaa:
"tum meree aaNkhoN se daikho dunyaa saari"
maiN aap ko iss kaavish par daad paish karti hooN, qubool kijiye!
mukhliS
Naheed
Posted: Fri Jun 24, 2005 9:44 pm
by Mahtab Qadr
Najma ji aap ki daad ne hausla afzai ki, shayer baharhal apne ehsasaat aur muashire ke roz o shab se istefada karta hai, meri ghazal hamesha ghar ke andar aur baher donoN ke taqazoN ko poora karna chahti hai, mai ismai kitna kamyab ye to waqt aur aap logoN ki raye hi bata sakti hai. daad ka behad shukria
khuloos kaish
Mahtab Qadr
Posted: Fri Jun 24, 2005 9:50 pm
by Mahtab Qadr
Naheed ji aadaab o tasleem
Aap ki in khoobsuraat lofzoN mai daad ne behad khush kia , aap kobhi Allah khush rakhe. aap ne sahi farmaya ke ye meri ghazal ka umooman rang nahi hai. laikin baharhal mai sheri zauq rakhto hoN to zaher ke Ghazal ke asli mizaj se rugardaani nahi karsakta , islye kabhi kabhi aisi ghazleiN bhi kahleta hoN balke meri aksar nazmeiN bhi isi mizaj ki haiN.
baharhal aapki in adabnawazioN ke lye mashkoor hoN
niazmand
Mahtab Qadr
Posted: Sat Jun 25, 2005 4:36 am
by waqar_masood
ghazab ka rang bhi uske, anokha hai sab se
balaa ki aag barasti hai uski aaNkhoN mai
wah buhut khoob..kia kehnay
vo jab bhi karb ke darya mai doob jaati hai
har aik cheez larazti hai uski aNkhoN mai
buhut acchay ...daad hazir hay
vo ban ke aaNkheiN meri dekhti hai dunya ko
ajeeb husn parasti hai uski aNkhoN mai
MA SHA ALLAH nehayat umdah tareeqay say ghazal ka ikhtataam howa, buhut khobsoorat maqtaa
aap ki ghazal bay had pasand ayee, muntakhib kerda do ash^aar sab say ziada pasand aye baqi ash^ar bhi buhut umdah hein .meri janib say daad hazir hay
waqar masood
Posted: Sun Jun 26, 2005 5:28 am
by Mahtab Qadr
Bahut Shukria Wiqar Masood Sahib
khair andesh
MahtabQadr
Re: ajeeb husn parasti hai uski aNkhoN mai
Posted: Sun Jun 26, 2005 7:37 am
by Ibn-e-siddique
Mahtab saHib:
salaam arz hai
janaab aap ki ye taaza ghazal nazar navaaz hui, aur be.saakhta ashaar per daad nikli :)
Mahtab Qadr wrote:
vo aashnaai jo baqi hai uski aaNkhoN mai
vo teeragi maiN chamakti hai uski aaNkhoN mai
bahot khoob janaab, shoaraa ke liye to voh "aashnaai" ziaa-e-khursheed ke mutaraadif hoti hai ;)
ghazab ka rang bhi uske, anokha hai sab se
balaa ki aag barasti hai uski aaNkhoN mai
vaah, acha she'r hai, aur meHboob ke gheez-o-ghazab ka rang bhi khoob dikhaaya. daad qubool kijiye
vo jab bhi karb ke darya mai doob jaati hai
har aik cheez larazti hai uski aNkhoN mai
ye bhi acha hai, pasand aaya
vo seemtan bhi hai seemaab kaifiat ki ameeN
ke izteraab ki putli hai uski aaNkhoN mai
bahot khoob, acha lagaa aap ka ye andaaz, "iztiraab ki putli" vaah !!
vo ban ke aaNkheiN meri dekhti hai dunya ko
ajeeb husn parasti hai uski aNkhoN mai
aakhir she'r bhi pasand aaya, meri jaanib se is khoobsurat ghazal per daad qubool kijiye
amjad
Posted: Sun Jun 26, 2005 10:17 am
by Mahtab Qadr
Amjad sahib w.salaam wa rahma,Bhai har sher isqasdar bharpoor daaad ka behad shukria, bahut zarranawazi :)
niazmand
MahtabQadr
Posted: Wed Jul 06, 2005 12:07 am
by irfan abid
Mahtab Sb, aadaab!
Khuub Ghazal hai. daad qubuul farmaaiye!
niyaazmand,
Irfan :Abid:
Re: ajeeb husn parasti hai uski aNkhoN mai
Posted: Wed Jul 06, 2005 12:48 am
by Hashmat Usmani
janaab-e-Mahtaab saaHib,
aapkii Ghazal paRh kar aisa suroor chhaayaa ki bas abhi tak ayaaN hai "aankhoN meN". ba_Khuda bahot pasand aayii aapkii Ghazal mujhe. har ek she'r chust aur dil ko chhoo lene waalaa. intehaaii achchhe mazaameen aapne qalam_band kiye haiN. meri taraf se mubaarakbaad qubool farmaaiye aur share karne ke liye ham aapke mutashakkir haiN.
mujhe yeh ash'aar bahot pasand aaye:
vo aashnaai jo baqi hai uski aaNkhoN mai
vo teeragi maiN chamakti hai uski aaNkhoN mai
mai uski jheel si aNkhoN main doob doob gaya
ke mere lams ki kashti hai uski aaNkhoN mai
ghazab ka rang bhi uske, anokha hai sab se
balaa ki aag barasti hai uski aaNkhoN mai
vo seemtan bhi hai seemaab kaifiat ki ameeN
ke izteraab ki putli hai uski aaNkhoN mai
vo ban ke aaNkheiN meri dekhti hai dunya ko
ajeeb husn parasti hai uski aNkhoN maiN
waah janaab waah! subHaan Allah, marHaba!!
Irfan sahib
Posted: Wed Jul 06, 2005 6:38 am
by Mahtab Qadr
Bradar e Azeez Irfan Abid Sahib
aapki daad o tahseen yaqeenan mere lye qeemti sarmaya hai. behad mashkoor hoN, mai khush hoN ke
koi sune na sune meri shayeri mahtaab
nigaah e ahl e hunar ne usay qubool kia
irfan abid wrote:Mahtab Sb, aadaab!
Khuub Ghazal hai. daad qubuul farmaaiye!
niyaazmand,
Irfan :Abid:
Re: ajeeb husn parasti hai uski aNkhoN mai
Posted: Wed Jul 06, 2005 6:41 am
by Mahtab Qadr
Janab e Hashmat Usmani sahib
aapki purkhuloos daad aur andaaz e sitayesh yaqeenan mere lye hausla afza hai, darasl mai lofzoN ke pairahan ko nahi balke unke andar chupe huve ekhlas ka qadardaan hoN islye behad mashkoorhoN aapki is khoobsurat tahreer ka.
khulooskaish
MahtabQadr
Hashmat Usmani wrote:janaab-e-Mahtaab saaHib,
aapkii Ghazal paRh kar aisa suroor chhaayaa ki bas abhi tak ayaaN hai "aankhoN meN". ba_Khuda bahot pasand aayii aapkii Ghazal mujhe. har ek she'r chust aur dil ko chhoo lene waalaa. intehaaii achchhe mazaameen aapne qalam_band kiye haiN. meri taraf se mubaarakbaad qubool farmaaiye aur share karne ke liye ham aapke mutashakkir haiN.
mujhe yeh ash'aar bahot pasand aaye:
vo aashnaai jo baqi hai uski aaNkhoN mai
vo teeragi maiN chamakti hai uski aaNkhoN mai
mai uski jheel si aNkhoN main doob doob gaya
ke mere lams ki kashti hai uski aaNkhoN mai
ghazab ka rang bhi uske, anokha hai sab se
balaa ki aag barasti hai uski aaNkhoN mai
vo seemtan bhi hai seemaab kaifiat ki ameeN
ke izteraab ki putli hai uski aaNkhoN mai
vo ban ke aaNkheiN meri dekhti hai dunya ko
ajeeb husn parasti hai uski aNkhoN maiN
waah janaab waah! subHaan Allah, marHaba!!
Posted: Mon Jul 11, 2005 7:30 am
by Mahtab Qadr
Saara ji :)
"aap vo baat kioN poochte ho jo bataane ke qabil nahi hai"
daad ka shukria huzoor