Page 1 of 1

Khush-aamded janaab-e-moHtaram Irfan Barabankawi saaHib

Posted: Mon Jan 03, 2005 5:05 am
by Hashmat Usmani
moHtaram janaab e Irfan saaHib,

assalaam_o_'alaikum'

ummeed hai ki mizaaj e giraamii ba_Khair hoNge.

[rainbow][h2]Khush-aamded/Welcome/Shubh-aagaman
[/h2][/rainbow]

ham aapkaa is maHfil meN pur_josh Khair_maqdam karte haiN. aapkii shamooliyat hamaare liye baa'is-e-faKhr aur sad masarrat hai. aapkii tashreef_aavorii ka shukria. aap yaqeenan is maHfil ko raunaq baKhsheNge aur hameN aap se kuchh seekhne ka mauq'a milegaa. aapkii nigaarishaat ka shiddat se intezaar rahegaa.

faqat Khaak_nashiiN,

Hashmat

Posted: Mon Jan 03, 2005 4:38 pm
by Shummu
Salaamz Irfan sahab...aap ko yahan dekh kar bahut khushi hui...main aap ka tah-e-dil se khairmaqdam karti hoon is nayi anjuman mein ...ummeed hai aap aate rahenge aur apne kalaam se mehfil ko sajaate rahenge :D

WELCOME @URDUBANDHAN :)

Shumaila

Posted: Mon Jan 03, 2005 5:05 pm
by brainheater
asslamualikum


mohtaram irfan sahib aap ko is bazm mein tah_e_dil se khushamdeed kahtey hain

KHUSHAAMADED

Posted: Tue Jan 04, 2005 3:05 am
by Abdullah Nazir
[rainbow][h2]Khush-aamded Irfan BB. SAAHIB
[/rainbow][/h2]


Aapko URDUBANDHAN kii meHfil meiN dekhkar bahut khushi houi. Ham sab aapkaa istiqbaal karte heiN aur ummeed hei keh aapki sargarmiyaoN se yahaN kii raunaq dobaalaa houjayegi.


Aapka Mukhlis,

Nazir.


shukriyah

Posted: Thu Jan 06, 2005 12:17 pm
by irfan barabankwi
mohtarameen

WEBMASTER NAZIR SAAHIB
MEHTAB QADR SAAHIB
HASHMAT USMANI SAAHIB
SARA SAAHIBAH
SHUMAILA SAAHIBAH

salam alaikum

saathiyo, mujhe urdubandhan meiN jakaRne waley mohatram nazir saahib haiN. iNhi ki kawishoN se maiN yahaN aa saka hoon. AAP SABKI MOHABBAT AUR HAUSLAH AFZAYI milti rahi tau inshallah maiN barabar is bazm meiN aata rahoonga. lekin meri kuchh majbooriyaN haiN jnki wajah se maiN internet ko ziyadah waqt nahi de paata hooN. meri is majboori ki wajah se urdustan ke kuchh puraney dontoN ne meri takhleeqat per tabsirah karna bhi chhoR diya hai lekin maIn kiya karooN . fursat ke auqat mujhey bahut kum muyassar aate haiN isliye bahut kum likh paata hooN aur jawabat meiN bhi bahut takheer ho jati hai. khair jab bhi waqt milega maiN hazir hota rahooNga.

ummeed hai ke aap sab apni aara se nawazte raheiNge. shukriyah

khair andaish

irfan barabankwi