Page 1 of 3
Lafz par Ashaar#13--"TAMANNA / ARMAAN "
Posted: Mon Jul 04, 2005 1:43 pm
by syed bilal armaan
Asalam walekum dosto!
ummid ke sab kahriyaat se honge. lijye pesh hai is martaba ka unwan.
is baar ka unwaan hai "TAMANNA / ARMAAN ".is unwaan par bhi app apne pasandida ashar bhejein.lijye main shoorwat kiye deta hoon...faraz sahab ka shair hai...mulaheza kijye.
ab dil ki tamana hai toh aye kash yahi ho
ansoo ki jagha ankh se hasrat nikal aye[/b]
Posted: Mon Jul 04, 2005 3:02 pm
by syed bilal armaan
ik umr sey hamus ki taman'na main hain be khwab
woh chand jo Aangan main utarta bhi nahina hai
is umr kai sehra sey tei yaad ka badal
talta bhi nahin aur barsta bhi nahin hai
Posted: Mon Jul 04, 2005 3:05 pm
by syed bilal armaan
tujh say jis tar'ha main izhaar-e-tamanna kerta
lafz soojha tou maani nay------ baghawat ker di
Posted: Mon Jul 04, 2005 3:06 pm
by syed bilal armaan
tujh say kis tar'ha main izhaar-e-tamanna kerta
lafz soojha tou maani nay------ baghawat ker di
Posted: Tue Jul 05, 2005 5:58 pm
by Hashmat Usmani
jo unkii tamannaa hai barbaad ho jaa
to, ai dil! moHabbat kii dunyaa luTaa de
taRap aur taRap kar abhii jaan de de
yuN miTte haiN miT jaane_waale, dikhaa de!
Posted: Wed Jul 06, 2005 5:07 am
by Hashmat Usmani
tamannaaoN meN uljhaayaa gayaa huuN
khilaune de ke bahlaayaa gayaa huuN
Shaad 'Azeemaabaadii
Posted: Wed Jul 06, 2005 2:39 pm
by syed bilal armaan
tuje ko pane ki tamana toh mita di main ney
dil se magar deedar ki hasrat nahi gayi
Posted: Thu Jul 07, 2005 2:50 am
by Hashmat Usmani
jab kashti saabit_o_salim thii, saaHil ki tamannaa kis ko thii
ab aisii shikasta kashti par saaHil ki tamannaa kaun kare
Mo'iin AHsan "Jazbi"
Posted: Sat Jul 09, 2005 4:01 pm
by syed bilal armaan
meraa khuloos, meri tamanna , miraa yaqeeN
ye paude maaNgte haiN vafaaoN ki sar zameeN
Posted: Sun Jul 10, 2005 12:10 pm
by syed bilal armaan
ab koi tamana hai na armaa'n mere aage
har lamha hua jata hai asa'n mere aage
Posted: Sun Jul 10, 2005 3:38 pm
by PK Swami
yaraane mehfil
aadaab.
lafz tamanaa/aarzoo par jo sher mujhe yaad aa rahe haiN, pesh kar rahaa hooN. agar ek se jiyaadaa sher likhnaa munaasib naheeN to maazratkhwaaH hooN.
aapkaa izhaar.e pasandgee mere liye hausalaa afzaaie hogee!
tamanna thee agar apnee to ye thee aakhiree apnee
k tum saahil pe hote aur kishtee dooBtee apnee
tamannaaoN meiN uljhayaa gayaa hooN
khilaune de ke baHlayaa gayaa hooN
kambakht mujhe jee se guzarne nahee detee
jeene kee tamanna mujhe marne nahee detee
koi dil aisaa nazar na aayaa na jisme khwabedaa ho tamanna
ilaaHee tera jahaan kyaa hai, nigaarkhanaa hai aarzoo kaa
jaltaa hee rahaa dil meiN tamannaaoN kaa suraj
aaNkhooN se mere barf pighaltee hee raHee hai
dekh kar dilkashee zamaane kee
aarzoo hai fareb khaane kee
hai husool.e aarzoo kaa naam tark.e aarzoo
maine duniyaa choR dee to mil gayee duniyaa mujhe
jalaa sako to jalaao tum aarzoo ke chirragh
saHar kee raaH na dekho saHar mile na mile
aarzoo teri barqaraar rahe
dil ka kyaa rahaa, rahaa na rahaa
vo teergee hai rah.e butaaN meiN, chiraagh.e rukh hai na shamm.e vadaa
kiran koi aarzoo kee laao, k sab dar.o.baam bujh gaye haiN
Regards to everyone.
PK Swami
Posted: Mon Jul 11, 2005 12:03 pm
by syed bilal armaan
Aa jao jaan-e-jaan'anARMAA"Nlahu lahu hain
furqat ney mere dil main chriyaan uttari hain
Posted: Tue Jul 12, 2005 4:30 am
by Hashmat Usmani
paas-e-adab meN josh-e-tamannaa liye huye
maiN bhii huuN ek Hubaab meN dariyaa liye huye
AsGhar GonDvii
armaan
Posted: Wed Jul 13, 2005 2:23 pm
by Abdullah Nazir
MaiN dil o jaaN se fidaa hougayaa kab kaa tujh per
tuu bhii ik din miraa armaan nikal jaane de.
Nazir.
Posted: Wed Jul 13, 2005 5:18 pm
by PK Swami
tere dast.e karam ko choom lene ki tamanna hai
mujhe peene ki hasrat to baraa.e naam hai saqi
teri halqaa.b.goshee do jahaaN ki baadshahee hai
voo aaqaa hai jo teraa ban.dae be.daam hai saqi
PK Swami