Page 1 of 1

TARAHI GHAZAL - -- - (GUZ.7) by: ABDULLAH NAZIR.

Posted: Fri Jul 08, 2005 7:27 am
by Abdullah Nazir

MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-Sukhan,


Purkhuloos Tasleemaat, :rose

Guzarish 7 ke TaraHi misreA per apni ghazal pesh karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazkar mujhe shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge:

GHAZAL - roman meiN

1- tuu nah jab tak muskuraanaa chouRde
koii kaise dil lagaanaa chouRde

2- shaam-e-hijraaN jee jalaanaa chouRde
"khul ke mil bus moNh chupaanaa chouRde

3- baRh nah jaaye aur bhii deewaanah pun
jaan-e-jaanaaN aazmaanaa chouRde

4- qatl karde mujhko chashm-e-naaz se
zindagi bhar kaa sataanaa chouRde

5- kyaa tujhe dunyaa nazar aati nahiN
Her sitam mujh per hii Dhaanaa chouRde

6-waAdah o iqraar kaa rakh le bharam
aa bhii jaa, baateN banaanaa chouRde

7- Deeda-e-nam koie daryaa tou nahiN
mere ashkaoN meiN nahaanaa chouRde

8- Dasht-e-ghurbat meiN akailaa kyaa karuN
yooN nah mujhko be-Thikaanaa chouRde

9- mujh pah kyaa guzregii farT-e-karb meiN
aankh gar aansoo bahaanaa chouRde

10- khirman-e-hastii nah jal jaaye miraa
Husn kaa jaadoo jagaanaa chouRde

11- barg-e-gul hou yaa houN ;Nazir: uske lab
jaam-e-maie ko moNh lagaanaa chouRde

====


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Posted: Sat Jul 09, 2005 10:41 am
by Mahtab Qadr
Mohatram Abdullah Bhai salaam e masnoon
Wah wah huzoor e waala aap ki ghazal to MASHALLAH aapki ghazal hai. mai daad o tahseen ke phool hi nichawar karsakta hoN, warna meri kia bisaat ke tabsira ya raye jaisi koi tahreer likhoN aapke kalam par. bahut umda , aur aapke qudrat e kalaam aur ustadaana andaaz e bayaan ki mazhar hai ye ghazal yaqeenan hameiN istefaada ka aik zariya hai.
shukria
Mahtab Qadr

Posted: Thu Jul 14, 2005 1:13 am
by Hashmat Usmani
salaam moHtaram Naazir saaHib,

ek baar phir aapkii Ghazal ne hameN masroor o masHoor kar diyaa. har she'r meN barjastagii hai. har she'r munfarid hai. kaise kaise Khayaal ko jaama pahnaayaa hai aapne...kaash Ghazal kahna koi aasaan kaam hotaa to ham bhi koi "KAAM" kar gaye hote. shukria Naazir saaHib k aapne apna umda kalaam hamaare saath share kiyaa.

Hashmat

Posted: Fri Jul 15, 2005 1:24 am
by PK Swami
Muhtarim Naazir Saheb
aadaab

kyaa keHne hai is khoobsoorat ghazal ke!! har sher par bas daad dete rahne ko jee chahtaa hai. aik aik sher eHsaas aur alfaaz key jaaNnisaar perHan meiN hai aur apne husn se paRhne wale ko masroor kartaa hai.

mubarakbaad!!


PK Swami

Posted: Fri Jul 15, 2005 10:56 am
by jawaid badauni
Mohtarmee wa Mukarramee Abdullah Nazir Sahab
Aadab

Shayad isee ko kahte hain "der aayad durst aayad".
Nihatat umdah ghazal se nawaza ha aap ne.
Ghazal ka har sher Khalic ghazal ke rang men hai
yeh alag baat kuch ashaar men "shoKhi" ziyada
hai kuch men "fikr". Mukammal ghazal "sheiriyyat"
aur "aamad" ka ek anokha sangam hai.
Aisee haseen ghazal ko agar achche tarannum
se paRha jaaye to shayad iss ka lutf aur bhi baRh
jayega.

Naashanaase suKhan hooN phir bhee apni adna'
daad.o.tahseen pesh karta hooN.

Naacheez,

Jawaid Badauni