Baja Keh Aankh Main__________________________Parveen Shakir.
Posted: Sat Jul 09, 2005 2:42 am
aadab dostoo,
Parveen Shakir ka kalaam pesh hay, umeed hay passand farmaien gaay.
kalaam-e Parveen Shakir
G H A Z A L roman meiN:
By: Parveen Shaakir,
Bajaa ke aankh meiN neendaoN ke silsile bhii nahiN
Shikast-e-khwaab ke ab mujh meiN Hausale bhii nahiN
nahiN nahiN! Yeh khabar dushmanaoN ne dii hougi
wo aaye, aake chale bhii gaye, mile bhii nahiN
yeh kaun loag andheraoN kii baat karte heiN
abhi tou chaand tiri yaad ke Dhale bhii nahiN
abhi se mere rafugar ke haath thakne lage
abhi tou chaak mire zakhm ke sile bhii nahiN
khafaa agarcheh hameshah houe magar ab ke
wo barhami hei ke ham se unheN gile bhii nahiN.
End.