Page 1 of 1

Us ne vaa'da vafaa kia aakhir

Posted: Sat Jul 09, 2005 8:29 am
by fatimah
aslaam_u_alikam

kaafii time key ba`ad apni aik gazal key saath haazir. umeed kertii hun aap san apni araa sey nawaazein gey.
shukriya

us ne vaa'da vafaa kia aakhir
mujh se milne voh aa gayaa aakhir

kis liye tum udaas baithe ho
kuch bataao k kia huaa aakhir?

maang baithe tumhen khudaa se ham
Haal-e-dil lab pe aa gayaa aakhir

vaqt ki dhoop ne jalaaya jise
vohi pauda nikhar gayaa aakhir

raaz-e-dil jo na keh sakey the ham
vohi aankhon ne keh diya aakhir

jis ko ab tak sambhaal ker rakha
rishta wo bhi bikhar gayaa aakhir

fatima tha jo zindagi meri
maine us ko bhi kho diya aakhir

Posted: Sat Jul 09, 2005 11:43 am
by Ibn-e-siddique
Fatima saHiba

salaam arz hai

aik muddat ke baa'd aap ki jaanib se kuch sun'ne ka mauqa milaa :)

mashallah ache ash'aar kahe haiN aap ne, aur aap ke kalaam meiN nikhaar bhi aata jaa raha hai, jo ash'aar mujhe zyaada pasand aaye, voh darj-e-zail haiN :
Fatima wrote:

us ne vaa'da vafaa kia aakhir
mujh se milne voh aa gayaa aakhir

kis liye tum udaas baithe ho
kuch bataao k kia huaa aakhir?

maang baithe tumhen khudaa se ham
Haal-e-dil lab pe aa gayaa aakhir

raaz-e-dil jo na keh sakey the ham
vohi aankhon ne keh diya aakhir

fatima tha jo zindagi meri
maine us ko bhi kho diya aakhir
in tamaam ash'aar per meri jaanib se daad qubool farmaaiN :)

amjad

Posted: Sat Jul 09, 2005 1:15 pm
by khurram_shaikh
Assalaam o alekum,




waaaaaah waaaah bahooot khooob bahooot hi umdeh kooshish hai chhoooooti waise to saari ghazal hi behtreen hai lekin mujhe yeh ashar behud pasand aaye humse share kernien kaa behud shukriya khush raho sada


us ne vaa'da vafaa kia aakhir
mujh se milne voh aa gayaa aakhir

kis liye tum udaas baithe ho
kuch bataao k kia huaa aakhir?

maang baithe tumhen khudaa se ham
Haal-e-dil lab pe aa gayaa aakhir

vaqt ki dhoop ne jalaaya jise
vohi pauda nikhar gayaa aakhir

Posted: Mon Jul 11, 2005 6:47 pm
by fatimah
Ibn-e-siddique wrote:Fatima saHiba

salaam arz hai

aik muddat ke baa'd aap ki jaanib se kuch sun'ne ka mauqa milaa :)

mashallah ache ash'aar kahe haiN aap ne, aur aap ke kalaam meiN nikhaar bhi aata jaa raha hai, jo ash'aar mujhe zyaada pasand aaye, voh darj-e-zail haiN :
Fatima wrote:

us ne vaa'da vafaa kia aakhir
mujh se milne voh aa gayaa aakhir

kis liye tum udaas baithe ho
kuch bataao k kia huaa aakhir?

maang baithe tumhen khudaa se ham
Haal-e-dil lab pe aa gayaa aakhir

raaz-e-dil jo na keh sakey the ham
vohi aankhon ne keh diya aakhir

fatima tha jo zindagi meri
maine us ko bhi kho diya aakhir
in tamaam ash'aar per meri jaanib se daad qubool farmaaiN :)

amjad


aslaam_u_alikam

bohat shukriya amjad sahib.
aap k yeh ashaar khaas tor per pasand aaye is key liye main aap kii mumnoon hun.
shukriya :-)

Bahut khoob waah waah

Posted: Mon Jul 11, 2005 7:16 pm
by Abdullah Nazir


MuHtaramah
Fatimah Saahibah

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki yeh ghazal tou bahut achchi hei. Saare ke saare ashAar vazn meiN bii heiN aur unkaa mafhoom bhii achchaa hei.

Is kaamyaab kaavish per maiN aapko dili daad aur mubaarakbaad pesh kartaa hooN. Isi TaraH se mashq-e-sukhan jaari rakhiye aur apne kalaam se hameN lutf andouz houne kaa mauqaA deejiye.


Aapka Mukhlis,

Nazir.


Posted: Tue Aug 02, 2005 7:47 am
by fatimah
khurram_shaikh wrote:Assalaam o alekum,




waaaaaah waaaah bahooot khooob bahooot hi umdeh kooshish hai chhoooooti waise to saari ghazal hi behtreen hai lekin mujhe yeh ashar behud pasand aaye humse share kernien kaa behud shukriya khush raho sada


us ne vaa'da vafaa kia aakhir
mujh se milne voh aa gayaa aakhir

kis liye tum udaas baithe ho
kuch bataao k kia huaa aakhir?

maang baithe tumhen khudaa se ham
Haal-e-dil lab pe aa gayaa aakhir

vaqt ki dhoop ne jalaaya jise
vohi pauda nikhar gayaa aakhir


aslaam_u_alikam

bohat shukriya big b

Re: Us ne vaa'da vafaa kia aakhir

Posted: Mon Aug 22, 2005 11:43 am
by Raji
My sweetest and dearest fatima sis.

Umeed az mizaaj bakhair.
Aaj zaraa waqt milaa tu ham aan Tapke aap kee ghazal par apnii besh-qeemat aara dain
abb jo bhi diya hai use dil se qubool karo, righto

fatimah wrote:aslaam_u_alikam

kaafii time key ba`ad apni aik gazal key saath haazir. umeed kertii hun aap san apni araa sey nawaazein gey.
shukriya

us ne vaa'da vafaa kia aakhir
mujh se milne voh aa gayaa aakhir
achii baat hai sweeti :) khush raho lekin apne kharche par

kis liye tum udaas baithe ho
kuch bataao k kia huaa aakhir?
Yeh baat bhi Teak hai.. jawab mil jaaye tu mujhe zaroor batanaa :)

maang baithe tumhen khudaa se ham
Haal-e-dil lab pe aa gayaa aakhir
Fantastic

vaqt ki dhoop ne jalaaya jise
vohi pauda nikhar gayaa aakhir
great shot

raaz-e-dil jo na keh sakey the ham
vohi aankhon ne keh diya aakhir
isee liye kehtee hooN nazar milaane se ijtinaab karo

jis ko ab tak sambhaal ker rakha
rishta wo bhi bikhar gayaa aakhir
nice she’r

fatima tha jo zindagi meri
maine us ko bhi kho diya aakhir
sisi jiske naseeb meN jo thaa so milaa so no tension.


mazaaq bartaraf , ek halkee phulkee lekin kamyaab koshish par meree janib se dhairooN daad qubool keejiye.
Khuda kare zor-e-qalam aur ziyada

Dua go
One and only
Your sis
Raji