Seemaab Akbaraabaadi kii aek GHAZAL: FROM A.NAZIR
Posted: Sat Jul 09, 2005 10:29 pm
MuHtaramaat o MuHtarameen
Ahbaab-e-MeHfil
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki khidmat meiN Seemaab Akbar=aabaadi kii aek ghazal pesh karrahaa hooN. Ummeed ke pasand aayegi.
G H A Z A L roman meiN
Toofaan uThrahe heiN, maahaul-e-gulsitaaN se
Aiy aashyaaN nasheeno, hushyaar aashyaaN se
Lekar gham-e-muHabbat, baiThe heiN sargiraaN se
Yeh boujh kyaa uThegaa, ik jaan-e-naatavaaN se
TukRe lapak rahe heiN, her zakhm-e-khooNchakaaN se
Tujh ko dil-e-shikastah, jouRooN kahaaN kahaaN se
Pahonchaa hei yeh kahaaN tak, aayaa hei yeh kahaaN se
Andaaza-e-safar kar, raftaar-e-kaarvaaN se
Chehrah nahikN hei meraa, nazr-e-fataadagii hei
haathaoN meiN sar uThaakar, uTThoongaa aastaaN se
nuzhat chaman kii lekar aauoongaa aashyaaN meiN
khaakar qasam chaman kii, jaataa hooN aashyaaN se
khaak-e-chaman hii vajh-e-aaraayish-e-chaman hei
waaqif nahiN abhi tuu, dastoor-e-khaakdaaN se
maiN lafz-e-kun kaa pahlaa, nuqtah hooN wo bhi naaqis
qisse yeh sab bane heiN, meri hii daastaaN se
jo aap ko bhulaade, aur khudnumaa banaade
ik lamhah gham hei behtar, is Aish-e-jaavidaaN se
tuu Haasil-e-khudee hei, phir tujh meiN kyaa kami hei
chal unke aastaaN per, uTh unke aastaaN se
aiy Toor bujh gayaa tuu, thouRi sii der jalkar
maiN phuk rahaa hooN ab tak, souz-e-gham-e-nihaaN se
sabzah lahak rahaa thaa, ghunche chaTak rahe thay
jab ham aseer houne, nikle thay aashyaaN se
Seemaab masliHat hei, yeh meri teiz gaamii
Manzil se pahle mujhko, milnaa hei kaarvaaN se.
End:
Aapka Mukhlis,
Nazir.