Page 1 of 1

Maine kab teri muhabbat ki qasam khaee hai

Posted: Sun Jul 10, 2005 3:57 pm
by PK Swami
Sabhee dostoN ko meraa salaam!

Aap kee khidmat meiN Suleman Areeb kee aik ghazal pesh hai.
Umeed hai pasand aayegee.


Ye bhee shayad teraa andaaz.e dil.e aaraaie hai
Hamne har saaNs pe marne ki sazaa paaee hai

Kaisa paigham kahaaaN se ye sabaa laaee hai
Shaakh.e gul subh.e baharaaN hi meiN murjhaaee hai

Dil ke aabaad kharaabe meiN na shaB hai na saHar !
Chandnii leke teri yaad kahaaN aayee hai

Tu mere chake girebaaN se to mahjoob na ho
Maine kab teri muhabbat ki qasam khaee hai

Tujh ko is tarah bhi dekha hai meri aaNkhoN meiN
Teri aawaaz ki tasveer utaR aayee hai

Teri mehfil meiN k maqtal meiN kaheeN dekhaa thaa !
Zindagee se meri bas itnee shanasaaee hai

Kyaa teraa haal bhi ai anjuman.e aaraa hai yahee
Main tere paas hooN lekin vohee tanhaaee hai


Regards
PK swami

Re: Maine kab teri muhabbat ki qasam khaee hai

Posted: Mon Jul 11, 2005 2:05 am
by Hashmat Usmani
moHtaram janaab-e-Swamii saaHib,

walekum,

aapkii pesh kardah Sulaiman 'Areeb kii Ghazal paRh kar be_Had lutf aayaa. go ki maiN ne mausoof kaa koii kalaam abhii tak nahiiN paRhaa [yeh merii tangii-e-Khowaandagii baa'is hai], par ab aisa lagtaa hai ab mujhe paRhna paRegaa. kia aap shaa'ir ka muKhtasar sa ta'arruf de sakeNge. ai'n nawaazish hogii. shukria. mujhe mundarija_zel ash'aar bahot pasand aaye:


Ye bhee shayad teraa andaaz.e dil.e aaraaie hai
Hamne har saaNs pe marne ki sazaa paaee hai

Kyaa teraa haal bhi ai anjuman.e aaraa hai yahee
Main tere paas hooN lekin vohee tanhaaee hai

Kaisa paigham kahaaaN se ye sabaa laaee hai
Shaakh.e gul subh.e baharaaN hi meiN murjhaaee hai

Dil ke aabaad kharaabe meiN na shaB hai na saHar !
Chandnii leke teri yaad kahaaN aayee hai

Tu mere chake girebaaN se to mahjoob na ho
Maine kab teri muhabbat ki qasam khaee hai

Tujh ko is tarah bhi dekha hai meri aaNkhoN meiN
Teri aawaaz ki tasveer utaR aayee hai

Teri mehfil meiN k maqtal meiN kaheeN dekhaa thaa !
Zindagee se meri bas itnee shanasaaee hai


Swami saaHib, yaqeen jaaniiye ki ek bhi aisa she'r nahiN jise maiN nazar andaaz kar saktaa. har ek she'r umda o aalaa hai. shukria ek baar phir se.

Hashmat

Bahut bahut shukriya

Posted: Mon Jul 11, 2005 7:08 pm
by Abdullah Nazir

Janab
PK Swami Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat, :-)

Aapki pesh kardah ghazal bahut pasand aayi. Aise shoAaraa kii ghazleN naadir houti heiN hamaare liye.

Sulaiman Areeb Hyderabad, A.P, India, ke taraqqi pasand shoAaraa meiN se heiN jinko maiN apni shaayeri ke ibtidaayi daur meiN sun chukaa hooN. Wo zamanah Makhdoom Mohiuddin kii roo-poushi kaa thaa.
Sulaiman Areeb tarannum se paRhte thay. In ke bad manzar-e-Aam per aane waale shoAaraa meiN Himayhat Ali Shayer aur Azeez Qaisi thay jo taraqqi pasand khayaalaat se bahut ziyaadah had tak mut'accir thay.
Azeez Qaisi ne Bombay kii raah lii aur aakhiri waqt tak usi ko apnaa waTan banaayliye. Himayat Ali Shayer Pakista, Hyderabad Sindh, ko muntqil hougaye aur bahut Arse tak wahaaN ke Radio Station se munsalik rahe aur taraqqi pasand khayaalaat se muta'accir rahe.

Mujhe patah nahiN ke Sulaiman Areeb kaa koiee deewaan bhi hei yaa nahiN.

Baharhaal Janab PK Swami Sahib, maiN aapka behad shukrguzar hooN ke aap ne mujhe aek aise Shayer kii yaad dilaadi, jou yaaddaasht mein sirf aek saayeh kii TaraH maujood thaa.


Aapka Mukhlis,

Nazir.


Posted: Tue Jul 12, 2005 2:12 am
by Hashmat Usmani
moHtaram janaab-e-Naazir saaHib,

aapne jo tafseel 'ataa farmaayii uske liye maiN aapkaa mutashakkir huN. aapne hamaarii ma'loomaat meN izaafa farmaayaa. shukria.

maiN ne koi 10 baras pahle amrika ke shahr Los Angeles meN janaab-e-Shamim Jaipurii ko ek mushaa'ire emN sunne kaa ittefaaq huaa thaa. vo bhii Jigar kii taraH tarannum se paRhte haiN aur masha Allah Khoob aawaaz paayii hai.

faqat Khaadim,

Hashmat