Page 1 of 1

Tarahi Ghazal Guz.7 ke misreA per: Irfan Barabankwi

Posted: Mon Jul 11, 2005 3:42 pm
by irfan barabankwi

urdubandhan ke saathiyo,

Aadaab,

Guzarish 7. ke taraHi misreA per apni ghazal pesh karrahaa hooN.

Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazkar khaaksaar ko shukriya adaa karne kaa mauqaA denge.

Khair Andesh,
Irfan Barabankwi,


Posted: Mon Jul 11, 2005 5:04 pm
by Mahtab Qadr
Irfan sahib chaliye shukria ada karne ka pahla mauqa mai hi de doN ke aapki ghazal dekh kar daad diye baghair na rahsaka. bahut umda mazameen nikale hain aapne ,umooman tarhi ghazlon mai mazameen takrate hain magar aapka andaaz e bayan khoob hai, aur munfarid.
shukria
Mahtab Qadr

Posted: Wed Jul 13, 2005 2:51 am
by Hashmat Usmani
salaam IrfaaN saaHib,

maiN bhii aapkii Ghazal par daad dene Haazir ho gayaa kiuNki mujh se bhii rahaa nahiiN gayaa :wink:

waqa'ii aapkii Ghazal meN naye naye andaaz haiN aur naye naye mazaameen bhii. naseeHateN bhii qqbil-e-'amal dar_aamad haiN :grin:

ek sawaal: aapne taKhallus meN NOON GHUNNA barta hai...kia aisa jaaiz hai? agar hai, to koi misaal aap mujhe be_bahre ko de sakeNge taaki meri jaankaarii meN izaafa ho...shukria.

har she'r hii ek nageena hai...ek se baRh kar ek. kisi ek kii ta'reef karna be-jaa hogaa...aap har she'r ke liye yaksaaN sitaaish ke Haq_daar haiN. bahot Khoob Irfan saaHib.

Hashmat

bahut shukria

Posted: Mon Jul 18, 2005 7:37 pm
by irfan barabankwi
mohtaram

MEHTAB QADR BHAI

aapka khat nazar nawaz hua. ghazal ki pazirai ka bahut bahut shukria.
aapne baja farmaya ke tarahi ghazal meiN mazameen umooman takra jatey haiN. aksar merey sath bhi aisa hota hai lekin phir bhi meri koshish
yahi hoti hai ke naye mazameen nikaley jayeN.

shukriye meiN pahel karke aapne apni mohabbat ka suboot diya hai. dar asl meri masroofiat mere adabi kamoN meiN hamesha maneA rahi hai.

khair andaish

irfan barabankwi

bahut bahut shukria

Posted: Mon Jul 18, 2005 8:01 pm
by irfan barabankwi
mohtaram

HASHMAT SAHEB

aaj aapka tabsirah nazar nawaz hua. ghazal ki pasandeedgi aur hauslah azfai ka bahut bahut shukria. hashmat saheb yeh aapka husn-e-nazar hai warnah ghazal itni achhi bhi nahi hai. aapka kalam bhi masha allah khoob hota hai. waisey aapka tabsirah paRhkar bahut khushi hoi aur yahi hauslah azfai mujhey mazeed achha likhney ki tahreek deti hai.

jahaNtak lafz irfaN ke istemal ka taAlluq hai to isper asatizah hi behter raushni dal sakte haiN. maiN samajhta hooN ke irfan meiN noon ghunney ka istemal jayez hai kiyoNke jab rizwan ko rizwaN kaha ja sakta hai to irfan ko irfaN kiyoN nahi kaha ja sakta ? dosri daleel aapke signature
ke ashAr haiN jis mein her jagah noon ghunney ka istemal hua hai.

ummeed hai ke ayendah bhi apni giraN qadr aara se nawazte raheiNge. :lol:

khair andaish

irfan barabankwi

Posted: Sun Jul 24, 2005 10:05 pm
by Anmol
Adaab Irfan Sahib!

Bohot Khoob ghazal hay, mujhe sher#1,2,6 zyada pasand aaye. Daad pesh hay.