Aek maAmooli sii Ghazal Abdullah Nazir.
Posted: Mon Jul 11, 2005 9:10 pm
MuHtarameen o MuHtaramaat
Ahbaab-e-Sukhan,
Purkhuloos Tasleemaat,:rose
Apni aek maAmooli sii taazah ghazal pesh karrahaa hooN aur ummeed kartaa hooN ke aap apni qeemati aaraa se navaazenge. Shukriyah.
G H A Z A L roman meiN
Be-khabar thay dushman se jaane kiyuN zamaane tak
Barq aagaie aakhir apne aashyaane tak
Aaj hii Ataa karde phool kuch tasalli ke
Saans kaa bharousa kyaa kal bahaar aane tak
muRke Daikhle zaalim ik nazar musaafir ko
kaun zindah rehtaa hei tere muskuraane tak
shamA-e-ishrat-e-hastii apni bujh gaiee houti
chain jab nahiN usko meraa jee jalaane tak
Ishq kii Haqeeqat kaa kuch patah nahiN chaltaa
Husn kii adaa'oN se dil pah chouT khaane tak
Ghairat-e-mah o anjum hei tiri galee lekin
Kyaa sitam nahiN houte dar pah sar jhukaane tak
Uske abroo-e-khush-kham purshikan heiN kiyooN Nazir
Ghat gaiee muHabbat kiyuN dousti baRhaane se
Aapka Mukhlis,
Nazir.