Page 1 of 1

"ab kahaaN raunaq-e-bahaar-e-Ghazal" by Zia Baloch

Posted: Tue Jul 12, 2005 10:29 pm
by Anmol
Ehl-e-bazm ko adaab!

Zia Sahib apni ghazal mb per post nahiN kar paa rahay, is liye unhoN ne mujhe send ki hay, pesh karti huN..
_________________________________________________________
Yaaran-e-meHfil, aadaab
apnee Gher Haaziree ki wajh to maiN chaupaal maiN paish kar hi chukaa hoN ,
ab aek taveel muddat k baad apnee woh taraHi GHazal paish karoNga jo maiN achaanak
uftaad-e-safar ki wajh se post na karsakaa. bahut bahut shukriya
moKhliS: Zia Baloch
1.
kyaa kaheN tum se Haal-e-zaar-e-Ghazal
ab nahiN koi Ghamgusaar-e-Ghazal
2.
jab nahiN koi raazdaar-e-Ghazal
kis leye jaayeN murGhzaar-e-GHazal ?
3.
ab kise zauq-e-deed-e-fankaari
"ab kahaaN raunaq-e-bahaar-e-Ghazal"
4.
dheere dheere badal gayaa mausam
luTte luTte luTaa qaraar-e-Ghazal !
5.
kyoN nazar be-qaraar hai meree ?
kyaa hoii zulf-e-taab-daar-e-Ghazal ?
6.
aye naye duar k jawaaN shaai'r !
tere haathoN maiN hai waqaar-e-Ghazal!
7.
ik nayaa raNg bhar k lafzoN maiN
aao phelaayeN kaar-o-baar-e-Ghazal !
8.
aao qalb-o-jigar jalaayeN ham
taa k rushan rahe dayaar-e-Ghazal !
9.
bhaRki hai jo lahoo ki garmee se
bujh na jaaye kaheeN woh naar-e-Ghazal !
10.
tum ne do(2) bol kyaa kahe ham se
baj gayaa jaise taar taar-e-Ghazal !
11.
aye k tuu Husn hai KhyaaloN ka
aa banaa mujhko yaadgaar-e-Ghazal !
12.
meri rag rag maiN dauRtaa hai :Zia:
Khon ban ban k aabshaar-e-Ghazal !

Image

Re: "ab kahaaN raunaq-e-bahaar-e-Ghazal" by Zia Ba

Posted: Wed Jul 13, 2005 4:02 am
by Hashmat Usmani
salaam Zia saaHib,

aapkii yeh taaza_ba_taazah taraHii Ghazal nazar_guzaar huii aur ba_Khuda vohii aab_o_taab, vohii rang_o_jamaal, vohii saaHiraanah andaaz-e-Ghazal. bahot Khoob janaab...lagtaa hai aajkal aamad hii aamad hai. masha Allah. bahot Khoob kahte haiN aur hamaarii zauq o shauq e shaa'irii kii taskeen bhi karte haiN.

ek ek she'r bahot a'alaa o 'urfa hai. har she'r meN apna ek Khaas rang aur us rang meN Zia saaHib jhalak rahe haiN. aapkaa munfarid andaaz be_taab ho ho kar saamne aayaa hai. mujhe to aapkii Ghazal yaqeen jaaniiye bahot bhaaii hai. daad qubool farmaaiye.

yeh ash'aar nisbatan ziyaada pasand aaye:


1.
kyaa kaheN tum se Haal-e-zaar-e-Ghazal
ab nahiN koi Ghamgusaar-e-Ghazal

3.
ab kise zauq-e-deed-e-fankaari
"ab kahaaN raunaq-e-bahaar-e-Ghazal"

6.
aye naye duar k jawaaN shaai'r !
tere haathoN maiN hai waqaar-e-Ghazal!

8.
aao qalb-o-jigar jalaayeN ham
taa k rushan rahe dayaar-e-Ghazal !

10.
tum ne do(2) bol kyaa kahe ham se
baj gayaa jaise taar taar-e-Ghazal !

11.
aye k tuu Husn hai KhyaaloN ka
aa banaa mujhko yaadgaar-e-Ghazal !

12.
meri rag rag maiN dauRtaa hai :Zia:
Khon ban ban k aabshaar-e-Ghazal !

Bahut khoob Waah waah

Posted: Wed Jul 13, 2005 6:49 am
by Abdullah Nazir


A N M O L

Purkhuloos Tasleemaat, :-)

Aap ne tou kamaal kardiyaa Azeezi Zia Baloch kii muraSSaA ghazal urdubandhan per pesh karke.

Saare ke saare ashAaar bahut hii dilkash heiN aur mazaameen bhii dil ko choute houe. Meri dili mubaarakbaad aur daad aapke liye aur Zia Baloch ke lieye is kaamyab tareen ghazal per.


Aapka Mukhlis,

Nazir.


Posted: Wed Jul 13, 2005 7:24 am
by Mahtab Qadr
Zia sahib bawaasta e Anmol sahiba
salaam e masnoon
vo kia kahte haiN farsi mai dair aayed durust aayed ,bahut achi balke naye mazameen lye ye ghazal bahut pasand aai. behad shukria
Mahtab Qadr

Posted: Thu Jul 21, 2005 6:35 pm
by Star Mind
Aadaab,

Anmol SaaHiba , aap ka beHad mamnoon hoN k aap ne meeri Ghazal yahaaN chaspaaN kardee !

.................................................................

Hashmat bhai ,

aap ne to mashaa Allah zameen aasmaan k qalaabe milaa Daale , ab Ghazal itnee bhi achchi nahiN thee , magar aap to bas !

bahut bahut shukriya

jawaab muKhtasar ! waja aap ko ma'loom , ma'zirat sab se !

...................................................

moHtaram Nazir SaaHib,

aap ki reply ka shiddat se intezaar rehtaa hai ! kyoN k aap ki reply hamaare leye sanad ka darja rakhtee hai ! bahut mamnoon hoN aap ka !

........................................

M.Qadr SaaHib ,

aap hamesha meeri is tarah HoSla afzaaii karte haiN k dil baaGh baaGh hojaataa hai ! kaise karoN aap ka shukriya adaa ?

bahut mamnoon hoN aap ka

moKhliS : Zia Baloch

Posted: Mon Jul 25, 2005 8:39 am
by Star Mind
sara_j wrote:bohat shukriya anmol,

sitara-e-zehn ki ghazal post karke humien unke khoobsurat kalaam

se mustafed houne ka mauqa diya.

zia sahib ka kalaam humein bohat pasand hai unka andaaz-e-bayaan aur kahyalaat bohat umdah hain.

ghazal ke sabhi ashaar bohat bohat pasand aaye.

zia sahib daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

mukhlis

sara

Saara SaaHiba, aadaab

nehaayat mamnoon hoN k yahaaN bhi aap ne fauaazi se kaam liaa !
aap jab bhi hamaaree izzat afzaayee farmaati haiN , yaqeen kejeye zauq aur bhi nekharne lagtaa hai ! bahut bahut shukriya

moKhliS : Zia Baloch