Page 1 of 1

Ghazal: "go chaak rahaa is dil-e-naashaad kaa daaman!

Posted: Thu Jul 14, 2005 2:18 am
by Sarwar A. Raz
yaaraan-e-bazm: aadaab!

aaj maiN apnee ek aur Haaliyah Ghazal le kar HaaZ^ir-e-Khidmat ho rahaa hooN. is kee zameen munfarid hai aur ummeed hai keh aap ko pasand aaYe gee. aap kee raaYe aur ta,accuraat kaa muntaz^ir rahooN gaa. shukriyah peshagee HaaZ^ir hai! qubool farmaa kar sarfaraaz keejiYe!

Sarwar A. Raz "Sarwar
"

===========================

Ghazal:

go chaak rahaa is dil-e-naashaad kaa daaman
haath`oN se naheeN ch`ooTaa tiree yaad kaa daaman!

ik u'mr chalaayaa kiyaa woh teshah-e-ulfat
pyaasaa hee rahaa Hasrat-e-Farhaad kaa daaman!

Allah re but-Khaanah-e-hastee kee Kharaabee!
ch`ooTaa nah kabh`ee is sitam-eejaad kaa daaman

shunwaayee miree kab huyee us bazm-e-t^arab meN
ph`ailaayaa bohat giryah-o-faryaad kaa daaman!

uljh`aa to kisee t^araH sulajh`ne meN nah aayaa
daamaan-e-taSawwur se tiree yaad kaa daaman!

aazaad rahaa Halqah-e-har-daam-e-Khirad se
maiN aur mire i'shq-e-Khudaa-daad kaa daaman!

"ai Khaanah-bar-andaaz-e-chaman kuch` to idh`ar bh`ee!"
hai daad-t^alab kushtah-e-bedaad kaa daaman!

"Sarwar"! yeh mujh`e faKhr hai, ilzaam-e-Khudee se
hai paak miree fit^rat-e-aazaad kaa daaman
-----------------------------
Sarwar A. Raz "Sarwar
"

Bahut Khoob,waah waah

Posted: Fri Jul 15, 2005 1:36 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Sarwar Saahib,


Purkhuloos Tasleemaat, :-)

Aapki ghazal kaiee baar paRhaa aur bahut hii luTf-andouz houaa. Daaman kii radeef kaa aap ne pooraa pooraa Haq adaa kiyaa hei. Waah Waah, bahut khoob, Saare ashAar her liHaaz se bahut hii dilkash heiN aur aapki shaayeraanah mahaarat kaa patah dete heiN. KiyooN na hou, barsouN kii mashq-e-sukhan wo bhii meAyaari nuqta-e-nazar se, kaise rang nahiN laati.

Her sheAr per meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. Bilaa mubaalighah, maiN keh saktaa hooN ke aapki her ghazal se mujhe kuch nah kuch seekhne ko miltaa hei.


Aapka Mukhlis,

Nazir.


Posted: Fri Jul 15, 2005 10:42 am
by jawaid badauni
Mohtarmee Sarwar ChaaNdpuri
Sahab,
Aadaab

Main aapki ghazal per sukoon se likhna chaahta tha
magar yeh cheez bhi aajkal kumyaab ho gayee hai.
Wallah, mukammal Ghazal tafakkur.O.taghazzul ka
ek Khooshgawaar saNgam hai. Zubaan bhi nihayat
umdah istaimal ki gayee hai. JahaN tak maiN samajhta
hooN m'eyaar ke e'tbaar se yeh ghazal Rawish Siddqui
Marhoom ki ghazaloN se kum nahiN.

Meri naacheeez daad qubool farmaiye.

Ahqar,

Jawaid Badauni

Posted: Sat Jul 16, 2005 4:39 am
by Sarwar A. Raz
muHtaramee Nazir SaaHeb: aadaab!

yaad-aawaree ke liYe mutashakkir hooN. Ghazal jaisee kuch` bh`ee th`ee aap ne dekh`ee. Sad-shukr keh woh aap kee nigaah-e-intiqaad par pooree utree! Ghazal kaa aap ko pasand aa jaanaa mere liYe baRee baat hai. dilee shukriyah qubool farmaa,iYe!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Posted: Sat Jul 16, 2005 4:42 am
by Sarwar A. Raz
mukarramee Jawaid SaaHeb: aadaab!

aap ne sunaa hee hai keh :der aayad, durust aayad:! aisee der naheeN huyee hai. waqt nikaal kar likh` deN!

Ghazal kee paZeeraayee ke liYe shukriyah HaaZ^ir hai. aap kee muHabbat hai jo yaad kar lete haiN.

Sarwar A. Raz "Sarwar"