Page 1 of 1

Nasha badan mai utarta sharaab lafzoN ka

Posted: Tue Jan 04, 2005 12:24 pm
by Mahtab Qadr
Aik Ghazal :Nasha badan mai utarta sharaab lafzoN ka urdu script mai
:)

Posted: Wed Jan 05, 2005 2:35 am
by Hashmat Usmani
salaam Sarfaraz saaHib,

ummeed hai ki aapke mizaaj ba_Khair hoNge.

aapkii Ghazal paRhii aur paRh kar bahot maHzooz huaa. hamesha kii taraH aapkii yeh ghazal bhii bahot zabardast rahii. baRe chust Khayaal pesh kiye haiN. sabhii ash'aar ek dusre se sabqat liye huye haiN. Allah kare zor-e-qalam aur ziyaadah.

aapke agle kalaam kaa shiddat se intezaar rahegaa. Ghazal hamaare saath share karne ke liye maiN aapkaa mamnoon huN. shukria.

faqat Khaak_nashiiN,

Hashmat [MM]

Posted: Tue Jan 11, 2005 10:56 am
by Mahtab Qadr
Hashmat Usmani wrote:salaam Sarfaraz saaHib,

ummeed hai ki aapke mizaaj ba_Khair hoNge.

aapkii Ghazal paRhii aur paRh kar bahot maHzooz huaa. hamesha kii taraH aapkii yeh ghazal bhii bahot zabardast rahii. baRe chust Khayaal pesh kiye haiN. sabhii ash'aar ek dusre se sabqat liye huye haiN. Allah kare zor-e-qalam aur ziyaadah.

aapke agle kalaam kaa shiddat se intezaar rahegaa. Ghazal hamaare saath share karne ke liye maiN aapkaa mamnoon huN. shukria.

faqat Khaak_nashiiN,

Hashmat [MM]
shukria nawazish Hashmat sahab
MQ

Posted: Tue Jan 11, 2005 12:53 pm
by waqar_masood
assalam o alaikum janab mahtab sahib

khoob.... buhut hi umdaa ghazal .. buhut payaray ... maqtaa to buhut hi umdaa hay ..buhut si daad qubool kejay aur share kernay kay leye buhut buhut shukria

waqar masood

Posted: Tue Jan 11, 2005 8:01 pm
by Shummu
Wah Wah Wah bahut khoob Mahtab sahab....takraar-e-lafzi behad pasand aayi ghazal mein....ek ek sher lajawaab hai..dher saari daad haazir hai is khoobsurat ghazal pe :)

Shumaila

Posted: Wed Jan 12, 2005 3:27 am
by Star Mind
Assalam-o-a'laikum,

moHtarami M.Q SaaHib, aap ki yeh dil-kash ghazal paRhee to bahut pehle thee, magar bar-waqt jawaab na de saka, jis keleye maiN tah-e-dil se maa'zirat chaahta hoN :oops: .
aap ne to kamaal kardiyaa SaaHib !!
kyaa dil-kash payraaye maiN itne u'mdah mazaameen ko qalam-band kardiyaa hai aap ne ! waah SaaHib waah ! , kis kis she'ar ki taa'reef karoN k har shea'r hi dil nikaal kar hatheeli par rakh dey ! :roll: .
dheeroN daad qabool kejeye. bahut bahut shukriya

mokhliS : Zia Baloch

Posted: Sat Jan 15, 2005 2:05 am
by irfan abid
Mahtab Sb, aadaab!

aap kii Ghazal dekhii, aur lutf.andoz huaa. baRii naadir taraakeeb istemaal kii haiN aap ne, aur Ghazal qaarii par apnaa asar chhoRne meN kaamyaab hai. daad qubuul keejiye!

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Posted: Mon Jan 17, 2005 8:42 am
by Mahtab Qadr
sara_j wrote:Bohat umdah mahtaab saahib bohat umdah, poori ghazal pasand aayi aapke aur bhi kalaam ka intezar rahega.

sara

saraji bahut shukria ishallah hazbe mauqa kalam pesh karne ki jasarat karta rahoNga.
Mahtab Qadr

Posted: Mon Jan 17, 2005 8:44 am
by Mahtab Qadr
waqar_masood wrote:assalam o alaikum janab mahtab sahib

khoob.... buhut hi umdaa ghazal .. buhut payaray ... maqtaa to buhut hi umdaa hay ..buhut si daad qubool kejay aur share kernay kay leye buhut buhut shukria

waqar masood
walaikum salaam mohatram waqar masood sahib

aadab , zarranawazi ka shukria huzoor

Posted: Mon Jan 17, 2005 10:43 am
by fatimah
aslaam_u_alikam

mehtab ji aap ki yeh gazal bohat pasand ayi.

khaas tor per sher no 4 our 5.

daad qubool kijiye.
shukriya

Posted: Sat Jan 22, 2005 1:46 am
by Mahtab Qadr
Shummu wrote:Wah Wah Wah bahut khoob Mahtab sahab....takraar-e-lafzi behad pasand aayi ghazal mein....ek ek sher lajawaab hai..dher saari daad haazir hai is khoobsurat ghazal pe :)

Shumaila
Shummu ji ,Nawazish , Karam , Shukria , Mahrbaani
Is walihaana aur purkhuloos daad ke lye mashkoor hoN.
Mahtab Qadr

Posted: Sat Jan 22, 2005 1:49 am
by Mahtab Qadr
Star Mind wrote:Assalam-o-a'laikum,

moHtarami M.Q SaaHib, aap ki yeh dil-kash ghazal paRhee to bahut pehle thee, magar bar-waqt jawaab na de saka, jis keleye maiN tah-e-dil se maa'zirat chaahta hoN :oops: .
aap ne to kamaal kardiyaa SaaHib !!
kyaa dil-kash payraaye maiN itne u'mdah mazaameen ko qalam-band kardiyaa hai aap ne ! waah SaaHib waah ! , kis kis she'ar ki taa'reef karoN k har shea'r hi dil nikaal kar hatheeli par rakh dey ! :roll: .
dheeroN daad qabool kejeye. bahut bahut shukriya

mokhliS : Zia Baloch

Baradar e azeez Zia sahib aapki mukhliasana daad o tahseen ke lye behad mamnoon hoN
Mahtab Qadr

Posted: Sat Jan 22, 2005 1:55 am
by Mahtab Qadr
irfan abid wrote:Mahtab Sb, aadaab!

aap kii Ghazal dekhii, aur lutf.andoz huaa. baRii naadir taraakeeb istemaal kii haiN aap ne, aur Ghazal qaarii par apnaa asar chhoRne meN kaamyaab hai. daad qubuul keejiye!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
Mohatram Irfan Abid sahib, salaam e masnoon
aapki is napi tuli aur fankarana daad ke lye mshkoor hoN ke shukria ada karna aik riwayat hai jaise mushairoN mai shora ekraam daad pakar aadaab aadaab kahte haiN. :)


Mahtab Qadr