Page 1 of 1

ghazal

Posted: Fri Jul 15, 2005 6:05 am
by zmufti
1-Hayaat apnaa rastaa badalti rahi
idhar umr chupkay se dhalti rahi

2-khud apna hi taboot sar per liye
mai tanha thi , tanhaa hi chalti rahi

3-vo lamhoN mai kioN ajnabi ban gaya
jisay kah ke hamdam bahalti rahi

4-woh aawaaraa baadal ouse kyaa Khabar
kaRee dhoop meN, maiN jo jaltee rahee!

5-jo waadoN ko teray bhulana paraa
miri zindagi haaath malti rahi

6-kabhee ko'ee pal ho mire naam ka
tamannaa Yeh dil hee meN paltee rahee

7-vo sahil bana mujh ko takta raha
mai lahroN ki surat machalti rahi

Bahut khoob

Posted: Sat Jul 16, 2005 12:00 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
zmufti Saahibah,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki mandarja-e-zeil ghazal paRhkar bahut khushi houi:

1-Hayaat apnaa rastaa badalti rahi
idhar umr chupkay se dhalti rahi

2-khud apna hi taboot sar per liye
mai tanha thi , tanhaa hi chalti rahi

3-vo lamhoN mai kioN ajnabi ban gaya
jisay kah ke hamdam bahalti rahi

4-woh aawaaraa baadal ouse kyaa Khabar
kaRee dhoop meN, maiN jo jaltee rahee!

5-jo waadoN ko teray bhulana paraa
meri zindagi haaath malti rahi

6-kabhee ko'ee pal ho mire naam ka
tamannaa Yeh dil hee meN paltee rahee

7-vo sahil bana mujh ko takta raha
mai lahroN ki surat machalti rahi


Saare ashAaar heHr meiN heiN aur bahut hii achce heiN. Yeh aapki aek kaamyaab koushish hei jis per meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,

Nazir.[/i]

Posted: Sun Jul 17, 2005 11:14 am
by zmufti
Mohtaram Abdullah Nazir sahib
Tasleemat
Aap ne meri Ghazal parhi meray liye yehi aik inaam hai
MaiN aap ki tah-e-dil se mashkoor hoN
Regards
zmufti

Posted: Sun Jul 17, 2005 11:39 am
by Mahtab Qadr
Zarqa sahiba Bahut khoob , aap ki ghazal aur aapki fikr donoN pasand aaiN.
shukria
Mahtab Qadr

Posted: Sun Jul 17, 2005 5:42 pm
by zmufti
Sara jee
aap ka buhat shukria
regards
zarqa

Posted: Sun Jul 17, 2005 6:02 pm
by zmufti
Mahtaab sahib
aap ka buhat shukria
regards
zmufti

Posted: Sun Jul 17, 2005 6:03 pm
by zmufti
Mahtaab sahib
aap ka buhat shukria
regards
zmufti