Page 1 of 1

Sunsaan sa lagney laga

Posted: Sun Jul 17, 2005 12:51 am
by Steve Almas
Hazreen-e-mehfil
Tasleemat..
Aapki khidmat mein
Taza Ghazal hazir he, qabool kijiye

Steve Almas


Image

Posted: Sun Jul 17, 2005 7:32 am
by Ibn-e-siddique
Almas saHib

aadaab arz hai

aap ki ye ghazal achi lagee

hamaari jaanib se daad qubool kijiye

amjad

Posted: Sun Jul 17, 2005 2:06 pm
by Steve Almas
Almas saHib

aadaab arz hai

aap ki ye ghazal achi lagee

hamaari jaanib se daad qubool kijiye

amjad
Mohtram Amjad Sahib
Kaisay hain,
Aap ki daad aour Hosla afzai ka bohat shukriya.
:grin: :grin: :grin: :grin:
Niazmand
Steve Almas

Posted: Sun Jul 24, 2005 6:20 pm
by poet
almas ji buhat buhat hi khoob soorat ghazal hay. mujay waqai afsoos hoo raha hay ka main nay aap koo pehlay kun nay paRha. aik aik sher hasil a ghazal hay. panchwan aur chata sher too khas toor par pasand aay.
aik bat na koo du rukni istamal karnay say guraiz kia karain

Posted: Tue Jul 26, 2005 1:20 am
by Steve Almas
almas ji buhat buhat hi khoob soorat ghazal hay. mujay waqai afsoos hoo raha hay ka main nay aap koo pehlay kun nay paRha. aik aik sher hasil a ghazal hay. panchwan aur chata sher too khas toor par pasand aay.
aik bat na koo du rukni istamal karnay say guraiz kia karain
Janab-e Mohtram
Aadab-o-Niaz
Bhai, Na koi naam na ta'ruf, uoon lag raha he... :? :? :?

"Ham chall rahey hain shayed kisi ajnabi ke saath"

Aap ne itney piyar se ghazal ki pasandeedgi ka izhaar kiya he, to hamari taraf se bharpoor shukriya qabool kijiye. Aainda bhi mulaqat rahe gi, Aapki tajweez sar ankhon per. :-) :-) :-)

NiazMand
Steve Almas

Posted: Tue Jul 26, 2005 1:34 am
by Steve Almas
Almas ji,

adaab arz hai.

aapko aapke kalaam ke saath yehan bohat din baad jab bhi dekhti hoon tou
aek khushi ki lehar ajaati hai ke aapne humein bhulaya nahi.


tum gaye tou shehar bhi sunsaan saa lagne laga
milne wala har koi anjaan saa lagne laga

so very true......bohat acha shair haqeeqat dikha raha hai!

naachne lagta tha akser tujh se mil ker jo kabhi
dil wahi seene mein ab bejaan sa lagne laga

beh na jaaun phir kahin ashkon ke is sailaab mein
aaj palkon mein chupa toofan sa lagne laga

very nice!

dekh ker tanha mujhe Almas phir muddat ke baad
har koii mehfil mein kuch hairaan sa lagne laga

bohat ache! umeed ke ainda bhi aap apna kalaam humse share karte rahenge.

sara
Sara Ji
Salam-o-Aadab
Ma'zrat chahtey hooay hazar hhoa hoon, chand aik majbooriuon ne waqt nahein diya. Magar aap ke aqeedat bharay khiyalat perhney ka moaqa zaroor mila. Bas yeh yaqeen rakhiye ke bhoola nahein hoon. Ghazal ke ashaar ki pasandeedgi ke liye shukriya qabool kerein. aik aour ghazal per aapki nigah-e-karam ka mutwaqeh hoon, zaroor dekhiye ga.

Khair Andesh
Steve Almas