Page 1 of 1

phool se maiN kaise kah dooN muskuranaa chhoR de

Posted: Sun Jul 17, 2005 3:33 am
by PK Swami
yaraane mehfil
aadaab.


kuchh ashaar pesh kartaa hooN. is takhleeq meiN mere aik dost kee
reHnumaaie shaamil hai lihazaa lakhallus unhee kaa bartaa gayaa hai.aapkee raa'e aur islaaH kaa muntazir rahoNgaa.


chal kaheeN chalte haiN ab, ye aashiyanaa chhoR de
is chaman se ho chukaa ab dostanaa, chhoR de

chaHne walooN ko tu itnaa parishaaN to na kar
khwaab kee duniyaa mein merii aanaa janaa chhoR de

jaan le legee kisi bhee din terii aNgdaaiyaaN
in ishaarooN se mujhe chhaT par bulanaa chhoR de

zarra zarra jhoom uthaa dekh kar abr.e bahaar
phool se maiN kaise kah dooN muskuranaa chhoR de

aazmanaa hai to phir apnee vafaa ko aazmaa
aashiqoN kee ashiqee ko aazmanaa chhoR de

sar uthaa kar fakhr se chaltee hai shaane kaaienaat
abr.e baraaN bijliyoN kaa taaziyanaa chhoR de

saath de tab tak zamaane kaa, ye jab tak saath de
chhoR de tujh ko zamanaa, tu zamanaa chhoR de

jis kee naS naS meiN Munawwar racH rahee ho shaairee
ye naheeN mumkin tabeeyat shaairanaa chhoR de


PK Swami

tarahee misraa

Posted: Sun Jul 17, 2005 4:13 am
by PK Swami
Yaarane mehfil
aadaab

I have posted few ashaar as above for the tarahee misraa given.

I realise that they do not qualify as these are not in tune with the meter
given. Hence it is appropriate that I withdraw it.

aql se raah jo poochhee to pukaraa ye junooN
vo to bhaTkee huee khud firtee hai,rahbar ham haiN!


PK swami