Page 1 of 1

jo chaman aariz.e gulfaam se jal uThte haiN.. Sulemaan Areeb

Posted: Sun Jul 17, 2005 2:16 pm
by PK Swami
Dosto
aadaab.

aapkee khidmat meiN Sulemaan Areeb kee aur ghazal pesh hai.


gham kade vo jo tere gaam se jal uThte haiN
buT kade vo mere naam se jal uThte haiN

raat tareeq sahee, merii taraf to dekho
kitne mahtaab abhee jaam se jal uThte haiN

raat ke dard ko kuchh aur baRhaane ke liye
hamse kuchh sokhtajaaN, shaam se jal uThte haiN

vo chaman bhee na hue vazah.e nishaat.e gham.e dil
jo chaman aariz.e gulfaam se jal uThte haiN

maiN agar dost naheeN sab ka, to dushman bhee naheeN
kyoN magar log mere naam se jal uThte haiN

zahan.e shaair maiN vo anwaar.e saHar ka aalam
sher jab shabnam.e ilhaam se jal uThte haiN


regards

PK Swami

Bahut bahut shukriyah

Posted: Mon Jul 18, 2005 2:42 am
by Abdullah Nazir

MuHtaram
PK Swami Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aap ne tou kamaal kardiyaa ke Sulemaan Areeb Saahib kii aek aur ghazal pesh kardi. Khas Taur per maiN bahut meHzooz houaa ke aek bhoole bisre shayer kii yaad taazah hougaiee.

Is karam farmaayi ke liye beHad shukrguzaar hooN.


Aapka Mukhlis,
Nazir.