Page 1 of 1

Taza Tarahee Ghazal...............................

Posted: Sun Jul 17, 2005 9:27 pm
by jawaid badauni

Azeezaan-e Giraamee,Tasleem.

Hulchul waloN ne tarahee mushaireh ke liye ek misra diya tha. Chund tooTe phooTe ashaar ho gaye haiN, jo hazir-e Khidmat haiN. Apnee aara se nawaziyega.

Mukhlis
Jawaid

Ghazal

Mahfil meN unkee hum ko bulaya nah jayega
Aur bin bulaae hum se bhi jaaya nah jayega

Jo bojh hum ne haNs ke uThaya tamaam umr
Ik lamha aap se woh uThaya nah jayega

Ab tak diloN meN yeh jo zara sa Khuloos hai
Itna bhi aglee sadiyoN meN paaya na jayega

Mujrim sazaa se door rahe bhi to kya hoa
Sir se sazaa ke Khauf ka saya nah jayega

Haara nah aaNdhiyoN se mohabbat ka yeh diya
“PhooNkoN se yeh chiraagh bujhaya nah jayega”

Haqqe jihad-e nafs nah ho payega adaa
Jab tak lahoo se dil ke nahaya nah jayega

Yeh sir jo tere dar peh jhukaya hai ek baar
Ab doosroN ke dar peh jhukaya nah jayega

“Jawaid” kaise log bujhate haiN sau diye
Hum se to ik chiraagh bujhaya nah jayega

Re: Taza Tarahee Ghazal...............................

Posted: Mon Jul 18, 2005 11:13 am
by Naveed_Ahmad_Naveed
jawaid badauni wrote:
Azeezaan-e Giraamee,Tasleem.

Hulchul waloN ne tarahee mushaireh ke liye ek misra diya tha. Chund tooTe phooTe ashaar ho gaye haiN, jo hazir-e Khidmat haiN. Apnee aara se nawaziyega.

Mukhlis
Jawaid

Ghazal

Mahfil meN unkee hum ko bulaya nah jayega
Aur bin bulaae hum se bhi jaaya nah jayega

Jo bojh hum ne haNs ke uThaya tamaam umr
Ik lamha aap se woh uThaya nah jayega

InsaaN ke dil meN yeh jo zara sa Khuloos hai
Utna bhi aglee sadiyoN meN paaya na jayega

Mujrim sazaa se door rahe bhi to kya ho hoa
Sir se sazaa ke Khauf ka sa yanah jayega

Haara nah aaNdhiyoN se mohabbat ka yeh diya
“PhooNkoN se yeh chiraagh bujhaya nah jayega”

Haqqe jihad-e nafs nah ho payega adaa
Jab tak lahoo se dil ke nahaya nah jayega

Yeh sir jo tere dar peh jhukaya hai ek baar
Ab doosroN ke dar peh jhukaya nah jayega

“Jawaid” kaise log bujhate haiN sau diye
Hum se to ik chiraagh bujhaya nah jayega

janaab-e-Aali
aap ki ghazal behtareen hai meiN ne aaj hi paRhi aur bohat mutasir hova aur heraan bi ke is khubsorat klaam par abi tak deghar sathioN ki nazr kiuN nahi paRhi.
meri tarf se is kamyaab tarhee ghazal par aap ko bohat si mubarakbaad qubol ho.

umeed hai jald aap ka mazeed klaam paRhne ko mile ga.

Re: Taza Tarahee Ghazal...............................

Posted: Mon Jul 18, 2005 12:26 pm
by jawaid badauni
Naveed_Ahmad_Naveed wrote:

Ghazal ki pazeeraii ke liye behud mamnoon hooN naveed Sahab.

Khulooskaar,
Jawaid

Bahut khoob waah waah

Posted: Mon Jul 18, 2005 6:45 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badaayuni Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat, :-)

Aapki mandarja-e-zeil ghazal paRhkar jee khush houaa :

(((Mahfil meN unkee hum ko bulaya nah jayega
Aur bin bulaae hum se bhi jaaya nah jayega

Jo bojh hum ne haNs ke uThaya tamaam umr
Ik lamha aap se woh uThaya nah jayega

Ab tak diloN meN yeh jo zara sa Khuloos hai
Itna bhi aglee sadiyoN meN paaya na jayega

Mujrim sazaa se door rahe bhi to kya ho hoa
Sir se sazaa ke Khauf ka saya nah jayega

Haara nah aaNdhiyoN se mohabbat ka yeh diya
“PhooNkoN se yeh chiraagh bujhaya nah jayega”

Haqqe jihad-e nafs nah ho payega adaa
Jab tak lahoo se dil ke nahaya nah jayega

Yeh sir jo tere dar peh jhukaya hai ek baar
Ab doosroN ke dar peh jhukaya nah jayega

“Jawaid” kaise log bujhate haiN sau diye
Hum se to ik chiraagh bujhaya nah jayega )))

Chauthe sheAr ke pahle miSreA meiN TibaaAat kii ghalaTi hei. Usko edit karke theek karleejiye.

Saare ke saare ashAar beHad pasand aaye jinke bahut se mazaameen TaraHi misreA kii munaasibat se hei> Waah waah bahut khoob, meri jaanib se daad aur mubaarakbaad qubool keejiye.

Aapka Mukhlis,

Nazir.

Re: Bahut khoob waah waah

Posted: Mon Jul 18, 2005 7:50 pm
by jawaid badauni
WEBMASTER wrote:

Mohtarmee Abdullah Nazir Sahab, aadaab.

Ghazal ki pazeeraai ke liye mamnoon hooN. Aapke dou lafz bhi hamare liye abhut ahimiyyat rakhte haiN aur beshumaar himmat afzaai ka bayis haiN. Bahut bahut shukriya.

MaiN ne chauthay sher men "typo" ki ghaltee ko thik kar liya hai. Ek baar phir shukriya.

Naacheez,

Jawaid Badauni

Posted: Tue Jul 19, 2005 5:56 am
by Sarwar A. Raz
muHibbee Jawaid SaaHeb: aadaab!

aane meN taaKheer huyee. vajh aap ko ma'loom hee hai. aap kaa pm bh`ee milaa th`aa jis kaa jawaab maiN ne :fora" se peshtar: de diyaa th`aa!

aap kee Ghazal aap ke maKhSooS raNg kee aa,eenahdaar hai aur achh`ee hai. mujh` ko i'lm hai keh aap ke maZ^aameen muKhtalif hote haiN. meree kamzoree yeh hai keh asha'ar meN taGhazzul DhooNDtaa hooN! majmoo,e'e t^aur se Ghazal Khoob hai. daad qubool keejiYe. agar Ghazal kee Haiciyyat se is ko dekh`ooN to mat^la' bohat pasand aayaa. ziyaadah Hadd-e-adab!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Posted: Tue Jul 19, 2005 6:01 pm
by jawaid badauni
Sarwar Raz wrote:muHibbee Jawaid SaaHeb: aadaab!

aane meN taaKheer huyee. vajh aap ko ma'loom hee hai. aap kaa pm bh`ee milaa th`aa jis kaa jawaab maiN ne :fora" se peshtar: de diyaa th`aa!

aap kee Ghazal aap ke maKhSooS raNg kee aa,eenahdaar hai aur achh`ee hai. mujh` ko i'lm hai keh aap ke maZ^aameen muKhtalif hote haiN. meree kamzoree yeh hai keh asha'ar meN taGhazzul DhooNDtaa hooN! majmoo,e'e t^aur se Ghazal Khoob hai. daad qubool keejiYe. agar Ghazal kee Haiciyyat se is ko dekh`ooN to mat^la' bohat pasand aayaa. ziyaadah Hadd-e-adab!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Mohtarmee Sarwar Raz Sahab,
ASAK

Ghazal per aapke graNqadr tabsare ke liye marhoon-e minnat hooN. Main ne ek darmiyani rawish iKhteyaar kar rakhkhee hai. Rahat Indauri Sahab ki tarah Ghazal meN Imam BuKharee ke chashme per she'r bhi nahiN kahta hooN aur unn mazameen se bhi gurez karta hooN jo meri nazar meN ab za,eef ho chuke haiN. Waise yeh to aap bhi tasleem kareNge keh fikr hai zamana Ghazal per acarandaz hoi haiN aur kuch nah kuch mizaj Ghazal ka badla zaroor hai.

Ummid hai doa.ON meN shamil rakheNge.

Khair Andesh,

Jawaid Badauni

Posted: Fri Jul 22, 2005 6:52 am
by Star Mind
moHtaram Jawaid Badauni SaaHib, aadaab

aap ki Ghazal nazar nawaaz hoi , be Had pasand aayee , sabhi ash'aar dilnasheen haiN , aap ke maKhsoos andaaz maiN !

meeri jaanib se DheroN daad qabool ho !

moKhliS : Zia Baloch

Posted: Fri Jul 22, 2005 5:25 pm
by jawaid badauni
Star Mind wrote:moHtaram Jawaid Badauni SaaHib, aadaab

aap ki Ghazal nazar nawaaz hoi , be Had pasand aayee , sabhi ash'aar dilnasheen haiN , aap ke maKhsoos andaaz maiN !

meeri jaanib se DheroN daad qabool ho !

moKhliS : Zia Baloch
Aapko wapas yahaN dekh kar bahut Khooshee hoii. Ghazal ki pazeeraaii ke liye mamnooN hooN. Ummid hai ab mulaqaat hoti rahegee.

Mukhlis
Jawaid

Re: Taza Tarahee Ghazal...............................

Posted: Sun Jul 24, 2005 5:17 pm
by jawaid badauni
sara_j wrote:
jawaid badauni wrote:

Ghazal

Mahfil meN unkee hum ko bulaya nah jayega
Aur bin bulaae hum se bhi jaaya nah jayega

Jo bojh hum ne haNs ke uThaya tamaam umr
Ik lamha aap se woh uThaya nah jayega

Ab tak diloN meN yeh jo zara sa Khuloos hai
Itna bhi aglee sadiyoN meN paaya na jayega

Mujrim sazaa se door rahe bhi to kya hoa
Sir se sazaa ke Khauf ka saya nah jayega

Haara nah aaNdhiyoN se mohabbat ka yeh diya
“PhooNkoN se yeh chiraagh bujhaya nah jayega”

Haqqe jihad-e nafs nah ho payega adaa
Jab tak lahoo se dil ke nahaya nah jayega

Yeh sir jo tere dar peh jhukaya hai ek baar
Ab doosroN ke dar peh jhukaya nah jayega

“Jawaid” kaise log bujhate haiN sau diye
Hum se to ik chiraagh bujhaya nah jayega
waah bhai bohat khoob!

har shair bohat umda hai, girah to nihayet haseen hai,

har shair per wah! kehti gayi.

dili daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

mukhlis

sara
Ghazal ki pazeeraaii ke liye aap ka marhoone minnat hooN. Yeh Ghazal Hulchul.com ke mahana taraheee mushaireh ke liye kahi gayee thee.

Guzishta dinoN dushmanoN ki tabeeyat kuch Kharab thee, ummid hai ab aapki sehat thik hogee.

Doago,
Jawaid