Page 1 of 1

naz^m: ANDESHE

Posted: Mon Jul 18, 2005 1:24 am
by Sarwar A. Raz
yaaraan-e-meHfil: aadaab-o-tasleemaat!

kal SubH Hasb-e-ma'mool Mall kee chehl-qadmee ko gayaa. Tehalte Tehalte naz^ar uThaayee to dekh`aa keh ek naazneen ek t^araf baiThee apnee zulfeN saNwaar rahee hai! be-iKhtiyaar Mirza Ghalib kaa :aaraa,ish-e-Kham-e-kaakul: waalaa she'r yaad aa gayaa. aur ph`ir dil ke nihaaN-Khaaneh se kuch` aur asha'ar nikal aaYe. in sab ko aap kee Khidmat meN pesh kar rahaa hooN. shaayad kisee qaabil hoN. apnee raaYe se aagaah keejiYe. shukriyah.

Sarwar A. Raz "Sarwar"

------------------------------

ANDESHE

raNg-o-Khushboo, shabaab-o-ra'naayee!
i'shwah-o-naaz-o-Husn-o-zebaayee!

har tabassum t^ilism-e-hoshrubaa!
har adaa dushman-e-shakebaayee!

be-niyaazee see be-niyaazee hai?
Khud tamaashah hai, Khud tamaashaayee!

teree bas ik nigaah-e-ulfat kaa
ik zamaanah huwaa tamannaayee!

har naz^ar behr-e-iHtiraam-e-Husn
uTh` rahee hai pa-e-paZeeraayee!

dil hai betaab-o-besukoon idh`ar
too udh`ar meHv-e-bazm-aaraayee!

meree meHroomiyaaN koyee dekh`e
i'shq majboor, Husn harjaayee!

qalb-e-muZ^tar, nigaah-e-aawaarah
ban nah jaaYeN daleel-e-ruswaayee!

kushtah-e-raaz-haaYe-naaz-o-niyaaz
"Khud hee apnee shikast kee aawaaz
too aur aaraa,ish-e-Kham-e-kaakul
maiN aur andeshah-haaYe-door-daraaz!" (Ghalib)
==========================
Sarwar A. Raz "Sarwar"

Posted: Mon Jul 18, 2005 10:02 am
by Mahtab Qadr
Sarwar Sahib Tasleemat
Aapki Nazm Andesha bahut pasand aai , dili kaifiatoN ko is maharat aur khobsurati se aap ne lafzoN ka pairahan dia ke aadmi parhte parhte usi mahool mai pahoNch jaye jahaN se aapne ye manzar kashi ki hai. bahut khoob.
nawazish aur shukria
Mahtab Qadr

Posted: Tue Jul 19, 2005 5:50 am
by Sarwar A. Raz
a'zeezee Mehtab SaaHeb: tasleemaat!

nawaazish, karam, shukriyah, mehrbaanee!

aap kee i'naayat hai jo naz^m meN aap ko aisee KhoobiyaaN naz^ar aayeeN. tah-e-dil se shukr-guZaar hooN! ummeed hai keh aap ne mere website par jaane kee zeHmat bh`ee gawaaraa kee ho gee. agar apnee maSroofiyaat meN bh`ool gaYe haiN to is teHreer ko yaad-dehaanee jaaniYe aur mujh` ko surKhroo keejiYe.

<www.sarwarraz.com>

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Posted: Tue Jul 19, 2005 11:22 am
by Mahtab Qadr
Janab e Aali aapki site bhi nazarnawaz huvi jo aapki ustaadana shayeriki tarah behad professional aur shandaar hai.Mubarak ho bahut bahut janaab
shukria
niazmand
Mahtab Qadr

Posted: Thu Jul 21, 2005 6:28 am
by Sarwar A. Raz
Mehtab SaaHeb: aadaab!

mere website par jaane aur us ko saraahane kaa dilee shukriyah. ummeed hai keh aap kabh`ee kabh`ee wahaaN jaate raheN ge aur Hasb-e-Z^aroorat apnee tajaaweez se bh`ee surKhroo kareN ge.

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Posted: Fri Jul 22, 2005 6:57 am
by Star Mind
moHtaram Sarwar SaaHib,

aap ki ye nazm hamesha ki tarah intehaayee dil-kash hai,

alfaaz ka chunaao , mazaameen ki u'mdagee nehaayat giraaN-qadr haiN

meeri jaanib se DheroN daad qabool kejeyega !

moKhliS : Zia Baloch

Posted: Sun Jul 24, 2005 6:30 pm
by poet
raz sahib aap nay too husn kay raz afsha kar day. khoob soorat buhat taza . sukria. mubarak. aaj husn koo daikhnay wali nigah kahan. mehsoos karnay wala dil kahan. aaj too.... khair chooray lambi behs hay.
dad qabool farmain
niaz mand

Posted: Mon Jul 25, 2005 12:20 am
by Sarwar A. Raz
a'zeezam Zia SaaHeb: aadaab!

nawaazish kaa shukriyah! aap se kuch` madad bh`ee lenee hai lekin aap aaj kal net par kam hee aate haiN. aap ko sahoolat ho gee to baat karooN gaa.

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Posted: Mon Jul 25, 2005 12:22 am
by Sarwar A. Raz
a'zeeze Poet SaaHeb: aadaab!

naz^m pasand karne kaa shukriayah! lekin yeh nah ma'loom ho sakaa keh aap ko :SaaHeb: kahooN keh :SaaHebah:! Poet dekh` kar :SaaHeb: likh` rahaa hooN!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Posted: Tue Jul 26, 2005 6:22 pm
by poet
raz sahib ham poet hain poetess nahi lol. aur kisi idrak a hussn poet koo hi neeb howa hay poetess ko nahi . jumla a mutiriza tha mazirat

aap ki nazm buhat hi khoob soorat hay. hamara buhat ji chahta hay ka is nazm par buhat kuch likhany.
lakin woo jo kisi nay kaha hay na ka
khoof a fasad a khalq say na gufta raha gay.
aur sahib ham aap ki nazam aur us kay mauzoo ki himayat main aap kay idrak a hussan kay hawalay say kuch arz karna chah rahay tha. lakin sahib Dartay hain

Posted: Wed Jul 27, 2005 2:12 pm
by Sarwar A. Raz
janaab Poet SaaHeb:aadaab!

yeh ek adabee meHfil hai. aap ko aazaadee hai keh aap taKhleeqaat par apne Khayaalaat kaa iz^haar kareN, shart^ Sirf yeh hai keh woh adabee tabSirah :baa-adab: ho!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Posted: Wed Jul 27, 2005 7:22 pm
by poet
ji raz sahib main samjta hoon. i hope u will not be dinaponted from me any time or from my any debate

Posted: Wed Jul 27, 2005 10:51 pm
by RAUSHNEE
Assalam O Alikum Sarwar Uncle !!!

Mein aur mera purana masla !!!

Yeh Tareef kernay k leeye alfaaz kahan say la'oon aur agar alfaaz mil bhi jayen tu afkaar kahan say laoon ??? mujhe waqaii bara ajeeb lagta hai kissi bhi ustaad shayer ko unki shayree per daad dena....ab jo himmat ker k aap say hum kalaam ho he gayee hon tu mujhe pooree umeed hai
k meri daad wusool kernay say zyada aap mujhe daad denay ka hausla dengay :P :P :P

laikin woh kia kehtay hain na Hausla afzaii ki zarorat tu her aik insaan ko zindagi k her aik lamhay per hotee hai...hai na ????

tu aap ki is takhleeq aur opper thoray say pas-e-manzar nay kia khoob he naqsha khecha hai.... Afkaar-o-khyalaat buland honay say alfaaz ka intekhaab bhi bay-shak buland hota hai jo aap ki is takhleeq say khoob zahir say.....khayalaat bhi buland aur alfaaz ka istemaal bhi umdah

meri Dhair saree daad qubool keejyee

aap likhein gay tu hum chotoon mein likhnay aur seekhnay ka shaooor paida ho ga

lagta hai bohat bool chukki.......ijazat

Raushnee

Posted: Thu Jul 28, 2005 6:03 am
by Sarwar A. Raz
Raushnee: dua'a!

aap mere baare meN hee naheeN kisee ke baare meN bh`ee likh`te waqt kisee taraddud kaa shikaar nah hoN. maiN ustaad naheeN hooN. log Khwaah-maKhwaah mujh` ko :ustaad: keh keh kar sharmindah karte haiN. yahaaN koyee bh`ee ustaad naheeN hai, albattah kuch` log doosroN se nisbata" ziyaadah tajribah rakh`te haiN! Allah Allah, Khair SalaaH!

aap kee daad ke liYe dilee mamnoon hooN. aap ne alfaaz^ ke SaHeeH intiKhaab ke baare meN jo likhaa hai woh bil.kul SaHeeH hai. yeh fan maiN ne apne ustaad-e-muHtaram (woh mere waalid bh`ee th`e) se seekh`ne kee koshish kee th`ee. aur kuch` kuch` kaamyaab bh`ee rahaa!

ummeed hai keh aap baraabar likh`tee raheN gee!

dua'a-go

Sarwar A. Raz "Sarwar"