Page 1 of 1

Chand -Aik Ghazal

Posted: Mon Jul 18, 2005 10:16 am
by Mahtab Qadr
Chand ke radeef ko baratne ke lye kuch sher kahe haiN. aapki nazr kar raha hoN. mulahiza farmaiN
Mahtab Qadr

ehsaaas ke zakhmoN ko sulaata hai kabhi chand
raatoN mai mire paas bhi aata hai kabhi chand

rakhta bhi hai raushan wahi tareek shaboN ko
rasta bhi musaafir ko dikhaata hai kabhi chand

atraaf sitaaroN ka gulistaaan banaakar
haaN baagh e falak ko bhi sajaata hai kabhi chand

suraj se mulaqaat to hoti nahi laikin
din mai bhi miaaN aap hi aata hai kabhi chand

yaroN ki sama'at mai bhi ras gholne mahtaab
mahfil mai ghazal apni sunaata hai kabhi chan

Posted: Tue Jul 19, 2005 5:42 am
by Handsome
Zaberdast bohat acchi sharing hay :)

Posted: Tue Jul 19, 2005 5:54 am
by zmufti
mahtaab sahib
buhat khoob
atraaf sitaaroN ka gulistaaan banaakar
haaN baagh e falak ko bhi sajaata hai kabhi chand
regds
zmufti

Posted: Tue Jul 19, 2005 11:54 am
by Mahtab Qadr
haN handsome aako chand ke ghazal pasand aai na:) shukria

shukria

Posted: Tue Jul 19, 2005 11:57 am
by Mahtab Qadr
Zarqa sahiba shukria nawazish
niazmand
mahtab qadr

zmufti wrote:mahtaab sahib
buhat khoob
atraaf sitaaroN ka gulistaaan banaakar
haaN baagh e falak ko bhi sajaata hai kabhi chand
regds
zmufti

Posted: Thu Jul 21, 2005 6:40 pm
by Star Mind
mahtaab qadr saahib, aadaab

aap ki Ghazal nazar nawaaz hoi , tamaam ash'aar beHad pasand aaye ! daad qabool kejeye !

ma'zirat majboor hoN k jawaab muKhtaSar hee doN !

moKhliS : Zia Baloch

Posted: Sat Jul 23, 2005 10:20 am
by Mahtab Qadr
Shukria janaab e Zia sahib , aapne daad to di bhai warna ye ghazal to sirf radeef ke istemal ki gharaz se amadan kahi gai hai aur mera khyal hai ke zabardasti kahi gai ghazleiN kuch khaas baat paida nahi karsaktieN. so aap ne mukhtasir hi sahi daad dekar mujhe mamnoon kia warna ghazal :) is qabil kahaN thi. shukria
Mahtab Qadr

Re: Chand -Aik Ghazal

Posted: Sat Jul 23, 2005 4:44 pm
by jawaid badauni
Mahtab Qadr wrote:Chand ke radeef ko baratne ke lye kuch sher kahe haiN. aapki nazr kar raha hoN. mulahiza farmaiN
Mahtab Qadr

ehsaaas ke zakhmoN ko sulaata hai kabhi chand
raatoN mai mire paas bhi aata hai kabhi chand

rakhta bhi hai raushan wahi tareek shaboN ko
rasta bhi musaafir ko dikhaata hai kabhi chand

atraaf sitaaroN ka gulistaaan banaakar
haaN baagh e falak ko bhi sajaata hai kabhi chand

suraj se mulaqaat to hoti nahi laikin
din mai bhi miaaN aap hi aata hai kabhi chand

yaroN ki sama'at mai bhi ras gholne mahtaab
mahfil mai ghazal apni sunaata hai kabhi chan
Zindabad Mahtab Sahab.

Nihayat umdah ghazal hai. Munfarid andaz hai. Bahut pasand aaii.

Daad qubool kijiyega.

Aapka Apna,
Jawaid

Posted: Sun Jul 24, 2005 11:56 am
by Mahtab Qadr
Paindabaad Jawaid sahib :) aapki daad ka andaaz bhi aap jaisa besakhtapan lye huve hai . shukria huzoor .
niazmand
Mahtab Qadr

Posted: Mon Jul 25, 2005 9:47 am
by Mahtab Qadr
sara sahiba aapka mazaq aur bura manna , mutazad bateiN huveiN na. kioN ke aap mazaq sahti bhi haiN aur mazaq karti bhi haiN. hai na..:) ghazal ke pasand karne ka shukria aur kaunsa chand ka koi jawab nahi :) shayeroN ki batoN par yaqeen mat karlijye na jaane tasawwur mai kia kia dekhte haiN.
shukria
Mahtab Qadr