Page 1 of 3
Lafz par ashar #14--SAJDA
Posted: Wed Jul 20, 2005 11:44 am
by syed bilal armaan
assalam walekum!
lijye tamana/armaan ke badh pesh hai ek nay unwan "SAJDA". is unwan par bhi app apne pasandida ashar bhejein.lijye main shoorwat kiye deta hoon.
us naqsh-e-pa ke sajde ne yaaN tak kya zaleel
maiN koocha-e-raqeeb meiN bhi sar ke bal gaya
Posted: Sat Jul 23, 2005 8:03 am
by syed bilal armaan
woh jo kerta hai masjid main khuda ko sajday
us ke sajdon main aser ho, ye zarori to nahi
Posted: Sat Jul 23, 2005 5:27 pm
by RAUSHNEE
yeh misra likh deeya kis shookh nay mehrab-e-msjid per
k nadan gir pare sajday mein jub waqat-e-qayam aya
Posted: Sat Jul 23, 2005 5:29 pm
by RAUSHNEE
yeh khala hai arsh-e-bareen nahi kahan paoon rakhon zamen nahi
tere der per sajday ka shauq hai jo yahan nahi tu kahin nahi
Posted: Sat Jul 23, 2005 5:34 pm
by RAUSHNEE
yeh aik sajda jissay tu garan samajhta hai
hazar sajdon say deta hai admi ko nijat
Posted: Sun Jul 24, 2005 8:14 am
by syed bilal armaan
wah saraa jee kiya baat hai...app ka sher bahut accha laga.
Posted: Sun Jul 24, 2005 8:27 am
by syed bilal armaan
ik na ik rif'at ke aage sajdaa laazim hai to phir
aadamii mahav-e-sajuud-e-sirr-e-Khubaa.N kyunn na ho
Posted: Sun Jul 24, 2005 1:53 pm
by RAUSHNEE
ye kitaab-e-dil ki hein aayatein,mein batayoon kia jo hein nisbateiN
mirey sajda haye dawaam ko,teray naqsh haaye khiraam se
"sajdah"
Posted: Sun Jul 24, 2005 3:25 pm
by Abdullah Nazir
sajdah karne ko tire dar saa koiee dar nah milaa
shauq kaise nah hou phir mujh ko jabeeN saayi kaa.
Nazir.
Posted: Sun Jul 24, 2005 8:19 pm
by RAUSHNEE
jo maiN sar basajda hua kabhi, zameeN se aane lagee sadaa
tera dil to hai sanam aashna tujhe kia mile ga namaaz meiN
Posted: Mon Jul 25, 2005 3:25 pm
by syed bilal armaan
jis ko milte hi sajda karte the,
us ko ab bhi Khuda samajhte ho?
Posted: Mon Jul 25, 2005 9:05 pm
by RAUSHNEE
Posted: Tue Jul 26, 2005 2:29 am
by Hashmat Usmani
vo sar jo terii raah_guzar meN thaa sajdaa-rez
maiN ne kisii qadam pe jhukaayaa nahiiN hanoz
Josh MaliiHaabaadii
Posted: Tue Jul 26, 2005 8:21 am
by syed bilal armaan
payaam sajde ka ye zeir-o-bam hua mujh ko
jahaaN tamaam savaad-e-Haram hua mujh ko
Posted: Tue Jul 26, 2005 4:05 pm
by PK Swami
jo paabande aadaab.e mehfil naheeN hai
vo mehfil meiN aane ke qaabil naheeN hai
jahaaN sar na jhuk jaaye hamraaH dil ke
vo sajdaa tere daR ke qaabil naheeN hai
PK Swami