Page 1 of 1

:: rukh-e-zindagee hai pareeshaaN pareeshaaN ::

Posted: Thu Jul 21, 2005 6:52 pm
by Star Mind
aadaab arz hai

aaj moqa mila to chalaa aayaa apnee aek nayee Ghazal post karne ! ummeed hai k pasand aayegee !



Ghazal

1.

ruKh-e-zindagee hai pareeshaaN pareeshaaN
ajal aa na jaaye KhiraamaaN KhiraamaaN !

2.

qayaamat hai kuch kuch numaayaaN numaayaaN
bashar kaT rahaa hai KhayaabaaN KhayaabaaN !

3.
zameeN se falak tak ye kyaa sisile haiN ?
Khayaal-o-nazar se gureezaaN gureezaaN !

4.

jidhar dekho raqS-e-ajal hi hai jaaree
gulistaaN gulistaaN , bayaabaaN bayaabaaN !

5.

ham ahl-e-junooN ki karaamat na poochho !
hameeN se hai dunyaa chiraaGhaaN chiraaGhaaN !

6.

ye she'r-e-Zia hai k hai tera chehraa ?
shaguftaa shaguftaa , farozaaN farozaaN !



.....................................

moKhliS : Zia Baloch

Posted: Thu Jul 21, 2005 9:56 pm
by Anmol
Adaab Zia Sahib!

Aap ki ghazal bohot khoob hay. Meri dili daad qubool kijiye.

Posted: Fri Jul 22, 2005 5:24 am
by Hashmat Usmani
salaam Zia saaHib,

Khush_aamded aur aapkaa bahot bahot shukria ki aap Khaali haath nahiN aaye. mujhe aapse aisii hii ummeed thii, naa_ummeed nahiiN kiyaa :-)

abhi Naazir saaHib moHtaram kaa mazmoon paRhaa ba 'unwaan-e-"takraar-e-lafzii" aur fauram aapkii Ghazal paRjii us ke ba'd to meraa test ho gaya lage haathoN...aapne kasrat se takraar e lafzii kaa iste'maal kiyaa hai...yaa yuN kahiiye ki aapkii Ghair muraddaf Ghazal ke qawaafee hii takraar-e-lafzii par mabnii haiN...mubaarkaaN.

aapne hamesha kii taraH ek baar phir apnii Ghazal se mujhe aur digar araakeen-e-meHfil ko muta'assir kiyaa hai. ash'aar meN achchhe aur buland Khayaal, chust bandish aur bahot hii Haseen ta'assuraat baandhe haiN. ek kaamiiyaab Ghazal par meri jaanib se aapko bahot bahot daad pesh hai...gar qubool uftaad!

Hashmat

Posted: Fri Jul 22, 2005 3:50 pm
by Star Mind
Anmol SaaHiba , aadaab !

Ghazal ki pasandeedgee par aap ka be had shukrguzaar hoN !

..................................

Hashmat bhai , aadaab

aap ne jis tafSeel aur KhlooS se meeri himmat afzaayee kee hai us keleye aap ka tah-e-dil se mamnoon hoN , maiN majboor hoN k apnaa jwaab moKhtaSar doN !

takraar-e-lafzee ki ye aek intehaayee adnaa se kaavish hai ! ummed hai k asaatiza rahnumaayee farmaayeNge ! bahut bahut shukriya !

moKhliS : Zia Baloch

Re: :: rukh-e-zindagee hai pareeshaaN pareeshaaN ::

Posted: Mon Jul 25, 2005 8:34 am
by Star Mind
sara_j wrote:
Star Mind wrote:aadaab arz hai

aaj moqa mila to chalaa aayaa apnee aek nayee Ghazal post karne ! ummeed hai k pasand aayegee !



Ghazal

1.

ruKh-e-zindagee hai pareeshaaN pareeshaaN
ajal aa na jaaye KhiraamaaN KhiraamaaN !

2.

qayaamat hai kuch kuch numaayaaN numaayaaN
bashar kaT rahaa hai KhayaabaaN KhayaabaaN !

3.
zameeN se falak tak ye kyaa sisile haiN ?
Khayaal-o-nazar se gureezaaN gureezaaN !

4.

jidhar dekho raqS-e-ajal hi hai jaaree
gulistaaN gulistaaN , bayaabaaN bayaabaaN !

5.

ham ahl-e-junooN ki karaamat na poochho !
hameeN se hai dunyaa chiraaGhaaN chiraaGhaaN !

6.

ye she'r-e-Zia hai k hai tera chehraa ?
shaguftaa shaguftaa , farozaaN farozaaN !



.....................................

moKhliS : Zia Baloch
zia saahib,

salaam.

aapki ye ghazal bohat apsand aayi, aek naya andaaz jo
dil ko bohat bhaaya hai.

matla to bohat hi ziyada pasand aay hai. har sahir per

wah waah kehti gayi.

dhair saari daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

sara.
Saara SaaHiba , w/salaam

aap hamesha jis tarah meeri pazeraayee farmaati haiN , yaqeen kejeye shukriya k alfaaz nahiN mil rahe ! nehaayat mamnooN hoN !
Khaas tor par mat^la' keleye ! :grin: shukriya

moKhliS : Zia Baloch