Page 1 of 1

AIK GHAZAL

Posted: Sat Jul 23, 2005 7:57 pm
by ariffarhad
hello, u may visit my poetry at this link:
http://www.shairionline.com/poetry/22po ... sp?g72.gif

Posted: Sat Jul 23, 2005 8:22 pm
by gohar
JANAB ARIF FARHAD SAHIB,
KAMAAL KEE GHAZAL KAHEE HAY aap nay..........DIL KHUSH HO JAATA HAY AP KEE GHAZAL DEKH KAR..........jeeetay rahiey
AFZAL GOHAR

Posted: Sun Jul 24, 2005 8:45 am
by ariffarhad
MISS SARA G,
Ghazal pasand farmaanay ka shukria, agar aap ko yeh ghazal achee lag gaee hay to aap is ko utha kar jahaan chahain rakh lain......Allah aap ko aisay naiki keh kaam karnay kee taufeek baar baar dey (Aameeen)........wassalaam
Prof. ARIF FARHAD

Posted: Sun Jul 24, 2005 9:51 am
by Mahtab Qadr
waah waah mohatram Arif Farhaad sahib aapki ghazal bahut pasand aai. saray hi sher bahut khoob haiN aur khas taur par dosra sher kamaal ka hai. magar ghazal sirf chaar hi sheroN par mushtamil hai. is tarah tashnagi baqi rahjati hai. aur phir aapne dobaar post karke qand e mukarrar se lutf andooz hone ka mauqa dia.
shukria
MahtabQadr

Posted: Thu Jul 28, 2005 5:05 pm
by nosheegeelani
I think Mr ARIF FARHAD is saying in TANZ that"agar aap ko yeh ghazal achee lag gaee hay to aap is ko utha kar jahaan chahain rakh lain......Allah aap ko aisay naiki keh kaam karnay kee taufeek baar baar dey " but why...........??

Posted: Thu Jul 28, 2005 6:08 pm
by Hashmat Usmani
maiN aise shaa'ir kii ta'reef karna chaahtaa huN jo auroN kii izzat karnaa jaantaa ho...Arif saaHib ko Professor banne se ziyaada jataane ka shauq hai...wallah aalam kis madrase ke Professor haiN janaab...jab mujhe shaa'ir kii shaKhsiyat hii muta'ssir kar gaii to unkii Ghazal ne to chaar chaand hii lagaa diye haiN...mujh se jhooTii waah waah yaa kisii bahroopiye kii shaan meN qaseede nahiiN paRhe jaate.

Professor[?] saaHib ko tahzeeb seekhne ke liye kisi gaaoN ke Primary School meN taalib-e-'ilmii iKhtiyaar karnii chaahiye.

moHtaram Abdullah Naazir saaHib ko apnii Thos baat kahne aur kisi kii khokhli baat ko punch karne ke liye PROFESSOR hone ke zo'm kii koii zaroorat nahiiN.

wallah 'aalam ki Arif saaHib kitne bare Professor haiN ya haiN bhi ki nahiiN...maiN bhi Neuro Surgeon Khud ko kah saktaa huN ya Khud ko EINSTEIN bhi qaraar de saktaa huN.

COME to your REAL SELF and wake up from your Hybernation and SMELL the COFFEE, MR. Arif.

Bahut Khoob

Posted: Thu Jul 28, 2005 8:45 pm
by Abdullah Nazir

Janab-e-MuHtaram
Arif Farhaad Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat, :-)


Aapki ghazal majmooAi Taur per pasand aayi, jiske liye khaaksaar kii daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,

Nazir.


Posted: Fri Jul 29, 2005 9:38 am
by nosheegeelani
HASHMAT USMANI SAHIB,
why are you so angry, without any action you are showing your reaction..........nothing is bad in this web page and I think that the poet's ghazal is very nice too.....then whats the problem with you.....?
If you are a poet then your negative behavoiur does not suits with you..I hope you will not mind and will use you brain in creative work instead of criticising the others personal things......and if u want to criticise then try to criticise on poetry or literature, dont touch the personal things like MR FRAHAD'S profession of teaching or any other personal things, in this way u will lose your respect....I hope all the members of urdu bandhan will agree with my opinion.
with regards
Noshee Geelani

Posted: Fri Jul 29, 2005 10:38 am
by Hashmat Usmani
salaam Noshi saaHiba,

Simce you are a new member, u r NOT aware what has been going ON in previous threads. I, for one, have had enough of him. Upto and until now, i was very patient with him when he bobastically thrashed our respected webustad while defending his FALWED poetry. He claims to be a man of of literature, but he, unfortunately, lacks the basics of attiquettes.

I hope this lil note will suffice.

Hashmat

Posted: Sat Jul 30, 2005 6:40 am
by Sarwar A. Raz
muHtarimah Noshee SaaHebah aur mukarramee Usmaanee SaaHeb: aadaab!

mujh` ko is beHc se koyee dilchaspee naheeN hai. maiN to Sirf yeh pooch`ne chalaa aayaa keh Urdu kee is meHfil meN aap donoN ko English ista'maal karne kee kyaa Z^aroorat pesh aayee?

gustaaKhee mu,a'af! is TooTee-ph`ooTee, Ghalat^-salat^ English ke muqaabilah meN agar aap seedh`ee saadee Urdu likh`te to hazaar darjeh behtar hotaa. yeh to maiN farZ^ kar hee naheeN saktaa keh aap donoN kee Urdu is qadar kamzor hai! aur nah hee yeh maan saktaa hooN keh Urdu aise ma'moolee Khayaalaat ke iz^haar kee SalaaHiyyat naheeN rakh`tee hai!

agar ahl-e-Urdu (aur woh bh`ee jin kaa shumaar shaa,i'roN meN hotaa hai!) apnee zabaan kee aisee qadr kareN to meree naa-cheez raaYe meN yeh baRe hee afsos kaa maqaam hai. ummeed hai keh meree baatoN ko un ke SaHeeH tanaaz^ur meN dekh`eN ge. jawaab dene kee zeHmat nah gawaarah kareN to achh`aa ho gaa. shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Posted: Sat Jul 30, 2005 8:18 pm
by jawaid badauni
Azeezaan-e giraami, Tasleemaat

Mohtaram Sarwar sahab ka e'traz bajaa hai magar unhoN ne iss per ghaur nahiN farmaya keh angrezee meN guftagoo ka aaghaz kis ne kiya tha. Ab agar Hashmat sahab unn ko jawab Urdu meN dete to maiN yehi tasawwoor karta shayad mausuf ko English nahiN aati hai, jismeN hamare AMU ki bhi zillat thee. Meri dastbasta arz hai keh jis ne angrezee meN guftagoo shru ki oose yad rakhna chahiye tha keh yeh Urdubandhan meN Urdu Shairee ki mahfil hai.

MaiN Mohtaram Abdullah Nazir sahab ka bahut ehtraam karta raha hooN aur oonper ek nazm bhi kah chuka hoon jo meri aqeedat ki daleel thee. Magar aaj iss Ghazal per unki pazeeraai dekhker mahsoos hoa keh jitna bhi ehtram iss shafeeq buzurg ka maiN ne kiya waqayee bahut kum tha. Mujhe rah rah ker apni Nazm ko woh misAra yaad aa raha hai jise aap to bhool gaye hoNge main nahiN bhola hooN: "Hazrat-e Nazir tumhare zarf ko mera salaam."

Khair Andesh,
Jawaid Badauni

Posted: Sun Jul 31, 2005 4:52 am
by Hashmat Usmani
moHtaram janaab e Sarwar saaHib,

aapkaa ai'teraaz sau fii_sad bajaa hai aur ham sabko is baat kaa poora poora Khayaal rakhnaa chaahiye. maiN ne pahla jumla urdu meN hii likhaa thaa magar dusre hii jumle meN mujhe Khayaal aayaa ki chuNki moHtaramah ne angrezii meN Khat likhaa hai is liye mujhe iKHlaaqan jawaab bhii usii zabaan meN denaa chaahiye, so is taraH yeh laGhzish huii mujh se.

aap to jaante hii haiN ki maiN urdu meN hii KHutoot likhtaa huN [sivaaye un maqaamaat ke jahaaN laRii hii angrezii meN ho]. yaqeen jaaniiye mujhe apnii angrezii daanii kii koii dhaak jamaanii qat'an maqsood nahiiN thii. zaahir hai ki maiN chuNki Canada meN apnii zindagii kii chauthaaii sadii bitaa chukaa huN jahaaN kii muravvij zabaan hii angrezii hai aur phir bachchoN ke saath din raat sirf angrezii meN hii guftugu karte karte ek 'aadat sii paR gaii hai to is zabaan meN Khayaalaat kii adaayegii Ghair iraadii taur par ho hii jaatii hai.

KHair, inshaa Allah aayinda is baat kaa saKhtii ke saath Khayaal rakkhuNga...yaad_dehaanii ke liye shukria aur maiN ma'zarat_Khowaah huuN.

faqat naa_cheeez,

Hashmat

Posted: Sun Jul 31, 2005 5:20 am
by Sarwar A. Raz
a'zeezam Hashmat SaaHeb: aadaab aur dua'a!

aap kaa Khat^ dekh` kar Khushee huyee keh aap ne be-faiZ^ dalaa,il dene kee bajaaYe SaHeeH baat ko tasleem kiYaa. Noshee SaaHebah Urdu kee shaa,i'rah haiN. Khudaa jaane unhoN ne kyoN English meN likh`aa. woh un kaa fe'l th`aa aur yeh hamaaraa hai! Urdu kaa naam ham baland naheeN kareN ge to aur kaun kare gaa? pehal koyee bh`ee kare, agar woh shaKhS Urdu samajh`ne kee ahliyyat rakh`taa hai to hamaaraa jawaab Urdu meN hee ho gaa! :-)

maiN aap kee faraakh-dilee kee qadr kartaa hooN! Khush rahiYe.

Sarwar A. Raz "Sarwar"