Page 1 of 1

Aek taazah Ghazal on 26th July, 2005. Abdullah Nazir.

Posted: Tue Jul 26, 2005 4:05 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur Ahbaab-e-sukhan,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aek taazah ghazal pesh karrahaa hooN ummeed ke pasand aayegi.


GHAZAL Roman meiN:

1- pesh kyaa aayi thii ik rouz safar kii uljhan
reh gaiee saath mire shaam o saHar kii uljhan

2- dil se jaataa hii nahiN souz-e-muHabbat kaa acar
aatish-e-hijr hei yaa zindagi bhar kii uljhan

3- kardiyaa maiN ne khudaa tere Hawaale sab kuch
fikr-e-manzil hei nah ab raahguzar kii uljhan

4- kyaa zaroorat hei bhalaa mujh se khafaa houne kii
mere aansoo heiN mire deeda-e-tar kii uljhan

5- jis kaa dil TooTe hei jaane vohii Haalat apni
aashiyaaN waalaoN ko hei barq o sharar kii uljhan

6- usko Hairat hei ke dhundlaa saa houaa kiyuN chehra
meri Soorat bhii houii aayenagar kii uljhan

7- koiee chup chaap hei aur koie hilaataa hei zubaaN
kiske darpesh nahiN fikr o nazar kii uljhan

8- aasmaaN per hei jou, wo kaise zameeN per aaye
loag samjhe nah kabhi mere qamar kii uljhan

9- chain kistarH mile mujhko jahaaN meiN Nazir
kabhii baahar kii hei mushkil, kabhi ghar kii uljhan.
======

Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navazkar mujhe shukriya adaa karne kaa mauqaA denge.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Posted: Wed Jul 27, 2005 10:03 am
by Star Mind
moHtaram A.Nazir SaaHib, aadaab

mashaa Allah ! janaab Ghazal to do-aatishaa hai ! kis kis shea'r ko daad se nawaazaa jaaye ?

bahar Haal meeri taraf se DheroN daad is KhoobSorat taKhleeq par !

shukriya

moKhlis : Zia Baloch

Posted: Wed Jul 27, 2005 5:07 pm
by waqar_masood
Muhturam abdullah nazir sahib,

janab kamal ho gaya aaj to lutf a gaya aap ki yeh ghazal parh ker .. her sheer intehayee khubsoorat lekin matla per aa ker to ghazal ki tamamtar khubsoortee matla mein hi simat jatee hay yani meray lehaz say matla hasil e ghazal howa... buhut umdah ,

niaz mand

waqar masood

Re: Aek taazah Ghazal on 26th July, 2005. Abdullah Nazir.

Posted: Thu Jul 28, 2005 9:41 am
by poet
Abdullah Nazir wrote:
MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur Ahbaab-e-sukhan,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aek taazah ghazal pesh karrahaa hooN ummeed ke pasand aayegi.


GHAZAL Roman meiN:

1- pesh kyaa aayi thii ik rouz safar kii uljhan
reh gaiee saath mire shaam o saHar kii uljhan

2- dil se jaataa hii nahiN souz-e-muHabbat kaa acar
aatish-e-hijr hei yaa zindagi bhar kii uljhan

3- kardiyaa maiN ne khudaa tere Hawaale sab kuch
fikr-e-manzil hei nah ab raahguzar kii uljhan

4- kyaa zaroorat hei bhalaa mujh se khafaa houne kii
mere aansoo heiN mire deeda-e-tar kii uljhan

5- jis kaa dil TooTe hei jaane vohii Haalat apni
aashiyaaN waalaoN ko hei barq o sharar kii uljhan

6- usko Hairat hei ke dhundlaa saa houaa kiyuN chehra
meri Soorat bhii houii aayenagar kii uljhan

7- koiee chup chaap hei aur koie hilaataa hei zubaaN
kiske darpesh nahiN fikr o nazar kii uljhan

8- aasmaaN per hei jou, wo kaise zameeN per aaye
loag samjhe nah kabhi mere qamar kii uljhan

9- chain kistarH mile mujhko jahaaN meiN Nazir
kabhii baahar kii hei mushkil, kabhi ghar kii uljhan.
======

Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navazkar mujhe shukriya adaa karne kaa mauqaA denge.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


dil mee kashad ka har ja eeNja asat. kis kis sher ki tareef ki jay. chooTa munh aur baRi bat. dad qabool farmaiN

Bahut bahut shukriya

Posted: Thu Jul 28, 2005 8:35 pm
by Abdullah Nazir

Azeezi Zia Baloch Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat, :-)


Janab meri ghazal per aapke do lafz bhii bahut heiN.
"dil se jo baat nikalti hei acar rakti hei"

DuAaa hei ke aap site per ziyaadah aate raheN aur hamaari Hauslah afzaayi bhi farmaate raheN.

Aapki takhleeqaat ke baare meiN aapka udhaar mujh per hei aur koushish karungaa ke apne bikhre houe auraaq murattab karke kuch nah kuch likh sakuN. Shukriyah.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Posted: Fri Jul 29, 2005 1:28 am
by Hashmat Usmani
moHtaram janaab e Naazir saahib,

salaam,

aapkii Ghazal paRh kar dil intihaaii Khush huaa...baRa lutf aayaa hamesha kii taraH. ek ek she'r la'l-e-badaKhshaaN hai. maqt'a bahot bahot bahot hii Khoob hai...is meN meri apnii mushkilaat ka 'aks nazar aayaa. bahot umda Ghazal aapne kahii jis ke liye is naa_cheez kii daad qubool farmaaiye.

Hashmat