Page 1 of 1

Mairee Pasand - Ashaar, Ghazal & Nazam

Posted: Wed Jul 27, 2005 8:17 pm
by Abdul Basit
Asalam o Alaikum,

Bhai iss section mein iss kadar sticky threads hein kay lagta hai iss section ke tashkeel mehaz sticky threads kay liyeah kee gaiee hai.. Khair kankar phainknay ke adat kuch puraani hai so phainktay rahain gai.. jab tuk nikalay ka hukam sadar nahi hoota.. :)

Yeah aik new thread karnay ka maksad aap sab sathiyoon say woh shairi share karna maqsood hai jo hum ko pasand hai aur jiss ko hum nay kuch images ke shakal mein paish karnay ke saie'e nakaam kee hai.. koshish karoon ga waqtan fawaqtan kuch na kuch share karta rahoon.. aap sab sathiyoon ke raye ka intazar rahay ga.. :)

Khush Rahiyeah

Posted: Wed Jul 27, 2005 8:19 pm
by Abdul Basit
Image

Posted: Wed Jul 27, 2005 8:20 pm
by Abdul Basit
Image

Posted: Wed Jul 27, 2005 8:20 pm
by Abdul Basit
Image

Posted: Wed Jul 27, 2005 8:21 pm
by Abdul Basit
Image

Posted: Wed Jul 27, 2005 9:58 pm
by RAUSHNEE
Hmmmmmm Very good choice keep it up


waise aik baat pocchna chahtee hon.....ho sakta hai k mein ghalat hon...per jo sher aap nay quote keeya hai ....

kitnay majboor hoaye apnee ana k hathhoon ........

kia yeh aisay nahi hai.........

Kitnay majboor HAIN HUM apni ana k hathoon....

Very nice choice ........... Keep posting

Raushnee

Posted: Thu Jul 28, 2005 1:17 am
by Hashmat Usmani
salaam Basit saaHib,

yeh thread sticky is liye haiN k is laRii meN kam o besh har roz hii posting hotii hai...ya'nii yeh on-going threads haiN jis meN posting chaltii rahegii jab tak ki vo thread RETIRE na kar diye jaayeN...kaise ke Huroof-e-tahajji waalii laRiyaaN.

is mauz'oo par ek thread already chal rahii hai jiskaa naam hai PASANDEEDAH ASH'AAR aur aapne jo silsilla shur'uu kiyaa hai bahot Khoob hai magar aapkii thread is a REPEAT with ONLY ONE difference being that you post ash'aar in URDU-SCRPT IMAGE which NOT ALL the users can CREATE such image so...dekhiye muntazemiin kia kahte haiN is silsile meN...kia yeh behtar na hogaa ki ham aapkii is laRii ko puraanii waalii laRii meN ZAM kar deN?

Hashmat