Page 1 of 1
Shayeri ke baare meiN ba'z aHbab ka rujHaan
Posted: Thu Jul 28, 2005 2:45 pm
by Abdullah Nazir
Azeez dousto,
Purkhuloos Tasleemaat,
B'az doust aHbab is rujHaan kii muwaafiqat meiN heiN ke shayeri ko rythm (beHr yaa vazn) kii qaid se aazaad hounaa chaahiye. Wo apne kalaam ko taraqqi pasand hii nahiN balkeh taraqqi yaaftah bhi samajhte heiN.
KiyuNkeh abhi tak yeh aek mutanaaziAah mas'alah hei ham apni Taraf se kisi kii fikr ke mukhaalif nahiN heiN.
Iske saath saath site kii forums ke qawaaneen ko bhii nazar andaaz nahiN karsakte.
Mas'alah yeh darpesh hei ke naye rujhaan ka bebeHr kalaam kehne waalaoN kii ta'Adaad bhii kam nahiN hei, tou phir unkaa kalaam kis forum meiN hounaa chaahiye? Kalam-e-sukhanwar kii bunyaadi sharT yeh hei ke wo kalaam jo beHr meiN hou, vohi yahaaN shaamil housaktaa hei.
Meri apni infiraadi raaye yeh hei ke aek aur forum khouli jaaye jiskaa naam yooN rakhkhaa jaaye:
KALAM-E-SUKHANWAR NO.2.
is jagha kuhnah-mashq shoaAraa kaa be-beHr kalaam pesh kiyaa jaasaktaa hei.
Agar aap meri is tajveez se muttafiq heiN tou maiN site ke programmars aur administrator saahib se darkwaast karungaa ke isko roo ba Amal laayaa jaaye.
Shukriyah.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Posted: Sat Jul 30, 2005 11:03 am
by Mahtab Qadr
Mohatram WebMaster Sahib
Tasleemat
Aap ki tajveez aur raye behad qeemati hi nahi balke qabil e amal bhi hai. albatta aapne jo unwaan tajveez farmaya hai vo sukhanvaroN ko 2 no. ke banadeta hai, jo aam istelaah mai black listed ya chori ka kaam karne waloN ke lye makhsoos hai.:) meri is baat ko gustakhi se mahmoool na kijye balke azraah e tafannun arz kia hai. mere zahn mai ye unwan aaraha hai agar aap munasib samjheiN to irshaad farmaiN. " nai asnaaf e sukhan" is unwan se bebaher ya nasri nazmeiN etc. pesh ki ja sakti haiN.
Posted: Wed Aug 03, 2005 2:49 am
by Brijinder
Nazir aur Qadr sahibaan,
aap dono say maiN poora itefaaq rekhta hooN aur guzarish hai ki yeh bahut jald shuru kiya jayay.Qadr sahib ka diya unwaan kuch ziyada acha laga,yeh meri zaati rai hai.Kuch bhi naam rakhiyay bus shuru kijiayay,bahut hi besabri say intezaar rehaga.
Brijinder"sagar"
Posted: Wed Aug 03, 2005 11:20 am
by Mahtab Qadr
Afkaar e Nau un shora ke lye hai jo apne kalam ko islah talab samajhte haiN aur dosri nai forum un shora ke lye jo apne kalam ko aik pukhta shayeri mante huve nai sinf e sukhan samajhte haiN agarche ke us nigarish mai awzaan o bahoor ki pabandi na bhi ho. jaisa ke webmaster ne bhi farmaya tha.
Posted: Sat Aug 27, 2005 10:27 pm
by Star Mind
Hairat aur sharmidagee hai apnee kam-nigaahi par ! k ye post ab tak nazar se ojhal kaise rahee 
janaab moHtaram A.Nazir SaaHib, aadaab
aap ki tajveez nehaayat Khoob hai ! ye silsila jald se jald shuru kiyaa jaana chaaheye ! shukriya
moKhliS :
Zia Baloch