Dost hota nahiN har hath milaney wala
Posted: Sun Jul 31, 2005 9:02 am
"Dost hota nahiN har hath milaney wala”
kaash milta hameN woh saath nibhaney wala
Narm lehja thaa aur andaz lubhaney wala
Bhoolta hi nahiN woh sakhs bhulaney wala
Zabt ki har saaii nakaam bananey wala
Hosh khota hi nahiN jaam pilaney wala
Dard hota nahiN har aik sunaaney wala
Zakhm Hota nahiN har aik dikhaney wala
Koi to ho hamaiN bhee khawb dikhananey wala
Koi to husn ke ho Naaz uthaney wala
Khoob barsi KahiN per aaj ghata sawan ki
Habs bharta hi gaya jaan jalaney wala
Raqs iblees ka jari hai zameeN par har soo
Arsh par kyoN hai magan Hashr uThaney wala