Page 1 of 1
ishq ke raastay dushvaar tamaam
Posted: Sun Jul 31, 2005 9:09 am
by riaz ahmed saraa
aadaab ehl-e-bazm
aik kaavish haazir-e-khidmat hai ummeed hai k apni qeemati aara se navaazain ge
ishq ke raastay dushvaar tamaam
haan! magar khultay hai asraar tamaam
ibn-e-maryam ho k chaahe mansoor
rah rav-e-ishq charhay daar tamaam
qaish farhaad k raanjha jogi
mazhab-e-ishq ke avtaar tamaam
ham ne daikhaa hai zamaane kaa chalan
jab paraa waqt ga'ae yaar tamaam
us ki i shookh nazar aur riaz
ham lutaa baitay hain ghar baar tamaam
riaz
Re: ishq ke raastay dushvaar tamaam
Posted: Sun Jul 31, 2005 7:16 pm
by jawaid badauni
riaz ahmed saraa wrote:aadaab ehl-e-bazm
aik kaavish haazir-e-khidmat hai ummeed hai k apni qeemati aara se navaazain ge
ishq ke raastay dushvaar tamaam
haan! magar khultay hai asraar tamaam
ibn-e-maryam ho k chaahe mansoor
rah rav-e-ishq charhay daar tamaam
qaish farhaad k raanjha jogi
mazhab-e-ishq ke avtaar tamaam
ham ne daikhaa hai zamaane kaa chalan
jab paraa waqt ga'ae yaar tamaam
us ki i shookh nazar aur riaz
ham lutaa baitay hain ghar baar tamaam
riaz
ChoTee see zameen meN choTee see gahzal magar bahut achchee. Daad.o.tahseen qubool kijiye.
Mukhlis
Jawaid Badauni
Re: ishq ke raastay dushvaar tamaam
Posted: Mon Aug 01, 2005 8:51 pm
by riaz ahmed saraa
jawaid badauni wrote:riaz ahmed saraa wrote:aadaab ehl-e-bazm
aik kaavish haazir-e-khidmat hai ummeed hai k apni qeemati aara se navaazain ge
ishq ke raastay dushvaar tamaam
haan! magar khultay hai asraar tamaam
ibn-e-maryam ho k chaahe mansoor
rah rav-e-ishq charhay daar tamaam
qaish farhaad k raanjha jogi
mazhab-e-ishq ke avtaar tamaam
ham ne daikhaa hai zamaane kaa chalan
jab paraa waqt ga'ae yaar tamaam
us ki i shookh nazar aur riaz
ham lutaa baitay hain ghar baar tamaam
riaz
ChoTee see zameen meN choTee see gahzal magar bahut achchee. Daad.o.tahseen qubool kijiye.
Mukhlis
Jawaid Badauni
Jawaid Badauni sahib
aadaab
beHad mamnoon hun ka aap ne gahzal ko parah aur ise saraaha
ummeed hai k yuhi hosala afzaaii farmaate rahain ge
naiz mand
riaz
Re: ishq ke raastay dushvaar tamaam
Posted: Wed Aug 03, 2005 6:04 am
by Ibn-e-siddique
riaz ahmed saraa wrote:aadaab ehl-e-bazm
aik kaavish haazir-e-khidmat hai ummeed hai k apni qeemati aara se navaazain ge
ishq ke raastay dushvaar tamaam
haan! magar khultay hai asraar tamaam
ibn-e-maryam ho k chaahe mansoor
rah rav-e-ishq charhay daar tamaam
qaish farhaad k raanjha jogi
mazhab-e-ishq ke avtaar tamaam
ham ne daikhaa hai zamaane kaa chalan
jab paraa waqt ga'ae yaar tamaam
us ki i shookh nazar aur riaz
ham lutaa baitay hain ghar baar tamaam
riaz
Riaz bhai
salaam arz hai
is saNglaakh zameen meiN aap ne ache mazaameen nikaale haiN
bas ash'aar ki taa'daa thoRi zyaada hoti to aur behtar hota.
magar jitne haiN voh bhi ache haiN :), meri jaanib se daad qubool farmaaiN
amjad
Re: ishq ke raastay dushvaar tamaam
Posted: Wed Aug 03, 2005 11:59 am
by riaz ahmed saraa
sara_j wrote:riaz ahmed saraa wrote:aadaab ehl-e-bazm
aik kaavish haazir-e-khidmat hai ummeed hai k apni qeemati aara se navaazain ge
ishq ke raastay dushvaar tamaam
haan! magar khultay hai asraar tamaam
ibn-e-maryam ho k chaahe mansoor
rah rav-e-ishq charhay daar tamaam
qaish farhaad k raanjha jogi
mazhab-e-ishq ke avtaar tamaam
ham ne daikhaa hai zamaane kaa chalan
jab paraa waqt ga'ae yaar tamaam
us ki i shookh nazar aur riaz
ham lutaa baitay hain ghar baar tamaam
riaz
riaz saahib,
salaam.
bohat din baad aapka kalaam dekh ker
bohat khushi hui.
hamesha ki tarah ghazal ke sabhi ashaar bohat dilkash hain.
daad qubool keejiye.
sara
Sara Jabeen sahiba
aadaab arz hai
bas masroofiat ki wajah se dair ho jaati hai jis kaa afsoos hai
aap ne ghazal ko pasand faramaaya behad mamnoon hun
umeed hai k isi tarah hosala afzaaii farmaati rahin gi
niaz mand
riaz
Re: ishq ke raastay dushvaar tamaam
Posted: Fri Aug 05, 2005 7:58 am
by riaz ahmed saraa
Ibn-e-siddique wrote:riaz ahmed saraa wrote:aadaab ehl-e-bazm
aik kaavish haazir-e-khidmat hai ummeed hai k apni qeemati aara se navaazain ge
ishq ke raastay dushvaar tamaam
haan! magar khultay hai asraar tamaam
ibn-e-maryam ho k chaahe mansoor
rah rav-e-ishq charhay daar tamaam
qaish farhaad k raanjha jogi
mazhab-e-ishq ke avtaar tamaam
ham ne daikhaa hai zamaane kaa chalan
jab paraa waqt ga'ae yaar tamaam
us ki i shookh nazar aur riaz
ham lutaa baitay hain ghar baar tamaam
riaz
Riaz bhai
salaam arz hai
is saNglaakh zameen meiN aap ne ache mazaameen nikaale haiN
bas ash'aar ki taa'daa thoRi zyaada hoti to aur behtar hota.
magar jitne haiN voh bhi ache haiN :), meri jaanib se daad qubool farmaaiN
amjad
Amjad bhaaii
aadaab arz hai
ghazal ko pasand farmaane par mamnoon hun
ye ghazal kaafi puraani hai aur us waqt bas yahi ashaar hu'ae abb joon kaa toon unhain post kar dyaa
hosalaa afzaaaaii kaa shukria ummeed hai k aainda bhi yuhi karam farmaaii farmaatay rahin ge
riaaz
Re: ishq ke raastay dushvaar tamaam
Posted: Sun Aug 14, 2005 2:48 am
by Anmol
riaz ahmed saraa wrote:ishq ke raastay dushvaar tamaam
haan! magar khultay hai asraar tamaam
ibn-e-maryam ho k chaahe mansoor
rah rav-e-ishq charhay daar tamaam
adaab
Riaz Sahib!
Bohot Khoob ghazal share ki aap ne, daad qubool kijiye.
Re: ishq ke raastay dushvaar tamaam
Posted: Tue Aug 16, 2005 9:57 pm
by riaz ahmed saraa
Anmol wrote:riaz ahmed saraa wrote:ishq ke raastay dushvaar tamaam
haan! magar khultay hai asraar tamaam
ibn-e-maryam ho k chaahe mansoor
rah rav-e-ishq charhay daar tamaam
adaab
Riaz Sahib!
Bohot Khoob ghazal share ki aap ne, daad qubool kijiye.
Anmol sahiba
aadaab
behad mamnoon hoon k aap ne ghazal ko parah aur isay saraaha
aap ki daad dil ki garioon se qubool ki
niaz mand
riaz