Page 1 of 3
Lafz par ashar#15--DEEWANA
Posted: Mon Aug 01, 2005 8:14 am
by syed bilal armaan
assalam walekum
dosto'un app ney "SAJDA" unwan par bahut acche ashar likhe.lekin us unwan ka waqt katam ho gaya hai. lijye ab pesh hai nay unwan "DEEWANA".is unwan par app 10 augest tak ashar likh sakte hain. mujhe app ke behtareen ashar ka intezaar rahegaa. lijye main yahan se shoorwat karta hoon.
NOTE: iss bar se unwan har 10 din badh badla jaye gaa.
mujhko aaye haiN samjhaane kaii
pehle main deewana tha ab haiN deewaane kaii
Posted: Mon Aug 01, 2005 1:35 pm
by RAUSHNEE
dekha asad ko jalwat-o-khalwat mein barha
deewana ger nahi tu hooshyaar bhi nahi
"deewaanah"
Posted: Mon Aug 01, 2005 3:38 pm
by Abdullah Nazir
Wada-e-vaSl jou karte hou sataate kiyuN hou
aur deewaane ko deewaanah banaate kiyuN hou.
Nazir.
Posted: Tue Aug 02, 2005 10:43 am
by syed bilal armaan
ek deewanene ne mujhe dewaana bana rakha hai
ham kon hain kahan hain anjaana bana rakha hai
Posted: Thu Aug 04, 2005 5:27 am
by tabasum
kuN kuredte ho zakham purane ko
na chhedo is dewane ko
mai to duniya ko bhool gaya
aaye ho rasme nibhane ko
Posted: Fri Aug 05, 2005 7:58 am
by syed bilal armaan
sara_j wrote:Badanaam mere pyaar kaa afsana hua hai
deewane bii kahte hain ki deewana hua hai
Wah bahut khoob sara jee
Posted: Fri Aug 05, 2005 8:01 am
by syed bilal armaan
ke baar-e aalam koyle sa uthaana
haiN phir jaake banta heere sa deewana
Posted: Fri Aug 05, 2005 8:12 am
by zmufti
dast-e junooN ko apney barha jaib ki taraf
mashoor tu jahaN maiN hai deewana-e-hijaz
"deewaana"
Posted: Sat Aug 06, 2005 2:23 am
by Abdullah Nazir
teri nigaah-e-naaz ne deewaanah kardiyaa
ab souchtaa hooN jaauN tou jaaooN kidhar ko maiN.
[color\brown]
Nazir.
[/color]
"deewaanah"
Posted: Sat Aug 06, 2005 2:54 am
by Abdullah Nazir
loag yooN tou mujhe hushyaar samajhte heiN magar
Unko maAloom nahiN maiN tiraa deewaanah hooN.
Nazir.
Posted: Sat Aug 06, 2005 7:41 am
by syed bilal armaan
Mousam-e-gul bhi qayam ki hawa deta hai
aur deewane ko deewana bana deta hai
Posted: Sat Aug 06, 2005 9:17 pm
by Shummu
pehle to tumne hee humko deewaanaa mashoor kiyaa
ab jo hamaare sar pe patthar barse to ghabraaye kyon
Posted: Sun Aug 07, 2005 2:59 am
by shahnaz zafar
apanaa diivaanaa banaayaa mujhe hotaa tuune
kyo.n Khirad_mand banaayaa na banaayaa hotaa
"deewaan"
Posted: Sun Aug 07, 2005 3:04 am
by Abdullah Nazir
naaz o adaay-e-yaar ne deewaanah kardiyaa
kaise kahooN keh ishq meiN kuch housh hei mujhe.
Nazir.
"deewaanah"
Posted: Sun Aug 07, 2005 6:31 am
by Abdullah Nazir
majnooN kii TarH dasht meiN deewanah maiN bhii hooN
gar woh thaa ik fasaanah tou afsaanah maiN bhii hooN.
Nazir.