Page 1 of 1

Iqbal ka aik she'r ....... baa.tashreeH

Posted: Mon Aug 01, 2005 9:48 am
by Ibn-e-siddique
Assalam-o-alaikum

aik aur meHfil meiN Iqbal ke is she'r per kuch likhne ki jasaarat ki thi, socha yahaaN b hi pesh kar dooN :)

tu hai muheet-e-be.karaaN, maiN hooN zaraa si aab ju
ya mujhe ham kanaar kar, ya mujhe be.kanaar kar


ye she'r Iqbal ki kitaab "baal-e-jibreel" meiN maujood hai. is kitaab meiN zyaada tar ghazliyaat aur nazmeN soofiyaana rang ki haiN , aur ash'aar meiN khitaab bhi Allah se hai.

isi taraH is ghazal mein bhi Iqbal Khudaa se mukhatib haiN. Professor Dr. Mohamed Zikriya ne jo baal-e-jibreel ki sharaH likhi hai, us meiN bhi is ghazal per tabsira karte hue yehi kahaa hai ke is meiN Iqbal ne soofiyaana rang mein khuda ko mukhatib kia hai, goya ye Haqeeqi she'r haiN.

khair, sab se pehle alfaaz ke ma'aani dekhte haiN:

muHeet = aHaata karne vaala , darya ya samandar ko bhi kehte hain

be.karaaN = voh jis ka koi kinaara na ho, muraad hai bahot vasee'

muHeet-e-be.karaaN = vasee'-o-areez samandar

aab ju ya aab-e-ju dono theek hai, ise ju-e-aab bhi kehte haiN , muraad hai choTi si nadee ya naala

ham.kanaar = apni aaghosh mein le lena, saath milaa lena

be.kanaar = jis ka kinaara na ho, be.karaaN aur be.kanaar taqreeban ham maa'ni haiN

Iqbal kehte haiN ke ae Khudaa teri ye qudrat, teri hastee aik vasee'-o-areez samandar jaisi hai, jis ka aHaata karna naa.mumkin hai, aur is kaainaat ki her shae tere Hisaar mein hai. jab ke meri micaal aik maamooli si Haqeeer si nadee jaisi hai, is liye meri guzaarish hai ke mujhe yaa to tu apni aaghosh meiN le le, ya phir itna vasee' ker de ke maiN tujh se aa milooN

in dono sooratoN meiN Iqbal ye chaahate hain ke unki hastee khudaa ki vasee' zaat se jaa mile.

ye shaa'iree jaisa ke pehle bhi kahaa ke soofiyaana raNg-e-sukhan ki hai, jis meiN aashiq apne maashooq meiN jazb ho jaane ka jazba rakhta hai. muraad yehi hai ke voh khudaa ka qurb chaahata hai, us ke zeir-e-saaya rehna chaahata hai, us ki zindagi ka maqsad usi khuda ki ibaadat aur itaa'at hai, aik suchha musalmaan ban'ne ki aarzoo aur chaahat hai.

is ghazal per tabsira karte hue Professor Zikariya kehte haiN :

"in ash'aar meiN Iqbal aik soofi dikhaai deta hai, aur khudaa ki zaat se mil jaane ko apna matmaH-e-nazar qaraar deta hai"

is ghazal ka matla bhi kia khoob hai :

gaesoo-e-taabdaar ko aur bhi taabdaar kar
hosh-o-khirad shikaar kar, qalb-o-nazar shikaar ker


ijaazat chaahooN ga, aap ki badolat hameN bhi Iqbal ko mazeed paRhne aur samajhne ka mauqa mila

shukria

amjad

Posted: Fri Aug 05, 2005 12:52 pm
by Ibn-e-siddique
bahot shukria sara jee

mujhe khushi hui ke aap ne Hazrat--e-Iqbal ke she'r per mera Haqeer sa tabsira pasand farmaaya

inshallah Iqbal ke fikr-o-fun per baat hoti rahe gi

amajd

Posted: Thu Oct 20, 2005 11:51 am
by Ibn-e-siddique
doosri qist to saqi naamah ki pesh karni thi, muaafi chaahooN ga ke taakheer ho rahi hai ;)

magar tab tak aik aur nazm per kuch likha hai voh pesh kar rahaa hooN, apni giraaN qadr aaraa se navaaziye ga :)

Amjad