Page 1 of 1

aik Ghazal

Posted: Wed Jan 05, 2005 2:41 pm
by tahira Masood


Qaare-een-e-keraam

purkhuloos tasleemat

aap sabki basaurtoN ki nazr aik ghazal. Aaapki aaraa kaa intezaar rehay gaa.

laiN ji saahibo aur saahibaat hamne aakhir-e-kaar eskaa matlaa soch hi liyaa . neeche muaaHizah ho. aur kuch taS'Hih bhi ki hai maine esmaiN. apni raaey se zaroor nawaaziay gaa.

wassalam



1]bhugat sakoN gi bhelaa kaise eska khamyaazah
lagaaya jo bhi lagaaya hai ghalat andaazah

2)kabhi yaqeeN se koee baat bhi kero aakhir
her aik baat kaa kerte nahiN haiN andaazah

3]jo poochaa usne hai bilaakhir mudduaa meraa
bikher gayaa hai meri soch kaa hi sheeraazah

4]jo w'adah usne kia tha wafaa kiyaa nah kabhi
hanuuz takti hoN raahoN ko khole derwaazah

5]kehte haiN log ishq khalal hai dimaagh kaa
kioN maiN bhi ZaiAaa keroN waqt yuNhi lehaaza?

6]yeh kaisee ho ga'ee muzmaHil -o-udaas si Tahira
kehaaN gayaa teraa chehraa shadaab aur taazah?



Posted: Wed Jan 05, 2005 4:26 pm
by khurram_shaikh
Image



Bahoooot khooob bahooot hi umdeh kalaam share kiyaa aapnien Tahira baaji ek zabardast kalaam share kernien per dili daad qabool karien khush rahien


4]kehte haiN log ishq khalal hai dimaagh kaa
kioN maiN bhi ZaiAaa keroN waqt yuNhi lehaaza?

bahooot khoooob waah

Posted: Wed Jan 05, 2005 8:28 pm
by tahira Masood
khurram_shaikh wrote:Image



Bahoooot khooob bahooot hi umdeh kalaam share kiyaa aapnien Tahira baaji ek zabardast kalaam share kernien per dili daad qabool karien khush rahien


4]kehte haiN log ishq khalal hai dimaagh kaa
kioN maiN bhi ZaiAaa keroN waqt yuNhi lehaaza?

bahooot khoooob waah
bohat bohat shukeriyah Khurram bhaaii
aap hameshaa sab se pehle pazeerraii bhi kerte haiN aur HauSalaah bhi beRahaatay haiN.
main aapki bohat bohat mamnoon hoN.
wassalam

Re: aik Ghazal

Posted: Thu Jan 06, 2005 7:36 am
by Raji
tahira Masood wrote:

Qaare-een-e-keraam

purkhuloos tasleemat

aap sabki basaurtoN ki nazr aik ghazal. Aaapki aaraa kaa intezaar rehay gaa.

wassalam



1]kabhi tau yaqeeN se bhi koee baat kero
her aik baat kaa kerte nahiN haiN andaazah

2]jo poochaa usne bilaakhir mudduaa meraa
bikher gayaa hai meri soch kaa hi sheeraazah

3]kiyaa thaa w'adah jo usne wafaa kiyaa nah kabhi
hanuuz takti hoN raahoN ko khole derwaazah

4]kehte haiN log ishq khalal hai dimaagh kaa
kioN maiN bhi ZaiAaa keroN waqt yuNhi lehaaza?

5]yeh kaisee ho ga'ee muzmaHil -o-udaas si Tahira
kehaaN gayaa teraa chehraa shadaab aur taazah?




Azeezi Tahira Sis:
Aadaab,
Aap kee ghazal tu achi hai lekin ek baat samajh nahein aahi ke mere iLm ke mutaabiq "Matlah": mein radeef aur qafiye kee maujoodgi laazim hai. Lekin iss ghazal mein yeh cheez ghaib hai. Shayed ke zameen mushkiL hai iss liye aisa howa.
bayaan mein bhi kahee kahee kuch kamzaooriyaa.n hain shayed ke koi ustaad-e-mautaraum aur sukhanwar iss kee babaat kuch kahain.


Lagaa raha hai koi mudaatoon se andaazaa
bikaar chukaa hai teree diL ka kabb se sheeraaza

miTaa sake voh tere diL kee teergee shaayed!
khaTak raha hai voh hi kabb se ghar ka darwaaza
(Raji)




meree janib se aap daad hee qubool keejiye ke iTnee mushkiL zameen per taba^aazmai kee, hum tu mazeed qafiye dhooNdne mein naakaam rahe :( .

Khush rahiye

Wassalam
Zahida Raees :Raji:

Re: aik Ghazal

Posted: Thu Jan 06, 2005 3:30 pm
by Hashmat Usmani
salaam moHtaramah Taahira saaHiba,

aapkii taaza_tareen Ghal paRhi aur bas waah waah har she'r par nikal chalaa gayaa muNh se. bahot zabardast Ghazal kahii hai aapne...Allah kare zor-e-qalam aur ziyaada.

mujhe yeh ash'aar bahot pasand aaye go ki mujhe qadre mushkil hui in ash'aar kii nishaan_dehii karne meN kiuN aapkii Ghazal ke sabhi ash'aar ek se ek barh kar haiN. masha Allah:


1]kabhi tau yaqeeN se bhi koee baat kero
her aik baat kaa kerte nahiN haiN andaazah

2]jo poochaa usne bilaakhir mudduaa meraa
bikher gayaa hai meri soch kaa hi sheeraazah

3]kiyaa thaa w'adah jo usne wafaa kiyaa nah kabhi
hanuuz takti hoN raahoN ko khole derwaazah

5]yeh kaisee ho ga'ee muzmaHil -o-udaas si Tahira
kehaaN gayaa teraa chehraa shadaab aur taazah?

Re: aik Ghazal

Posted: Thu Jan 06, 2005 8:49 pm
by tahira Masood
Raji wrote:
tahira Masood wrote:

Qaare-een-e-keraam

purkhuloos tasleemat

aap sabki basaurtoN ki nazr aik ghazal. Aaapki aaraa kaa intezaar rehay gaa.

wassalam



1]kabhi tau yaqeeN se bhi koee baat kero
her aik baat kaa kerte nahiN haiN andaazah

2]jo poochaa usne bilaakhir mudduaa meraa
bikher gayaa hai meri soch kaa hi sheeraazah

3]kiyaa thaa w'adah jo usne wafaa kiyaa nah kabhi
hanuuz takti hoN raahoN ko khole derwaazah

4]kehte haiN log ishq khalal hai dimaagh kaa
kioN maiN bhi ZaiAaa keroN waqt yuNhi lehaaza?

5]yeh kaisee ho ga'ee muzmaHil -o-udaas si Tahira
kehaaN gayaa teraa chehraa shadaab aur taazah?




Azeezi Tahira Sis:
Aadaab,

Bohat Payaari Raji sis
w.a.salaam :)


Aap kee ghazal tu achi hai lekin ek baat samajh nahein aahi ke mere iLm ke mutaabiq "Matlah": mein radeef aur qafiye kee maujoodgi laazim hai. Lekin iss ghazal mein yeh cheez ghaib hai. Shayed ke zameen mushkiL hai iss liye aisa howa.

ji haaN aap kaa fermaan bilkul bajaa hai. bilkul yehi baat hai :D kaafi mushkil zaneem hai :evil:


bayaan mein bhi kahee kahee kuch kamzaooriyaa.n hain shayed ke koi ustaad-e-mautaraum aur sukhanwar iss kee babaat kuch kahain.

:oops: :oops:


Lagaa raha hai koi mudaatoon se andaazaa
bikaar chukaa hai teree diL ka kabb se sheeraaza

miTaa sake voh tere diL kee teergee shaayed!
khaTak raha hai voh hi kabb se ghar ka darwaaza

waah ji waah zabardast!!! kaya bat hai ... adaab Arz hai ji

(Raji)




meree janib se aap daad hee qubool keejiye ke iTnee mushkiL zameen per taba^aazmai kee, hum tu mazeed qafiye dhooNdne mein naakaam rahe :( .

ji haN kerli ham ne daad qabuul aur ? :D
Khush rahiye

duaa k liay bohat bohat shukeriyah Raji ji Allah aap ko bhi khush rekhe.

Wassalam
Zahida Raees :Raji:

Posted: Thu Jan 06, 2005 8:51 pm
by tahira Masood
sara_j wrote:Tahira ji,

salam.

waah bohat khoob kaha aapne, khusoosan shair # 2, 3 aur 4 bohat pasand aye. aap bohat acha likhti hain, zor e qalam aur ziyada.

sara
Aziz sara ji

salaam

itne payaaray kalimaat k liay maiN aapki mamnoon hoN aur bohat hi khush huee hoN.
shukeriyah.

wassalam

Re: aik Ghazal

Posted: Thu Jan 06, 2005 8:54 pm
by tahira Masood
Hashmat Usmani wrote:salaam moHtaramah Taahira saaHiba,

aapkii taaza_tareen Ghal paRhi aur bas waah waah har she'r par nikal chalaa gayaa muNh se. bahot zabardast Ghazal kahii hai aapne...Allah kare zor-e-qalam aur ziyaada.

mujhe yeh ash'aar bahot pasand aaye go ki mujhe qadre mushkil hui in ash'aar kii nishaan_dehii karne meN kiuN aapkii Ghazal ke sabhi ash'aar ek se ek barh kar haiN. masha Allah:


1]kabhi tau yaqeeN se bhi koee baat kero
her aik baat kaa kerte nahiN haiN andaazah

2]jo poochaa usne bilaakhir mudduaa meraa
bikher gayaa hai meri soch kaa hi sheeraazah

3]kiyaa thaa w'adah jo usne wafaa kiyaa nah kabhi
hanuuz takti hoN raahoN ko khole derwaazah

5]yeh kaisee ho ga'ee muzmaHil -o-udaas si Tahira
kehaaN gayaa teraa chehraa shadaab aur taazah?
moHteram

salaam

maiN aap ki raaey peRh ker beHAdd khush huee hoN. yeh aapki aALaa zerfi hai. maiN es k liay mamnoon hoN. shuekriyah

wassalam

Posted: Sat Jan 08, 2005 3:17 pm
by Star Mind
Assalam-o-a'laikum,

moHtarama Tahira Masood SaaHiba,

mashaa Allah bahut u'mdah ghazal kahi hai aap ne !! , tamaam asha'aar hi khoob haiN :D . dheeroN daad qabol kejeye :D

mokhliS : Zia Baloch

Posted: Mon Jan 10, 2005 8:02 pm
by tahira Masood
Star Mind wrote:Assalam-o-a'laikum,

moHtarama Tahira Masood SaaHiba,

mashaa Allah bahut u'mdah ghazal kahi hai aap ne !! , tamaam asha'aar hi khoob haiN :D . dheeroN daad qabol kejeye :D

mokhliS : Zia Baloch
StarMind ji
salaa-e-khuloos

aap ki mamnoon hoN keh aap ne es koshihs ko seraah. Allah aap ko khush rekhe.Ameen
wassalam