Page 1 of 2
Tarahee Ghazal (Guzarish 8).................
Posted: Wed Aug 03, 2005 4:35 pm
by jawaid badauni
Dosto! Aadaab.
Yeh ek dastoor sa ban gayaa hai keh Urdubandhan
ke mahana tarahee Mushaaireh ka aaGhaaz yeh
Khaaksaar karta hai. Leh'aza riwayat ko qaa,im
rakhte hoe ek sada si ghazal irsaal kar raha hooN,
ummid hai himmat afzaaii farmayeNge.
Khair Andesh,
Jawaid Badauni
Tarahee Ghazal
Zara dekho nigaah-e muncifee se
“Khataa hoti hai sahab aadmi se”
GhamoN se iss qadar maanoos hai dil
HameN ab dar sa lagta hai Khooshee se
Hamare daur ke suraj ko dekho
Andhera baRh rahaa hai raushni se
Hawas ki aaNdhiyo pachtaaogee tum
Nah Takraao chiraagh-e aashiqee se
Zara hooshyaar nafrat bone walo
Milegee dushmani hi dushmani se
Woh pahroN ki ibaadat per hai bhaaree
Jo sijda ho Khuloos-e bandagee se
Mile aise bhi kuch mujrim jinhoN ne
KhatayeN keeN magar paakeezagee se
Mujhe “Jawaid” woh KhooshiyaN nah baKhsheN
Gawara hai mujhe har gham Khooshee se
Posted: Thu Aug 04, 2005 5:05 am
by Ibn-e-siddique
Jawaid bhai:
salaam arz hai
aap ne maazi ki rivaayat ko bar.qaraar rakhte hue
sab se pehle ghazal sunaai aur khoob sunaai.
meri jaanib se daad haazir hai, qubool farmaaiN
amjad
Posted: Thu Aug 04, 2005 5:35 am
by jawaid badauni
Ibn-e-siddique wrote:Jawaid bhai:
salaam arz hai
aap ne maazi ki rivaayat ko bar.qaraar rakhte hue sab se pehle ghazal sunaai aur khoob sunaai.
meri jaanib se daad haazir hai, qubool farmaaiN
amjad
Bahut bahut shukriya Amjad Sahab.
MaiN yahaN iss khel ka "Opening Batsman" hooN Bhaaii
magar, aise batsman kabhi jaldi "out" ho jate haiN.
Angrezee ke lafz istaimal nahiN karna chaahta magar
kaheeN kaheeN.......
Shukriya,
Jawaid
Re: Tarahee Ghazal (Guzarish 8).................
Posted: Thu Aug 04, 2005 3:58 pm
by jawaid badauni
sara_j wrote:jawaid badauni wrote:
Dosto! Aadaab.
Yeh ek dastoor sa ban gayaa hai keh Urdubandhan
ke mahana tarahee Mushaaireh ka aaGhaaz yeh
Khaaksaar karta hai. Leh'aza riwayat ko qaa,im
rakhte hoe ek sada si ghazal irsaal kar raha hooN,
ummid hai himmat afzaaii farmayeNge.
Khair Andesh,
Jawaid Badauni
Tarahee Ghazal
Zara dekho nigaah-e muncifee se
“Khataa hoti hai sahab aadmi se”
bohat khoob girah lagaayi hai!
GhamoN se iss qadar maanoos hai dil
HameN ab dar sa lagta hai Khooshee se
waah! bohat khoob!
Hamare daur ke suraj ko dekho
Andhera baRh rahaa hai raushni se
jawaab nahi! bohat pasand aaya ye shair.
Hawas ki aaNdhiyo pachtaaogee tum
Nah Takraao chiraagh-e aashiqee se
bohat khoob! kya kehne!
Zara hooshyaar nafrat bone walo
Milegee dushmani hi dushmani se
khoob kahe!
Woh pahroN ki ibaadat per hai bhaaree
Jo sijda ho Khuloos-e bandagee se
very nice.
Mile aise bhi kuch mujrim jinhoN ne
KhatayeN keeN magar paakeezagee se
waah!
Mujhe “Jawaid” woh KhooshiyaN nah baKhsheN
Gawara hai mujhe har gham Khooshee se
Jawaid bhai,
adaab arz hai.
aapki tarhee ghazal dekh ker intehaii khushi hui.
aapke qalam-e-mubarak se is mushaire ki pehli
ghazal hamesha khoobsurat aur kamyaab hoti hai,
aur hum mien bhi likhne ki himmat
ko paida karti hai.
ghazal ke sabhi ashaar bohat pasand aaye kuch
tou bohat hi ziyada.
mukhlis
sara
Sara!
Salam aur Doa
Sher-ba-sher tabsare aur mukammal ghazal ki pazeeraaii ke liye bahud mamnoon hooN. Ummid hai aap ki ghazal bhi jald hi mausool ho jayegee.
Khair Andesh,
Jawaid
Bahut khoob
Posted: Thu Aug 04, 2005 10:59 pm
by Abdullah Nazir
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badayuni Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki TaraHi ghazal paRhkar bahut khusi houi. Aap ne jaldi meiN bhii itni khoobsoorat aur dilkash ghazal kahi hei.
Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Re: Bahut khoob
Posted: Fri Aug 05, 2005 11:00 am
by jawaid badauni
WEBMASTER wrote:
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badayuni Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki TaraHi ghazal paRhkar bahut khusi houi. Aap ne jaldi meiN bhii itni khoobsoorat aur dilkash ghazal kahi hei.
Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Mohtarmee Nazir Sahab, Aadaab
Himmat afzaaii ke liye mamnoon hooN. Mere saath masAlah yeh hai keh agar fauran aap ke hukm ki tAmil nah karooN to rah jayega aur phir kabhi iss taraf aane ki foorsat nah milegee. Deegar ahbaab ki ghazaloN ka muntazir hooN.
Mukhlis,
Jawaid
Posted: Sat Aug 06, 2005 11:38 am
by Mahtab Qadr
Jawaid Badauni sahib Aadaab
ye aapka hi haq hai isqadar zoodgo hona ke idhar mirse parha ,udhar ghazal ho gai. waah waa. aur phir sher bhi apne mayaar ke hoN ye bahut qabil e mubarakbaad baat hai. poori ghazal achi ha , magr zail ke ashaar bahut pasand aaye. shukria
Hamare daur ke suraj ko dekho
Andhera baRh rahaa hai raushni se
Hawas ki aaNdhiyo pachtaaogee tum
Nah Takraao chiraagh-e aashiqee se
Zara hooshyaar nafrat bone walo
Milegee dushmani hi dushmani se
Woh pahroN ki ibaadat per hai bhaaree
Jo sijda ho Khuloos-e bandagee se
Posted: Sat Aug 06, 2005 2:09 pm
by jawaid badauni
Mahtab Qadr wrote:Jawaid Badauni sahib Aadaab
ye aapka hi haq hai isqadar zoodgo hona ke idhar mirse parha ,udhar ghazal ho gai. waah waa. aur phir sher bhi apne mayaar ke hoN ye bahut qabil e mubarakbaad baat hai. poori ghazal achi ha , magr zail ke ashaar bahut pasand aaye. shukria
Hamare daur ke suraj ko dekho
Andhera baRh rahaa hai raushni se
Hawas ki aaNdhiyo pachtaaogee tum
Nah Takraao chiraagh-e aashiqee se
Zara hooshyaar nafrat bone walo
Milegee dushmani hi dushmani se
Woh pahroN ki ibaadat per hai bhaaree
Jo sijda ho Khuloos-e bandagee se
Azeezi Mahtab Qadr Sahab
Bahud mamnoon hooN keh aap ne Ghazal ki pazeeraaii farmaaii jis se meri himmat afzaaii hoti hai. Mujhe aap ke tabsare ke baghair kuch tishnigee see thee magar jab aap ki ghair haziree ka sabab malum hoa to main aap ki majboori samajh gaya.
Khair andesh,
Jawaid Badauni
Posted: Sat Aug 06, 2005 8:59 pm
by Shummu
Wah bahut khoob Mohatarm JAWAID sahab..maine pehle socha choose karoon kaun se sher sab se achche hain magar jaise jaise paRhti gayi..har sher hi bahut khoob laga ....daad haazir hai is khoobsurat kaavish pe:)
Shumaila
Posted: Sun Aug 07, 2005 10:08 am
by jawaid badauni
Shummu wrote:Wah bahut khoob Mohatarm JAWAID sahab..maine pehle socha choose karoon kaun se sher sab se achche hain magar jaise jaise paRhti gayi..har sher hi bahut khoob laga ....daad haazir hai is khoobsurat kaavish pe:)
Shumaila
Azeezah Shumaila Sahibah
Aap ke paghaam se dou KhooshiyaN miltee haiN. Ek to yeh keh aap ne kalam ke pazeeraaii ki hai jo bayic-e himmat afzaaii hai doosre yeh keh aap ka ab bhi iss forum se rabt qaa.im hai.
Bahut bahut shukirya. Khoosh raheN.
Mukhlis
Jawaid
Posted: Thu Aug 25, 2005 8:47 am
by nigaah
Janab Jawed Badauni Sahab
Assalam alaikum
aap ki qaaim kerda riwaayat ko Allah yuNhi qaaim rakhay...:)...
Zara dekho nigaah-e muncifee se
“Khataa hoti hai sahab aadmi se”
Khoob giraah hai.....wah
Mile aise bhi kuch mujrim jinhoN ne
KhatayeN keeN magar paakeezagee se
Mujhe “Jawaid” woh KhooshiyaN nah baKhsheN
Gawara hai mujhe har gham Khooshee se
bohut Khoob....aap ki Ghazal bohut pasand aayi....aaKhri do ashaar bator-e-Khaas pasand aaye .....daad hazir hai...
Nigaah
Posted: Thu Aug 25, 2005 10:49 am
by jawaid badauni
nigaah wrote:Janab Jawed Badauni Sahab
Assalam alaikum
aap ki qaaim kerda riwaayat ko Allah yuNhi qaaim rakhay...:)...
Zara dekho nigaah-e muncifee se
“Khataa hoti hai sahab aadmi se”
Khoob giraah hai.....wah
Mile aise bhi kuch mujrim jinhoN ne
KhatayeN keeN magar paakeezagee se
Mujhe “Jawaid” woh KhooshiyaN nah baKhsheN
Gawara hai mujhe har gham Khooshee se
bohut Khoob....aap ki Ghazal bohut pasand aayi....aaKhri do ashaar bator-e-Khaas pasand aaye .....daad hazir hai...
Nigaah
Ghazal ki pazeeraai ke liye aapka behad mamnooN hooN.
Himmat afzaaii ke liye ek baar phir shukriya.
Mukhlis
Jawaid
Posted: Thu Aug 25, 2005 11:37 pm
by Star Mind
moHtarami Jawaid Badauni SaaHib , aadaab arz hai
janaab Ghazal to aap ki hamesha la-jawaab hoti hai ! so is baar bhi hai !
hamaari daad is ka iHaata karne se qaaSir hai ! aap Khud hi jitnee chaaheN daad le leN har aek shea'r par ! ballke har miSra' par !
shukriya
moKhliS : Zia Baloch
Posted: Fri Aug 26, 2005 5:45 am
by jawaid badauni
Star Mind wrote:moHtarami Jawaid Badauni SaaHib , aadaab arz hai
janaab Ghazal to aap ki hamesha la-jawaab hoti hai ! so is baar bhi hai !
hamaari daad is ka iHaata karne se qaaSir hai ! aap Khud hi jitnee chaaheN daad le leN har aek shea'r par ! ballke har miSra' par !
shukriya
moKhliS : Zia Baloch
Azeezi Zia Baloch Sahab,
Salam aur Doa
Aap ki daad.o.tahseen hameshah ki tarah behud purKhuloos hai. Yeh to bahut sada see Ghazal thee jis per aap ne itna likh dala Bhai. MaiN aap ki mohabbat ka qaa,il hooN.
Khoosh raheN.
Jawaid
Bahut achci ghazal kahi hei aap ne
Posted: Fri Aug 26, 2005 3:41 pm
by irfan barabankwi
mohtaram
JAWIAD SAHIB
salam
wah wah. kiya hi khoobsurat ghazal kahi hai aapne. meri dili daad aur mubarakbaad qubool kijiye. wah keep it up.
khair andaish
irfan barabankwi