Page 1 of 1

Aek maAmooli sii Ghazal Abdullah Nazir.

Posted: Sun Aug 07, 2005 3:47 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-meHfil aur aHbab-e-sukhan

Purkhuloos Tasleemaat, :rose


Apni aek taazah seedhi saadah ghazal pesh karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazkar khaaksar ko shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.

G H A Z A L roman meiN.

1- Ghar kii baateN rehne do ghar meiN
Ashk heiN kyaa kam deeda-e-tar meiN
2- cheRo nah ham ko raahguzar meiN
Umr kaTi hei gard-e-safar meiN
3- mujh se bahut mil jaayenge lekin
kaun hei tum saa dunyaa bhar meiN
4- maaZi kyaa aur kyaa mustaqbil
gum hei zamaanah shaam-o-saHar meiN
5- tere siwaa hamraaz-e-gham-e-dil
koiee nahiN hei meri nazar meiN
6- uRjaane per uksaate hou
jab nah rahaa dam baal o per meiN
7- kiyuN hei kamaaN abroo kii kasheedah
tabdeeli hei kiyuN tevar meiN
8- meraa nasheman zad meiN aaye
itni himmat barq o sharar meiN
9- aek hii Haalat hei Nazir kii
manzar meiN aur pas-manzar meiN

=====



Aapka Mukhlis,
Nazir.


Posted: Sun Aug 07, 2005 10:53 pm
by waqar_masood
huzoor

aap isay maamoli ghazal kehtay hein

muhturam parh ker is qadar lutf aya keh phir say parhee aur khushi hoye keh aap ki is qadar khubsoorat ghazal parhnay ko mili ,

mubarak ho is qadar umdaah kalaam takhleeq kernay per janab ,

waqar masood

Posted: Sun Aug 07, 2005 11:43 pm
by naheedv
mohtaram Nazir saahab,
aadaab,

aap kee ye halkee phulkee magar buhat gehre jazbaat ke saath kahee gayee ghazal paRhi aur be.had pasaNd aayee.
khaaksaar kee daad qubool kijiye!

mukhliS
Naheed

Bahut bahut shukriyah

Posted: Tue Aug 09, 2005 12:30 pm
by Abdullah Nazir
;b]
MuHtaramah
Saara Saahibah, :-)

Purkhuloos Tasleemaat,

Meri ghazal per tabSirah karte houe aap ne likhkhaa hei:

{{{Mohtaram nazir saahib,

jazbaat se bharpoor aapki ye ghazal bohat pasand aayi, sabhi ashaar bohat murassa aur qabil e daad hain. mubarakbaad qubool keejiye.

mukhlis

sara )))

MaiN aapki is Hauslah afzaayi ke liye tah-e-dil se shukrguzaar hooN aur ummeed kartaa hooN ke aayindah bhii isi tarah se himmat baRhaati rahengi.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

[/b]