Page 1 of 2
Radeef Pathar ki, aik ghazal
Posted: Mon Aug 08, 2005 9:32 am
by Mahtab Qadr
Aik Ghazal , Radeef pathar ki , paish e khidmat hai aap sab ki aara ka intezaar hai.
bahut hi khoon bahaa ,tab kahiN uthaa pathar
Nahee haiN taupeiN jahaaN, unka aasra pathar
ye aik naiki bahut qeemti hai heeroN sey
kisi ki rah se jo tum ne hataa dia pathar
baney na bojh ghazal par radeef pathar ki
ye sochte hi , qalam ne uthaa lia pathar
na jaane kab se mai in patharoN ke gaoN mai hoN
dilo nigaah bhi pathar , har ek anaa pathar
muqaam barh gaya pathar ka , lams e kaaba se
magar khudaa to kabhi bhi na bansakaa pathar
tu apne chahre ki be raunaqi nazar mai rakh
phir uske baad hi mahtaab par uthaa pathar
Posted: Mon Aug 08, 2005 6:03 pm
by waqar_masood
wah wah mahtab sahib
kamal ki ghazal kahi
parh ke rlutf a gaya
matlaa intehayee khubsoorat sher hay
mubarak ho aisee khubsoorat ghazal kehnay per
waqar masood
shukria
Posted: Wed Aug 10, 2005 6:46 am
by Mahtab Qadr
Waqar Masood sahib , hausla afzai ke lye mamnoon noN.
shukria
Mahtab Qadr
waqar_masood wrote:wah wah mahtab sahib
kamal ki ghazal kahi
parh ke rlutf a gaya
matlaa intehayee khubsoorat sher hay
mubarak ho aisee khubsoorat ghazal kehnay per
waqar masood
Posted: Thu Aug 11, 2005 9:10 am
by Shummu
wah wah MAhtaab sahab wahhhhhhhhhhhhhh.....kis khoobsurati se aap ne ashaar qalam band kiye hai..mashaALlah....itna zabardast radeef upar se itne zabardast ashaar....mazaa aa gaya paRhke.... bahut bahut daad-o-mubarakbaad haazir hai itna khoobsurat likhne pe :) Main to kho si gayi alfaaz ke hair phair mein...really very poetic!
Shumaila
Posted: Thu Aug 11, 2005 9:12 am
by Shummu
P.S: pehle sher mein shayad kuch typo hai..dekh lijiyega!:)
Posted: Fri Aug 12, 2005 11:32 am
by Mahtab Qadr
shummu behad shukria qadardaani aur daad o himmat afzai e lye mashkoor o mamnoon hoN.
mahtab qadr
Posted: Sun Aug 14, 2005 9:10 pm
by irfan abid
Mahtab Sb, aadaab!
patthar kii radeef meN aap ne achchhe mazaameen baaNhde haiN. daad qubuul farmaaiye!
niyaazmand,
Irfan :Abid:
Posted: Mon Aug 15, 2005 10:47 am
by Mahtab Qadr
Shukria Irfan Sahib , aap ke in mukhtasar lafzon ne bhi himmat afzai ki, bahut mamnoon hoN aapka.
niazmand
Mahtab Qadr
Posted: Mon Aug 15, 2005 10:49 am
by Mahtab Qadr
Shukria Irfan Sahib , aap ke in mukhtasar lafzon ne bhi himmat afzai ki, bahut mamnoon hoN aapka.
niazmand
Mahtab Qadr
Posted: Tue Aug 16, 2005 7:13 am
by Ibn-e-siddique
Assalam-o-alaikum
Mahtab saHib, kia aap is ghazal ki file phir se upload kar sakte haiN, is liye ke mujhe aap ki ghazal nazar nahiN aa rahi.
aap aik baar dekh leejiye
shukria
amjad
Re: Radeef Pathar ki, aik ghazal
Posted: Tue Aug 16, 2005 10:20 am
by Mahtab Qadr
Mahtab Qadr wrote:Aik Ghazal , Radeef pathar ki , paish e khidmat hai aap sab ki aara ka intezaar hai.
Posted: Tue Aug 16, 2005 2:21 pm
by Star Mind
moHtaram Sarfaraz SaaHib, aadaab
waaye hamaari kam-nigaahi k aap ki itnee KhoobSoorat Ghazal par naz^ar na paRsakee
janaab-e-a'aali , aap ne is radeef ka Haq hi adaa krdiyaa ! ham to wese bhi aap k hamesha se madaaH rahe haiN , wajh aap apnaa kalaam dekh kar pata karlejeye ! ;) .
majaal hai jo aek bhi Ghazal kamaal ki na ho !
maan gaye SaaHib !
dar Haqeeqat ham ne aap se bohut kuchh seekhaa hai aur inshaa Allah ye silsila ta dam-e-marg jaaree rahegaa !
hameN to aap k sabhi ash'aar ne muta'accir kiyaa hai ! meeri jaanib se DheroN daad qabool farmaaye !
shukriya
moKhliS : Zia Baloch
Posted: Wed Aug 17, 2005 9:10 am
by Mahtab Qadr
Bradar e Azeez Zia sahib
walaikum aadaab
aray aap kuch ziada hi munkasir ul mizaaj ho rahe haiN aur phir mujhe itna na sharminda kijiye bhai mai sirf sher kahta hoN is se ziada mujhe kuch nahi maloom ke shayeri ke rumooz o asraar kia kia haiN seekhne ke lye sites par asatiza maujood haiN aur mai khud bhi aik talib e ilm hoN aapki mohabbatoN ka behad shukria . Allah aapko hamesha khush rakhay.
aapka bhai
Mahtab Qadr
Posted: Wed Aug 17, 2005 7:20 pm
by Ibn-e-siddique
Mahtab saHib
salaam arz hai
aap ki ye ghazal ba.radeef-e-patthar vaaqai bahot umda hai.
is kaamiyaab kaawish per aap yaqeenan daad aur mubarak.baad ke mustaHiq haiN
reit se but na banaa ae mire ache fankaar
aik lamHe ko Theher main tujhe pathar laa dooN
umeed hai isi taraH apne kalaam se hameN mustafeez farmaate raheN ge
amjad
Posted: Sat Aug 20, 2005 8:45 am
by Mahtab Qadr
Janab e Amjad sahib
walaikum salaam
Hausla afzaioN ka behad shukria, aap ka sher bhi pasand aaaya,
reit se but na banaa ae mire ache fankaar
aik lamHe ko Theher maiN tujhe pathar laa doN
waah wah waah
niazmand
Mahtab Qadr