Page 1 of 3
Lafz par ashar#16--ZINDAGI
Posted: Wed Aug 10, 2005 9:03 am
by syed bilal armaan
assalam walekum
Dostoun app ney "DEEWANA" unwan par bahut acche ashar likhe.lekin ab is unwan ka bhi waqt katam ho gaya hai. Ab pesh hai ek nay unwan "ZINDAGI" app is unwan par bhi apne pasandida ashar likhiye. main agaaz kar raha hoon.
zindagi tujh se har ik saans per samjhota karun
shauq jeeney ka hai mujh ko par itna tu nahin
Posted: Wed Aug 10, 2005 9:11 am
by Shummu
wah bahut khoob word choose kiya hai..is pe jitne bhi sher kahe jaaayein kam hi hain..beshtar bazmon mein yahi lafz chal raha hai aaj kal
Main usi sher se shuruwaat karungi jo aksar likha karti hoon ..
Zindagi yuN hui basar tanhaa
Qaafilaa saaTh aur safar tanhaa
Posted: Thu Aug 11, 2005 8:52 am
by Shummu
Maut ko samjhay haiN ghaafil Ikhtetaam-e-Zindagi
Hai yeh shaam-e-Zindagi, Subha-e-dawaam-e-Zindagi!
Posted: Fri Aug 12, 2005 12:25 am
by RAUSHNEE
sher tu suntay he rahein gay..........kuch nazm bhi sun le'n.....
zindagii ke mele me.n
Khvaahisho.n ke rele me.n
tum se kyaa kahe.n jaanaa
is qadar jhamele me.n
vaqt kii ravaanii hai
baKht kii giraanii hai
saKht bezamiinii hai
saKht laamakaanii hai
hijr ke samandar me.n
taKht aur taKhte kii
ek hii kahaanii hai
tum ko jo sunaanii hai
baat go zaraa sii hai
baat umr bhar kii hai
umr bhar kii baate.n kab
do gha.Dii me.n hotii hai.n
dard ke samandar me.n
anginat jaziire.n hai.n
beshumaar motii hai.n
aa.Nkh ke dariiche me.n
tum ne jo sajaayaa thaa
baat us diye kii hai
baat us gile kii hai
jo lahuu kii Khilvat me.n
chor ban ke aataa hai
lafz ke fasiilo.n par
TuuT TuuT jaataa hai
zindagii se lambii hai
baat rat_jage kii hai
raaste me.n kaise ho
baat taKhaliye kii hai
taKhaliye kii baato.n me.n
guftaguu izaafii hai
pyaar karane vaalo.n ko
ik nigaah kaafii hai
ho sake to sun jaao
ek din akele me.n
tum se kyaa kahe.n jaanaa.N
is qadar jhamele me.n
Posted: Fri Aug 12, 2005 12:28 am
by RAUSHNEE
zindagii se Darate ho
zindagii to tum bhii ho, zindagii to ham bhii hai.n
aadamii se Darate ho
aadamii to tum bhii ho aadamii to ham bhii hai.n
aadamii zubaa.N bhii hai, aadamii bayaa.N bhii hai
is se tum nahii.n Darate
harf aur maanii ke rishte haaye aahan se aadamii hai vaabastaa
aadamii ke daaman se zindagii hai vaabastaa
is se tum nahii.n Darate
ankahii se Darate ho
jo abhii aa_ii nahii.n us gha.Dii se Darate ho
us gha.Dii ke aane kii aag hii se Darate hi
pahale bhii to guzare hai.n
daur naarasaa_ii ke, beriyaa, Khudaa_ii ke
phir bhii ye samajhate ho, hech aazaruumandii
ye shab zubaa.Nbandii, hai rahe Khudaabandii
tum yahii samajhate ho, tum magar ye kyaa jaano
lab agar nahii.n hilate haath jaag uThate hai.n
haath jaag uThate hai.n raah kaa nishaan ban kar
nuur kii zubaa.N ban kar
haath bol uThate hai.n subah kii azaa.N ban kar
roshanii se Darate ho
roshanii to tum bhii ho, roshanii to ham bhii hai.n
roshanii se Darate ho
shahar kii fasiilo.n par
dev kaa jo saayaa thaa, paak ho gayaa aaKhir
az_dahaam-e-afsaa.N se fard kii navaa aa_ii
zaat kii sadaa aa_ii
raah-e-shauq me.n jaise raah_ravii Khuu.N lapake
ik nayaa junuu.N lapake
aadamii chhalak uThe
aadamii ha.Nse dekho, shahar phir base dekho
tum abhii se Darate ho
haa.N abhii to tum bhii ho, haa.N abhii to ham bhii hai.n
tum abhii se Darate ho
Posted: Fri Aug 12, 2005 3:38 pm
by syed bilal armaan
Zindagi pyar hai,pyar ki duniya tum ho
Mera dil meri khushi meri tamana tum ho
"zindagi"
Posted: Sun Aug 14, 2005 1:31 am
by Abdullah Nazir
"zindagi kyaa hei AnaaSir meiN zuhoor-e-tarteeb
maut kyaa hei inhiN ajzaa kaa pareshaaN hounaa".
========
Nazir.
Posted: Sun Aug 14, 2005 7:54 am
by syed bilal armaan
nikala mujh ko jannat sey faraib e zindagi day kar
diya phir shauq e jannat ----- yeh hairaani nahi jati
Posted: Sun Aug 14, 2005 12:20 pm
by Shummu
yahii hai zindagii kuchh Khaak chand ummiide.n
inhii.n khilauno.n se tum bhii bahal sako to chalo
kisi ke waaste raheiN kahaN badalti haiN ..
tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo
----------------------------------
zindagi
Posted: Wed Aug 17, 2005 6:17 am
by Abdullah Nazir
chain lene de zaraa aiy zindagi
wo kaiee din b'ad milne aaye heiN.
Nazir.
Posted: Wed Aug 17, 2005 8:27 am
by syed bilal armaan
ZINDAGI KIA HEY USS NEY POCHA TO KHA SAGAR
IK PHALI THEE JESEY HUM KABHI BOOJH NA SAKEY
"zindagi"
Posted: Wed Aug 17, 2005 1:11 pm
by Abdullah Nazir
zindagi meiN mushkilaoN kaa saamnaa karte raho
faislah hounaa hei jo bhii khud bakhud houjaayegaa.
Nazir.
"zindagi"
Posted: Thu Aug 18, 2005 9:41 am
by Abdullah Nazir
paa shikastah hooN kahaaN jaauN sukooN kii khaaTir
souchtaa hooN ke yaheeN zindagi barbaad karuN.
Nazir.
Posted: Fri Aug 19, 2005 7:28 am
by syed bilal armaan
Woh Meri Zinagi Hai Ye Sach Hai
Zindagi Ka Magar Bharosa kia
Posted: Fri Aug 19, 2005 7:48 am
by syed bilal armaan
Zindagi muzmir hai teri shukhee-e-tehreer mein
tab-e-guyaee say junbish hai lab-e-tasveer mein
naya unwan 21 augest ko diya jaye gaa....