Page 1 of 3
Harf-e-'KHE' se ash'aar bhejiye..shukriya!
Posted: Wed Aug 10, 2005 9:09 am
by Shummu
Salaam sab ko!
Is laRi mein aap ko harf-e- 'KHE' se ashaar bhejne hain..shukriya!
Khwaab in aaNkhoN se ab koi churaa kar le jaaye
qabr ke sookhe hue phool uThaa kar le jaaye
----Dr. Bashir Badr
Posted: Fri Aug 12, 2005 8:24 am
by Shummu
wah!
Khatawaar Samjhegee Duniyaan Tujhe
Ke Itnee Ziyaada Safaayi na de
"khai"
Posted: Sun Aug 14, 2005 1:18 am
by Abdullah Nazir
kharzaar-e-zindagi meiN jism o jaaN zakhmi houe
bavajood is ke tiraa iHsan ham bhoole nahiN.
Nazir.
Posted: Sun Aug 14, 2005 12:27 pm
by Shummu
Khizan Rakhey Gee Darakhton Ko Bay Samar Kab Tak
Badal Hee Jaye Gee Yah Rut Bhi Hausla rakhna
khai
Posted: Mon Aug 15, 2005 3:15 am
by Abdullah Nazir
khizaaN kaa daur hou yaa fasl-e-gul hou kuch bhii hou
chaman meiN dast-e-sitamgar se kyaa umeed-e-karam.
Nazir.
khai
Posted: Wed Aug 17, 2005 6:29 am
by Abdullah Nazir
khumaar-e-chashm-e-jaanaaN kii hei masti
uThaalo jaam-e-sehbaa samne se.
Nazir.
"khai"
Posted: Thu Aug 18, 2005 9:46 am
by Abdullah Nazir
Khudaayaa khair hou be-aasraa khaanah badoushaoN kii
chamakti bijliyaoN kii raushni achchi nahiN lagti.
Nazir.
"khai"
Posted: Sun Aug 21, 2005 3:12 am
by Abdullah Nazir
khush hooN ke tum ko mere junooN kaa bhii paas hei
lekin abhi talak miri aankhaoN meiN yaas hei.
Nazir.
"khai"
Posted: Fri Aug 26, 2005 10:55 pm
by Abdullah Nazir
khabr nah jaane kab hou meri Hasrat-e-dil kii
agar hei tou zaraa pardah haTaakar saamne aaou.
Nazir.
Posted: Tue Aug 30, 2005 11:30 am
by Shummu
Khudi ko kar buland itna ke har taqdiir se pehle
Khuda bande se khud puuche bata teri raza kia he
Posted: Tue Aug 30, 2005 2:30 pm
by hassan_bashir
Khuda zubaan ko kuch aur us ki talkh kare
mere zameer ko is shakhs ne jhiNjhod diya
"khai"
Posted: Wed Aug 31, 2005 3:23 am
by Abdullah Nazir
khudaa kare ke tiraa dil kabhi malool nah hou
maiN mar bhii jaaooN tou rounaa tujhe qubool nah hou.
Nazir.
Posted: Wed Aug 31, 2005 5:40 pm
by hassan_bashir
Khuli jo aaNkh to woh tha na woh zamaanaa tha
Dehaktee aag thee tanhaaee thee fasaanaa tha
"khai"
Posted: Thu Sep 01, 2005 4:43 am
by Abdullah Nazir
khabar hei tujko mire dil pah kyhaa guzarti hei
zaraa sii baat pah be-vajah rooTh jaane se.
Nazir.
"khai"
Posted: Fri Sep 02, 2005 4:15 am
by Abdullah Nazir
khayaalaoN meiN wo but rhtaa hei Aari sare pardaoN se
magar meri nazar meiN wo hei ik pardah nasheeN ab tak.
Nazir.
[/b][/size][/color]