:: nahiN bahaar to kyaa , gul ki justjoo to kareN ! ::

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

:: nahiN bahaar to kyaa , gul ki justjoo to kareN ! ::

Post by Star Mind »

Yaaraan-e-meHfil, aadaab arz hai !

aek t^aveel muddat k baa'd aap ki Khidmat maiN aek taaza Ghazal k saath Haazir hoN ! . ummed hai k asaatiza rahnumaayee farmaayeNge !

1.
nahiN bahaar to kyaa , gul ki justjoo to kareN
bahut udaas hai dil, koi guftgoo to kareN !

2.
dayaar-e-i'shq maiN raushan koi chiraaGh to ho
tu koi Gher sahii , teri aarzoo to kareN

3.
kabhii kabhii to Z^aroorii hai dil ka KhooN rona
ba-qadr-e-z^arf-e-jigar , sharH-e-raNg-o-boo to kareN !

4.
Sadaa-e-dil to falak se bhi aage jaatii hai
koi sune na sune , aap haao hoo to kareN !

5.
bahaar doR k aayegi dil k SiHraa maiN
chaman chaman si umaNgoN ki guftgoo to kareN !

agle do ash'aar baaham marboot^ haiN !

6.
sunaa hai dasht-e-GhazaalaaN se koi aayaa hai
isee bahaane chalo, zikr-e-maah-roo to kareN !

7.
bujhee bujhee si nigaahoN ki baat ho to sahii
KhizaaN KhizaaN si moHabbat ki guftgoo to kareN !

8.
hazaaroN raaz moHabbat k faash hojaayeN !
hamaare Gham ki jahaaN waale justjoo to kareN !

9.
Gham-e-Hayaat na jal jaaye gar to maiN jaanoN !
Gham-e-junooN ko kabhii , us k roo-baroo to kareN !

10.
hamaari tishna-labii , SubH tak miTe na miTe
sharaab-e-Husn se pur , i'shq ka saboo to kareN !

11.
ye daaGh daaGh jabeeN dhul k noor barsaaye !
janaab-e-shaiKh mire ashk se waZ^oo to kareN !

aur ab maqt^a'

12.
ye aur baat Zia koi gul khile na khile !
ham apne qalb-o-jigar ko lahoo lahoo to kareN !

................................................................................

jo comments de us ka bhi bhalaa , jo na de us ka bhi bhalaa !

shukriya !

moKhliS : Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Re: :: nahiN bahaar to kyaa , gul ki justjoo to kareN ! ::

Post by Mahtab Qadr »

Zia Sahib aapki ghazal pasand aai aur jin sheroN ne bahut mutasir kia vo hazb e zail hain.:) ghazal ke shero no. 2 ke misre saani mai shayed typo hai aik nazar dekh leiN . ghair hona chahiye .
shukria
Mahtab Qadr

kabhii kabhii to Z^aroorii hai dil ka KhooN rona
ba-qadr-e-z^arf-e-jigar , sharH-e-raNg-o-boo to kareN !

Sadaa-e-dil to falak se bhi aage jaatii hai
koi sune na sune , aap haao hoo to kareN !

bahaar dauRh ke aayegi dil k SiHraa maiN
chaman chaman si umaNgoN ki guftgoo to kareN !

sunaa hai dasht-e-GhazaalaaN se koi aayaa hai
isee bahaane chalo, zikr-e-maah-roo to kareN !

ye daaGh daaGh jabeeN dhul k noor barsaaye !
janaab-e-shaiKh mire ashk se waZ^oo to kareN !

ye aur baat Zia koi gul khile na khile !
ham apne qalb-o-jigar ko lahoo lahoo to kareN
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

sara_j wrote:zia sahib,

salaam.

muafi chaahti hoon ke yehan aane mien dair hui,
darasl apni zaati pareshaniyon ke saath kuch net
ki soghaat bhi meherbaan diya karte hain :-)

Sara SaaHiba. w/salaam

koi baat nahiN Huzoor ! aisa to ho hi jaataa hai kabhi kabhi !
aap aayeeN , hameN bohut achcha lagaa , bohot Khushee hoi !


ustad ji tou zara makaan ki tabdeeli mein masroof the
so ab settle hogaye hain, Admin ji bhi kuch msroof hain.

jee jee, Allah sab ki mushkilaat door farmaaye ! ham bhi kuch kuch safar maiN maSroof haiN ! :grin:

lekin in sabke bawajood aapki tehreer parh ker dil
khush hojata hai :grin:

itnee masroofiyyat maiN se aap ka waqt nikaalnaa , yaqeen jaaneye bohut Khushee hoti hai aur sharmindagee bhi k aaKhir itne laai'q bhi nahiN ! bohut mamnoon hoN


mujhe to aapki poori ghazal hi bohat pasand aayi hai aur yeh ashaar bohat ziyada pasand aaye hain:

1.
nahiN bahaar to kyaa , gul ki justjoo to kareN
bahut udaas hai dil, koi guftgoo to kareN !

3.
kabhii kabhii to Z^aroorii hai dil ka KhooN rona
ba-qadr-e-z^arf-e-jigar , sharH-e-raNg-o-boo to kareN !

4.
Sadaa-e-dil to falak se bhi aage jaatii hai
koi sune na sune , aap haao hoo to kareN !

7.
bujhee bujhee si nigaahoN ki baat ho to sahii
KhizaaN KhizaaN si moHabbat ki guftgoo to kareN !

10.
hamaari tishna-labii , SubH tak miTe na miTe
sharaab-e-Husn se pur , i'shq ka saboo to kareN !

11.
ye daaGh daaGh jabeeN dhul k noor barsaaye !
janaab-e-shaiKh mire ashk se waZ^oo to kareN !

mukhlis

sara

Sara SaaHiba , aap ko to poori Ghazal hi pasand aayee Khaas kar ye asha'raa , ab aap hi baataaye k shukriya ka Haq kyoNkar adaa hosake :roll: nehaayat mamnoon hoN !
shukriya

moKhliS : Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Post Reply