Khud kaa TaAaruf: ABDULLAH NAZIR.
Posted: Thu Jan 06, 2005 4:39 am
Bhayi Sarfaraz Ali, Mahtab Qadr ne aik nayaa silsilah shurooA kiyaa hei ke her shakhs apnaa taAruf karwaaye.
Go keh maiN is qaabil nahiN ke apnaa munaasib taAaruf karwaasakuN lekin ab is rasm kii takmeel aur taAmeel bhii tou zaroori hei.
Meraa Naam: Abdullah s/o Abdul-Rahman s/o Yahyaa s/o Ali s/o Mohammed s/o Abi-bakr s/o Mohammed.
Qabeeleh kaa naam = Al-moallimi
Waalidah kaa khandan = alhamdaani
Mera Qalmi naam aur takhallus = Abdullah Nazir.
WaTan = Saari dunyaa jo panaah dene se qaasir hei
kaam = (ab retired hooN) saabiq meiN (Ciba-Geigy) ke aur mukhtalif mash'hoor pharmacutical companies ke local representives ke saath service. Zimmeh daaryiaoN meiN English correspondence, Arabic/English/Arabic translations, Computer adminstration waghairah.
Zauq o shauq = English aur urdu literature khaas taur per shayeri aur mutaAlliqah mauzooAaat.
Taleef o tasneef: 1 urdu shayeri kaa deewan Gauhar-e-shabtab jo shayeA houchukaa thaa.
2) Translator's Guide (English/Arabic) shayeA nahiN housaki.
3) Aik mamooli sii kitaab C. Language per. Yeh bhii shayeA nahiN housaki.
4) Doosra deewan Urdu Shayeri kaa jiski TibaaAat Dehli meiN houne waali hei aik bahut hii mehrbaan doust janab As'ad ms ke tavassuT se.
Ab isqadar kaafi hei.
Aapka Mukhlis,
Nazir