Page 1 of 1
Sarwar Sahib ki di hui taraH per ghazal
Posted: Sun Aug 14, 2005 6:11 am
by Anmol
Adaab!
Sarwar Sahib ki di hui tarah per meri ye ghazal abhi abhi hui hay aur foran hi post kar rahi huN, raha nahiN jaa raha. Sabhi eHbaab ke tassuraat ka initizaar rahega. :C
Ghazal:
1. hay musaafat bohot kaRi sahib
jis ko kehte heN zindagi sahib
2. baat be baat barhami saahib
hum se koi khata hui sahab?
3. mujh ko bhaaye na dushmani sahib
mera maslak hay dosti sahib!
4. qatl-o-gharitgari buri sahib
chahiye amn-o-aashti sahib!
5. maiN ne sach bolne ki jurrat ki
baat sab ko buri lagi sahib!
6. chalo maana qusoor mera hay
aap achhe heN, maiN buri sahib!
7. kyoon pareshan is qadar heN aap?
kesi uftaad aa paRi sahib?
8. hum ko sab kuch mila muqaddar se
reh gayi aap ki kami sahib!
9. muskuraane ki jab bhi koshish ki
aa gayi aankh meiN namee sahib!
10. kabhi phoolon ko maat deti thi
mere chehre ki taazgi sahib!
11. ab to aankhen udaas rehti hen
aur soorat bujhi bujhi sahib!
12. hum ko hardam azeez rehte heN
"aap aur aap ki khushi sahib!"
13. ye to anmol, dil ki baateN heN
hum ne kab ki hay shaayri sahib?
:Anmol:
Posted: Sun Aug 14, 2005 8:01 am
by Mahtab Qadr
Wah waaah bahut khoob anmol aapki saari ghazal pasand aai aur hazb e zail sher bahut ziada achay lagay. shukria
Mahtab Qadr
hay musaafat bohot kaRi sahib
jis ko kehte heN zindagi sahib
maiN ne sach bolne ki jurrat ki
baat sab ko buri lagi sahib!
hum ko sab kuch mila muqaddar se
reh gayi aap ki kami sahib!
muskuraane ki jab bhi koshish ki
aa gayi aankh meiN namee sahib!
kabhi phoolon ko maat deti thi
mere chehre ki taazgi sahib!
ab to aankhen udaas rehti hen
aur soorat bujhi bujhi sahib!
ye to anmol, dil ki baateN heN
hum ne kab ki hay shaayri sahib?
Posted: Sun Aug 14, 2005 11:57 am
by Shummu
Anmol wrote:Adaab!
Sarwar Sahib ki di hui tarah per meri ye ghazal abhi abhi hui hay aur foran hi post kar rahi huN, raha nahiN jaa raha. Sabhi eHbaab ke tassuraat ka initizaar rahega. :C
Ghazal:
1. hay musaafat bohot kaRi sahib
jis ko kehte heN zindagi sahib
2. baat be baat barhami saahib
hum se koi khata hui sahab?
3. mujh ko bhaaye na dushmani sahib
mera maslak hay dosti sahib!
4. qatl-o-gharitgari buri sahib
chahiye amn-o-aashti sahib!
5. maiN ne sach bolne ki jurrat ki
baat sab ko buri lagi sahib!
6. chalo maana qusoor mera hay
aap achhe heN, maiN buri sahib!
7. kyoon pareshan is qadar heN aap?
kesi uftaad aa paRi sahib?
8. hum ko sab kuch mila muqaddar se
reh gayi aap ki kami sahib!
9. muskuraane ki jab bhi koshish ki
aa gayi aankh meiN namee sahib!
10. kabhi phoolon ko maat deti thi
mere chehre ki taazgi sahib!
11. ab to aankhen udaas rehti hen
aur soorat bujhi bujhi sahib!
12. hum ko hardam azeez rehte heN
"aap aur aap ki khushi sahib!"
13. ye to anmol, dil ki baateN heN
hum ne kab ki hay shaayri sahib?
:Anmol:
oh my myyyyyyyyy extremely well written ANMOL..ek baar phir tumne mujhe chauNka diya hai...wowwwwwwwwwww kya ghazal kahi hai.... har sher pe wah wah wah karti rahi..saare sher ek se baRhke ek likhe hain aur betahaaasha rawaani se bharpoor...... dil chaah raha hai tumhe saamne biThaa ke tumhari khoobsurat aawaaz mein ye ghazal sunoon :D I really don't have words to express my feeling on this masterpiece...I simply loved it :) Dherrrrrrrrrrrrrrrrrr saaaari daad haazir hai rose:
KHUSH RAHO!
Shumaila
Posted: Wed Aug 24, 2005 12:07 am
by Anmol
Mahtab Qadr wrote:Wah waaah bahut khoob anmol aapki saari ghazal pasand aai aur hazb e zail sher bahut ziada achay lagay. shukria
Mahtab Qadr
hay musaafat bohot kaRi sahib
jis ko kehte heN zindagi sahib
maiN ne sach bolne ki jurrat ki
baat sab ko buri lagi sahib!
hum ko sab kuch mila muqaddar se
reh gayi aap ki kami sahib!
muskuraane ki jab bhi koshish ki
aa gayi aankh meiN namee sahib!
kabhi phoolon ko maat deti thi
mere chehre ki taazgi sahib!
ab to aankhen udaas rehti hen
aur soorat bujhi bujhi sahib!
ye to anmol, dil ki baateN heN
hum ne kab ki hay shaayri sahib?
Adaab
Mehtab Sahib,
Sir bohot khushi hui k aap ko meri ghazal pasand aayi aur jo ashaar aap ne quote kiye heN, un meiN se matla ko maiNe thoRa change kar dia hay
Raj Sahib ki tajveez k baad,
Hay masaafat bohot kaRee Sahib!
Phir bhi karni hay zindagi Sahib!
Posted: Wed Aug 24, 2005 12:09 am
by Anmol
Shummu wrote:
oh my myyyyyyyyy extremely well written ANMOL..ek baar phir tumne mujhe chauNka diya hai...wowwwwwwwwwww kya ghazal kahi hai.... har sher pe wah wah wah karti rahi..saare sher ek se baRhke ek likhe hain aur betahaaasha rawaani se bharpoor...... dil chaah raha hai tumhe saamne biThaa ke tumhari khoobsurat aawaaz mein ye ghazal sunoon :D I really don't have words to express my feeling on this masterpiece...I simply loved it :) Dherrrrrrrrrrrrrrrrrr saaaari daad haazir hai rose:
KHUSH RAHO!
Shumaila
Dear
Shu,
Tum hamesha itne besaaKhta aNdaaz meiN daad deti ho aur is qadar hosla'afzayi karti ho k hum jese to itni pazeerayi dekh kar maGhroor hi ho jayeN.
Bohot shukria meri ghazal ko is qadar pasand karne ka, wese ye sab tumhare ashirwaad se hua hay. :D
aur haaN ho sakta hay k ye ghazal maiN tumheN St mushaira meiN suna dooN, apni khoobsoorat aawaz meiN (baqol tumhare)
Posted: Thu Aug 25, 2005 2:51 pm
by khozema husaini
mohtama anmol sahibah
aadaab
aap ki ghazal bohat pasand aai meri janib se dili daad hazir hai qubool farmayeN men bhi mutamanni hoon hoon aap ki khoobsoorat aawaaz men is ghazal ko sunne ka
Husaini
Posted: Thu Aug 25, 2005 9:17 pm
by Anmol
khozema husaini wrote:mohtama anmol sahibah
aadaab
aap ki ghazal bohat pasand aai meri janib se dili daad hazir hai qubool farmayeN men bhi mutamanni hoon hoon aap ki khoobsoorat aawaaz men is ghazal ko sunne ka
Husaini
Adaab,
Khozema Sahib, aap jese umda shaayir se daad paa kar waqai bohot Khushi ho rahi hay. Bohot shukria, inshaAllah ye ghazal aap meri aawaz meiN sun sakeNge.
Shukria.
Re: Sarwar Sahib ki di hui taraH per ghazal
Posted: Tue Aug 30, 2005 1:56 am
by Anmol
sara_j wrote:dear anmol,
tumhari ghazal tou sabse pehle aagayi thi aur maine usi waqt parhli thi lekin kuch gardish-e-haalaat ne aise jakaR rakha tha ke idhar ka rukh hi nahi ker paa rahi thi.
bohat ache ashaar bohat dilkash aur saade se jazbat.......
bohat pasand aayi, daad pesh hai.
sara
ohhh dearrr, bohot Khushi ho rahi hay tumhare comments dekh kar. MaiN tumheN bohot yaad kar rahi thi, maiNe socha jaane kyooN is baar Sara ne meri ghazal nahiN dekhi.
ThanQ so much k tum ne apne masayel aur zimmedariyoN se waqt nikaal kar ghazal ko paRha aur saraaha. :P
Bahut khoob waah waah
Posted: Tue Aug 30, 2005 2:44 pm
by Abdullah Nazir
Azeezah
A N M O L
Aapki ghazal paRhkar bahut luTf andouz houaa. Saare ke saare ashAar bahut dilkash heiN.
[quote]
Ghazal:
1. hay musaafat bohot kaRi sahib
jis ko kehte heN zindagi sahib
2. baat be baat barhami saahib
hum se koi khata hui sahab?
3. mujh ko bhaaye na dushmani sahib
mera maslak hay dosti sahib!
4. qatl-o-gharitgari buri sahib
chahiye amn-o-aashti sahib!
5. maiN ne sach bolne ki jurrat ki
baat sab ko buri lagi sahib!
6. chalo maana qusoor mera hay
aap achhe heN, maiN buri sahib!
7. kyoon pareshan is qadar heN aap?
kesi uftaad aa paRi sahib?
8. hum ko sab kuch mila muqaddar se
reh gayi aap ki kami sahib!
9. muskuraane ki jab bhi koshish ki
aa gayi aankh meiN namee sahib!
10. kabhi phoolon ko maat deti thi
mere chehre ki taazgi sahib!
11. ab to aankhen udaas rehti hen
aur soorat bujhi bujhi sahib!
12. hum ko hardam azeez rehte heN
"aap aur aap ki khushi sahib!"
13. ye to anmol, dil ki baateN heN
hum ne kab ki hay shaayri sahib? ;/quote]
Waah waah Anmol kyaa kehne!. Isi TaraH apni sukhan gouii jaari rakhiye aur saare paRhne waalaoN ko Hairat meiN Daaliye ke kal kii mubtadi shaayeraat ne aaj aek munaasib muqaaqm paidaa karliyaa hei.
Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool keejiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Re: Bahut khoob waah waah
Posted: Tue Aug 30, 2005 11:08 pm
by Anmol
WEBMASTER wrote:
Azeezah
A N M O L
Aapki ghazal paRhkar bahut luTf andouz houaa. Saare ke saare ashAar bahut dilkash heiN.
Waah waah Anmol kyaa kehne!. Isi TaraH apni sukhan gouii jaari rakhiye aur saare paRhne waalaoN ko Hairat meiN Daaliye ke kal kii mubtadi shaayeraat ne aaj aek munaasib muqaaqm paidaa karliyaa hei.
Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool keejiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Mohtaram
Nazir Sahib, adaab!
Aap ki janib se shabbashi paa kar behad Khushi hui.
Aap ki taraHee guzarishaat se hi aaghaaz hua tha meri suKhangoyi ka, aur aap ki aur deegar asatiza ki rehnumayi se aur dua'oN se aaj is maqaam tak aa payi huN.
Ghazal ki pasandeedgi k liye behad mamnoon huN.